काली गर्दन को मिनटों में गोरा करती है चीनी, जानें कैसे?

काली

kali gardan ko minto mein gora kartee hai chini in hindi: Tvacha ka rang nikharne ke liye bazar me kai prakar ke creams uplabdh hai. Yeh kaam to karenge magar mehnge hai aur in se nuksan bhi ho sakta hai. Aise expensive creams ko aap sirf chehre par upyog karenge aur baki gardan aur haatho par nahin. Parinam swarup chehra bhle nikhra ho magar gardan aur baahe shyam nazar aate hai. gardan ka kalapan kaise dur kare???Gabhraye nahin aur chinta na kare. Chini ka upyog kare khulle haath se aur haath aur gardan ka rang bhi nikhare yeh beauty tips for dark neck in hindi, simple gardan ko minuto me gora karne ke tarike se, 

Gharelu Scrub aur Face Pack Materials

How to clean black neck at home in hindi: Scrub aur face pack me thoda kuch antar hai. Face pack me aise tatva hai jo tvacha ko nikhare aur rang sudhare, chiknahat badhaye, gorapan badhaye aur saundarya generally badhaye. Scrub me aise materials hote hai jo thoda bahut rough hote hai aur yeh tvacha ko ghis ke tvacha ke mrut koshika aur gandaki ko nikal ne me madadroop hote hai. 

  • Gharelu scrub me aap kai alag prakar ke materials ka upyog kar sakte hai. Mool jaroorat hai ki yeh material thodasa karkara hona chahiye aur abrasive hona chahiye.
  • Gharelu scrub materials ki baat kare to kai aise samagri hai jo ghar par upasthit hai. Ek hai haldi powder. Yeh hai karkara aur thodasa nimbu ke ras ke saath milaye to excellent scrub banta hai.
  • Doosra hai besan. Kakare besan aur dahi se ghise to chehre ka tvacha bilkul saaf hota hai.
  • Namak bhi adhbhut scrub material hai jise tel ke saath upyog kiya jaata hai.
  • Komal tvacha ke liye gentle scrubs ki baat kare to gende ke fool aur gulab ke fool ki pankhudi ka paste bana ke upyog kiya jaa sakta hai.
  • Papita, tamatar, ananas aur kele ka upyog kiya jaa sakta hai.
  • Teli tvacha ke liye scrub hai potato yane alu ka slice.
  • Chini bhi ek scrub ki tarah upyog kiya jaa sakta hai. Is ke fayde aur kaise chini face scrub ka upyog kare gardan ka rang nikharne ke liye yeh aage jaaniye. 

Chini kyon? 

Neck ka kalapan kaise door kare??? Chini ko grinder me karkara pees de to yeh adbhut scrub banta hai. Dhyan rakhe ki bareek powder na ban jaaye. Chini me hai kai aise khas gun: 

  • Chini ke upyog se jhurriya aur jhai mit jaate hai aur ageing ke effects kam hote hai. 
  • Chini tvacha ko achchi tarah ghisne me kargar hai aur mrut koshika ko aur bacteria ko bhi kheench nikalta hai. 
  • Chini paani choos leta hai aur tvacha me blood circulation improve karta hai. Is se collagen production aur skin cell ka nirman teji se hota hai aur wrinkles kam hote hai. 
  • Chini teli tvacha me se tel ko bhi kheench nikalta hai. 
  • Chini ka gun hai ki yeh tvacha ko komal bana deta hai
  • Makeup remover ke badle chini scrub kai guna behtar hai. 

Gardan Par Kaise Upyog Kare Chini Scrub

Chini itna sasta hai ki khulle haath aap upyog kar sakte hai, har roj, na sirf gardan par balki apne baahe aur pairo par bhi. Poore sharir ko bhi hafte me ek baar chini scrub kare aur dekhe kaise tvacha badal jaata hai. Gardan par chini scrub is tarah istemal kare. 

  • Gardan ko Bhigoye
  • Ab bareek chini le ya to chini ka karkara powder
  • Yeh bhigoye hue gardan (aur anya bhag) par lagaye aur ungli ke sahare ghiste rahe. Jaroor pade to aur chini lagate rahe aur ghiste rahe to mal sab nikalta rahega. 
  • Yeh kriya kam se kam 10 minute tak kare. 
  • Fir gungune paani se dho de. 

Chahe to aap chini ka gaadha syrup bana sakte hai. Thoda chini le aur thodasa paani mila ke ubale. Ab is me nimbu ka ras milaye. Yeh thanda hone de aur ungliyo se gardan par lagate rahe aur ghiste rahe. 

Chini aur Anya Samagri

Beauty tips for black neck in hindi: Sirf chini kafi hai gardan scrub kar ke rang nikharne ke liye. Aur beautifying karna hai to chini ko anya samagri ke saath mila sakte hai. 

  • Chini, coconut oil aur chocolate ka mishran ka upyog kare to yeh tasty, majedar scrub se chehra aur gardan saaf bhi hoga aur anokha nikhar aayega. 
  • Chini aur coffee powder (instant coffe nahin) bhi bahut effective facial aur body scrub hai aur teji se mrut koshika hatane me kargar hai. Cellulite ho to yeh behtreen scrub hai. 
  • Oatmeal ke sath chini milaye aur scrub ki tarah use kare. 
  • Green tea ko ubale aur pani ko alag kar ke chini ke sath scrub karne ke use me le. 
  • Dalchini powder aur chini powder mila ke face aur gardan scrub taiyar kare. 

Sugar Scrub Cubes kaise Banaye???

Make Sugar Scrub Cubes in hindi: Simplest tarika hai ki gardan bhigo ke chini powder se ghise. Aap chahe to sugar face scrub cubes bhi taiyar kar sakte hai is prakar: 

  • Chini le 100 gram jitna aur kadai me rakhe thode paani ke saath ubale
  • Thick syrup ho jaaye tab apna manpasand samagri jaise ki coffee powder, chocolate, oatmeal, dalchini is me milaye. 
  • Ab ice cube tray ke andar yeh syrup dale aur fridge me thanda kare. Thanda ho ke solid hote par nikal ke bottle me rakhe. 
  • Jab bhi scrub karna hai to ek cube nikal ke apne tvacha par ghise. 

Yeh hai aasaan gardan ko gora karne ka totka, tarike chini ko gardan ka rang nikharne ke liye scrub karne ke upay. Try kare aur dekhe kaise gardan smooth, wrinkle-free aur healthy ho jaata hai.

TAGS: #kali gardan ka ilaj in hindi #beauty tips for neck blackness in hindi #kali gardan ka totka in hindi #kali gardan ko gora karne in hindi #how to clean black neck fast in hindi # tips for fair neck and hands # full body fairness tips in hindi #beauty tips for dark neck in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

3 Comments

Reeta Kaul , Nov 08, 2017

meri gardan bahut hi jayeda kali ho rakhi hai mere face se match nahin hoti please help me to remove this kiyunki main jab jewellery set pehanti hun wo bahut bura dikhta hai.

तेजस्वनि, Aug 12, 2017

सब्से पहले अपनी गर्दन को भिगोएन फिर बारीक चीनी लें या चीनी का करकरा पॉवडर लें फिर चीनी पॉवडर से गर्दन और अन्या भाग पर चीनी लगाते रहें और उंगली से घिसते रहें आप देखेंगे की सारी गंदगी यानी की मैल बाहर निकल जाएगी यह क्रिया कम से कम दस मिनट तक करें फिर गुनगुने पानी से धो लें आपकी काली गर्दन सॉफ हो जाएगी|

 

kritika bhagat, May 29, 2018

meri gardan be pahle kali thi fir mene chini wala terika 1hafta apnaya tha fir mana notice kiya ke meri gardan mai sudhar aya ha

aaisha, Jul 20, 2017

aap lease bta sakte hai ki kya karan hai jo mere body ka color mere chehre aur gardan ke color se different kyu hai please help me