ज़रूर जाने क्या गर्भवती स्त्री के भ्रूण को भी होता है दर्द का एहसास

ज़रूर

Agar aap ne garbh dharan kar hi liya hai to aap ke man mein kai saval honge. Ek hai ki kya bhrun ko dard hota hai? Is ka jawab jaane:

  • Scientific research ne yeh sabit kiya hai ki 20me saptah mein bhrun ka itna vikas ho jaata hai ki voh dard ka anubhav kar sakta hai. Kai vaigyanik ka kehna hai ki unhe 20 me saptah mein adults se jyaada dard mehsoos ho sakta hai aur voh bahut hi sensitive hai. 
  • 42 din hone par skeleton ka vikas ho jaata hai aur bhrun respond kar sakta hai.
  • 43 din hone par bhrun ke dimag mein electrical activity note kiya gaya hai yaane ki is samar par bhrun vichar karne ke kaabil ho gaya hai. 
  • 49 dino mein bachche ka rup le leta hai bhrun aur 56 dino mein sabhi organs kaam karne lagte hai.
  • 20 week hone par bachcha pet mein halan chalan kar sakta hai aur 12 inch ka hota hai. 
  • Is samay par abortion yaane garbh girane ka kadapi na soche kyonki yeh hatya samaan hai aur bhrun sabhi tarah se dard aur emotions feel karne ke kaabil hai. 
  • Alag alag tarike hai abortion karne ke magar yeh sabhi kroor hai jaise ki garbh mein namak ka injection, D&E (dilation and evacuation) jis mein vacuum pump ya anya tarike se bhrun ko andar se bahar kheencha jaata hai aur us ke tuke ho jaate hai, aur bachche ko bahar nikal dena aur nikalte vaqt us ke sar mein chaku khos dena. 
  • Ek expert, Dr Marueen Condic, ne US Government ke samne prastut kiya hai ki 28 dino mein hi nervous system ka vikas bhrun mein ho jaata hai aur brain bhi praarambhik sthiti mein hota hai. Un ka daava hai ki 20 week nahin balki us se kai jaldi hi bhrun mein dard ka ehsaas ho sakta hai.
  • 8 se 10 sapte tak to brain aur nerves ke beech mein connection ho jaata hai jis se dard ka ehsaas ho sakta hai. 

Avaaj nahin kar sakta hai magar yeh to pakka hai ki bhrun, bhale hi 12 sapteh ka kyon na ho use dard to jaroor hota hai kyonki voh jeevit hai....और पढ़े>>

TAGS: #pregnancy/health care tips week by week in hindi #early symptoms of pregnancy in hindi #pregnancy guide in hindi #baby care tips in hindi #health care tips in hindi #pregnancy test in hindi #starting pregnancy symptoms in hindi #pregnancy calculator in hindi #pregnancy in hindi month by month #गर्भावस्था #गर्भावस्था के दौरान

यह भी जाने

Read More >>
Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments