Thyroid problem in pregnancy in hindi (hypothyroidism pregnancy): Mahilao ko apne swasth par bahut dhyan dena jaroori hai. Menstrual cycle aur hormonal imbalance se swasth bigad jaata hai. Jab mahila garbhvati ho jaye to aur bhi dhyan dena hota hai kyonki kai aise hormonal samasya khade ho jaate hai. In me se ek hai thyroid ka problem garbhvati mahilao me. Thyroid ka karyapranali disturb ho jaaye aur thyroid hormone jyada ya kam utpadan kare to mata ko aur hone vale shishu par gehra asar hota hai. Jaaniye (how to control thyroid in pregnancy in hindi) pregnancy mein thyroid ki samasya aur kaise bache rahe isse.
थायराइड क्या है
Gale ke bhag me yeh granthi ha jo thyroid hormone khoon me prasarit karta hai aur yeh hormone sharir ke anya granthi ke sahi karya pranali me bahut important hai. Thyroid breathing, heart rate, nervous system, sharir ka tapman, muscles ki majbooti, brain development, skin, vajan aur cholesterol levels par seedha asar karta hai. Thyroid granthi me paida hote hai triiodothyronine aur thyroxine hormones jo yeh sabhi karyapranali par asar karte hai. Kai mahilao me thodasa thyroid problem hota hai aur garbhvati hone par yeh symptoms badh jaate hai aur hypothyroidism (thyroid ki kami) ya hyperthyroid (thyroid ka atirek) samasya khadi ho jaati hai. Jaaniye pregnancy me thyroid samasya me kya hota hai. Pregnancy ke dauran thyroid granthi thoda bahut bada ho jaata hai. Pregnancy me human chorionic gonadotropin (hCG) aur estrogen ke karan thyroid ka praman khoon me badh jaata hai. Estrogen ke karan thyroid binding globulin ka utpadan badh jaata hai aur thyroid ka problem hota hai.
Thyroid me pregnant kaise ho??Pregnancy me thyroid hormone bhrun ko placenta dwara pahunchta hai isiliye kam ya jyada ho to us ke development par seedha asar hota hai. 12 hafte ke baad he bhrun ka thyroid granthi kam karne lagta hai. Isiliye pehle teen mahine ke pregnancy ke aisa samay hai jab bahut savdhani rakhna jaroori hai aur thyroid diagnosis karvana avashyak hai.
Hyperthyroid के लक्षण
Thyroid in pregnancy in hindi : Hyperthyroid condition me bhi garbhvati hone par jo lakshan hote hai aise hee yeh lakshan hai:
Is halat ke karan heart failure bhrun me, blood pressure ooncha hona, aur anya problems hote hai. Hyperthyroid ho to berries, gobhi, brocoli, machli, chicken jaise khadyapadarth aahar me shamil kare.
Magar garbh dharan hone par thyroid ki samasya ke peeche ke karan kya hai? Padhte rahe aur jaaniye.
गर्भ दौरान थायराइड होने के कारण
Symptoms of thyroid during pregnancy in hindi: Garbh theherne par thyroid ke lakshan pragat hone ke peeche kai kaaran ho sakte hai.
Garbh theherne par sharir antibody protein ka utpadan karta hai agar sharir ko aisa lage ki infection ho gaya hai. Is ke karan thyroid granthi me thyroid stimulating immunoglobulin (TSI) ke karan thyroid hormone ka utpadan badh jaata hai. Bahut kam mahilao me Hashimoto thyroiditis hota hai aur sharir ka immune system thyroid par akraman karta hai aur hypthyroid ho jaata hai.
थायराइड से नुकसान गर्भवती महिला को
Thyroid effect on pregnancy in hindi: Thyroid asantulit ho jaaye to mata ko khatra hai aur hone vale bachche ko:
Is ke alava aur bhi asar hote hai jaise ki pachan theek se nahin hota hai aur nutrients threek se absorb na hone par mata kamjor ho jaati hai aur hone vala bachcha bhi.
प्रेगनेंसी के दौरान थायराइड का इलाज ऐसे करे
Thyroid in pregnancy treatment in hindi: Treatment shuru karne se pehle thyroid ka blood test kiya jaata hai aur yeh tay hota hai ki hypo ya hyper thyroid problem hai aur doctor yogya dawai deta hai. Garbhvati mahila ko har mahine blood test karvana avashyak hai taaki dawai ka dose adjust ho sakte.
Saath me balanced aahar aur vitamins lena jaroori hai. Khas dhyan rakha jaye ki iodine rich aahar mata ko mile. Garbhvati mahila ko har roj 250 microgram iodine chahiye. Iodized salt dena jaroori hai.
Hypothyroidism के बारे में और जाने
Hypothyroidism in pregnancy: Hypothyroid ke lakshan garbh theherne par jo hote hai aise hi lagte hai isiliye log jaldi se savdhan nahin ho jaate hai. Yeh hai:
Hypothyroid se anemia ho sakta hai, bhrun ka mrutyu, heart failure aur garbhpat.
Aahar me hare patti vali sabji, berries, alsi ke beej, akhrot, ande, machli, doodh ki banavat, protein, anaj aur dal khaye. Gobhi, soy, meat se bach ke rahe.
गर्भधारण के बाद
Effect of thyroid in pregnancy in hindi: Kai mahilao me aisa paya gaya hai ki delivery ke bad thyroid ki samasya apne aap tal jaati hai jab ki kai mahilao me yeh samasya badh jaati hai aur aisa ho jaata hai ki use jindagi bhar dawai ki jaroorat rehti hai.
Har ek mahila jab garbhvati ho jaaye to pregnancy ke pehle mahine me thyroid hormone ka blood test avashya karvaye taaki jaldi se chikitsa ho. Mata aur bachcha, dono ka swasth ka rakshan hoga.
TAGS: #how to control thyroid in pregnancy in hindi #pregnancy me thyroid in hindi #thyroid problem in pregnancy in hindi #thyroid in pregnancy in hindi #thyroid pregnancy problems in hindi #pregnancy in thyroid in hindi #thyroid pregnancy in hindi #thyroid problem during pregnancy in hindi #hypothyroidism and pregnancy
Ruby Malik, Nov 07, 2017
kiya aap mujhe thyroid se bachne ke liye koi tips bata sakte hain kiyunki main bahut patli hun aur pregnant bhi hun please bataiye
Manish Srivastav , Nov 10, 2017
Meri shaadi nahin hui hai abhi lekin fir bhi mera wajan bahut kam hai please aap koi tips batayen jisse main apna wajan badha sakun saath hi main healthy bhi ho jaaun