बुखार की जांच थर्मामीटर न होने पर ऐसे करें

बुखार

Manushya ke sharir ka tapmaan hai 98.6 degree Fahrenheit. Agar is se jyaada ho jaaye to is ka matlab hai ki vyakti ko bukhar hai. Sharir mein jab pathogen ke viruddh sharir ke immune system ke cells ladai karte hai to tapmaan mein vruddhi hoti hai. Temperature sahi mein badh gaya hai ya to phir bahari karano se ooncha lag raha hai yeh kaise pata lagaye agar hamare paas thermometer nahin hai? Is ke aasaan tarike hai. Fikar na kare. Thermometer na hone par is tarah jaanch kare bukhar ki: 

Gardan aur maathe par haath fere

Gardan par ungli se sparsh karke dekhe. Maathe par ungliya rakh ke jaanch kare. Agar sadharan se garam lagta hai to maan le ki bukhar hai. 

Tvacha ka rang

Tvacha gori ho to laal hogaya hai yeh dikh aata hai. Shyam varna mein yeh farak jyaada dikhai nahi deta hai. Phir bhi rang mein thoda bahut badlav jaroor nazar aata hai.

Bhookh kam lagna, susti, thakaan

Kisi ko bukhar ho aur use us ka gyan bhi na ho magar doosre logo ko nazar aata hai ki roj ke mukable aaj yeh sust lagta hai, thaka paka lagta hai aur kisi cheez mein ya baato mein koi dilchaspi nahin dikhata hai. Voh sab kuch kaam baaju mein rakh ke lambe ho ke so jaane ki ichcha darshaata hai. 

Sar mein dard

Jukham sardi ke saath bukhar aa jaaye to sar mein dard hone lagta hai aur sharir ke anya bhaag mein bhi dard hone lagta hai. Yeh bukhar ke nishaani hai. Ulti jaisa lagta hai kai baar. 

Paseena, kampan, dehydration

Bina kaaran paseena jyaada ho jaata hai, kabhi kabhi thand lagne par kampan ho aisa kampan lagta hai, mareez apne aap mein sikud jaata hai. Bukhar mein dehydration ho jaata hai aur agar paani poorna maatra mein na piye to us ka asar tvacha par dikhai deta hai.

TAGS:#fever meaning in hindi #types of fever #fever treatment #fever in children #fever symptoms #bukhar ke liye gharelu nuskhe in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

4 Comments

विराज सन्याल, Aug 30, 2017

अगर घर में थर्मामीटर ना हो तो बुखार को कैसे चेक करें कियोंकि यह जानकारी सभी के लिए ज़रूरी है ओर हर कोई घर में थर्मामीटर तो नहीं रखता प्लीज़ बताएँ की बिना थर्मामीटर के घर में कैसे जाँचे कि इसे बुखार है|

राकेश गुल, Jun 09, 2017

आज हम आप को यह बताना चाहते हैं की घर पर बैठे बैठे कैसे अपना फीवर चेक कर सकते हैं हमारी कलाई की नाड़ी एक मिनट में 72 बार डिप डिप करती है और सेकेंड मैं 18 बार अगर ये कम या अधिक बार डिप डिप करे तो समझ लो की फीवर है हम मरीज के माथे पर चेस्ट पर हाथ लगाकर भी देख सकते हैं अगर गर्म है या ठंडा है इसका मतलब फीवर है

Pradumm, Mar 24, 2017

I am proud to say and thank you very nice tips

nimu, Feb 27, 2017

bahut badiya tip hai bina thermameter ke bhi fever check kiya ja sakta hai