इको फ्रैंडली होली प्लीज

इको

How to celebrate eco friendly holi in hindi: Holi door nahin hai. Yeh rango ka tyohar sahi mein universal celebration aur festival hai jahan chote bade, male aur female, sabhi koi jaat paat dekhe bina holi me rango se rang jaate hai aur spring ko welcome karte hai. 

Paramparagat tarike se holi par kai aise practices hai jo ki hamare dharti maata ko nuksan pahunchate hai aur jo practice eco-friendly aur environment-friendly nahin hai. Aaiye dekhe yeh prachalit pratha aur yeh sujhav eco-friendly holi ke liye jo har koi responsible nagrik apnaye to kitna hee fayda hoga, no sirf environment ko balki hamare swasth ko bhi. 

Holika Dahan

Sadiyo se yeh holika dahan ki pratha chali aayi hai jis me aam taur par community groups ek dusre se competition karte hai ki kitne jyada lakdi ekattha kare aur kitni badi bonfire banaye. Kya yeh jaroori hai? Kitne ladki aise hee jalaye jaate hai. Kya hum kam lakdi ka istemal kar ke yeh bonfire nahin bana sakte hai? Kam dhua hoga, kam lakdi jalegi aur holi eco-friendly aur environment-friendly holi bhi hoga aur religious purpose bhi fulfil hoga. Lakdi ke badle waste aur scrap ko jalaye.

Synthetic Rang aur Nuksan

Holi aur rang ka janmo ka rishta hai. Prachin kaal me organic vegetable based rango ka upyog kiya jaata tha. Industrial revolution ke bad synthetic dyes saste hone se in ka upyog badh gaya. Kya aap jante hai ki yeh synthetic dye based colors kitne zehreele hai? In se cancer aur skin allergies hone ki poori shakyata hai. Jab yeh mitti me mile aur ground water me dakhil ho ya to gutter ke sahare samudra me ya nadi ya talab me jaaye to yeh dharti aur pani ko dooshit kar dete hai aur pani me rahe kitne hee jeev ka nash hota hai. Powder colors ho to holi khelte samay yeh lungs me dakhil ho ke nuksan karte hai. Adults ko aur khas kar ke bachcho ke liye yeh synthetic colors bahut khatarnak sabit hote hai. Dekhe thodese sujhav jis se aap yeh ane vali holi ko environment-friendly holi, health-friendly holi aur eco-friendly holi bana sakte hai. 

Prakrutik Rang

Prakrutig rang ke upyog se aap khul ke holi khel sakte hai aur in se na to aap ko na to paryavaran ko koi nuksan hai. Prakrutik rang bazar me milte hai aur aap khud ghar par taiyar kar sakte hai. Is tarah taiyar kare prakrutik rang ecofriendly holi ke liye: 

  • Lal rang: Lal rang sabhi ka priya hai. Lal rang banane ke liye paani me haldi dale aur khane ka soda milaye to yeh pani lal ho jaata hai. Ek aur tarika hai rakt chandan ko paani me ubalna jis se ecofriendly red color taiyar hota hai. Ecofriendly red color ke liye tamatar ka ras, beetroot ka ras aur gajar ka ras ka upyog kare. Lal anar ke chilke ko majeeth ke lakdi ke sath ubale aur lal rang taiyar kare. 
  • Peela rang : Organic aur ecofriendly taiyar karne ke liye haldi aur besan ko milaye ya to haldi aur chaval powder mila ke ek dusre par chidke. Gende ke phool ke pankhudiyo ko pani me ubale to organic ecofriendly yellow color milega. 
  • Gulabi rang: Organic ecofriendly Gulabi rang ke liye chukandar ko mixer me firaye aur chaan le. 
  • Hara rang: Eco friendly hara rang ke liye mehndi ke sookhe patte ke powder ko chaval ke aate ke sath milaye ya to pani me milaye. 
  • Brown color: Eco friendly brown color ke liye katha powder le aur thodasa chuna milaye to reddish brown ecofriendly color taiyar hoga. 

Paani

Utsah aur umang me paani ka behad upyog hota hai holi me. Pani ka keemat log nahin samajhte hai. Yeh ek mulyavan prakrutik resource hai aur soch samajh ke upyog karna har ek ki jimmedari hai. Pani ke color ka upyog karne ke bajay dry colors ka upyog kare. Holi khelne ke baad snaan karte hai aur dry colors ka upyog kiya ho to paani bhi kam upyog hota hai. 

Plastic

Aaj kal ek pratha ho gayi hai bachcho me ki plastic ki thaili ya gubbare me pani ya rang bhar ke fenke. Bachcho ko aur tarike bataye to paryavaran par asar kam hoga. 

Symbolic

Holi me rang chidakne mein log overboard ho jaate hai aur had se jyada color ka upyog karte hai. Holi ko symbolic banaye to galo aur mathe par thodasa rang lep kare to rang ka upyog kam hoga, pani ka bhi. 

Foolo se Khele Holi

Holi ke season me fool to dher saare milte hai. Kyon na holi ka maja badhaye aur foolo ke pankhudi ka barsaat kare aur holi ecofriendly banaye?

Har ek family, har ek community, har ek student agar yeh nischay kare ki jimmedari se holi khelna hai to yeh sab kuch sambhav hai aur holi ecofriendly ho sakta hai.

TAGS:#eco friendly holi in hindi #how to celebrate eco friendly holi in hindi #importance of eco friendly holi in hindi #bad effects of holi festivals on the environment introduction in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

3 Comments

Ratka Dhingra, Mar 05, 2018

Maine 2 tarikh ko holi khela lekin mere gale aur kaan par se abhi bhi puri tarah rang nahin nikla hai kiya aap mujhe isko nikalne ka koi tarika bata sakte hain please aap mujhe holi ka rang nikalne ka tarika in hindi bataiye

Surbhi Verma, Mar 01, 2018

नीले गुलमोहर की पत्तियों को सुखाकर बारीक पीसने पर नीला गुलाल भी बनाया जा सकता है इसके अलावा इसका पेस्ट बनाकर नीला रंग बनाया जा सकता है।

योगेश शर्मा , Aug 07, 2017

हर कोई यह समझ ले तो किसी को भी किसी प्रकार का नुकसान नहीं होगा आप होली खेलना चाहते हो तो फूलों से होली खेलें बस आपके विश्वास की ज़रूरत है और आपको देखकर दूसरे भी आपसे प्रभावित होकर वो यही प्रकिर्या अपना लेंगे इससे झगड़े भी कम हो जाएँगे पहले आप फूलों को इकठा कर के उसकी पंखड़ीआं निकाल लें फिर उससे होली खेलें|