कितना सही है रोजाना बाल धोना

कितना

Baalo ki dekhbhaal ke liye bahut saare alag sujhav milenge. Is mein baalo ko dhone ke bare mei kai log kahenge ki agar aap roh nahate hai to baalo ko kyon rehne dete hai?  Kai logo ka kehna hai ki agar roj baalo ko dhoyenge to in mein rahi prakrutik tel ka nash ho ke baal akal safed honge aur jhadne lagenge. Ab kiski baat maane? Kitna sahi hai rozana baal dhona yeh aap khud faisla kare. 

  • Agar jyaada oily hair ho to rozana dhona theek hai magar shampoo ke badle aritha-shikakai-amla ka upyog karna chahiye. Shampoo baalo mein rahe kudrati tel ko bilkul nikal dega aur nuksan pahunchayega. 
  • Rukhe baal ho to rojana dhoye bina agar aap nahin reh sakte hai to har roj shampoo ka upyog karne ke badle nimbu ko nichod ke baalo mein mal de aur phir saada paani se dhoye. Nimbu se mrut koshika nikal jaayegi aur balo mein jo bhi tel hoga voh dhul nahin jaayega.
  • Jin mahilao ke baal kamar tak lambe hai unhe har roj baal dhone mein dikkat hoti hai to week mein 3 baar dhoye to bhi chal jaayega. 
  • Garmiyo mein paseena jyaada hota hai to har roj baal dhone se irritation kam hoga. 
  • Agar dhoop mein jyaada phire ho to bhi baal dhona uchit hai. 
  • Dandruff mein bhi roj baalo ko dhona uchit hai.

TAGS: #baal jhad ka ilaj #kis vitamin ki kami se baal jhadte hai #balo ko jhadne se rokne ke upay #baal ugane ka oil #baal ugane ke upay hindi me #balo ki samasya ka samadhan in hindi #baal badhane ke upay #बाल घने कैसे करे #बालो को उगाना #घने बालो के लिए उपाय #बालो के लिए भोजन #बाल लम्बे करने के टोटके #बालो के झड़ने का इलाज

 

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

2 Comments

Sanogita, Nov 15, 2017

Please tell me how to good or bad to wash our hair daily i want to learn will you please inform with details.

Praveen , Nov 30, -0001

Nice tips