Rusi se pareshaan? Yeh 10 tips aajmaaye 10 din mein rusi se chutkara paane ke liye:
- Baking soda ko paani mein mila ke turant yeh paste baalo ke jado mein lagaye aur 10 minute ke baad dho de.
- Apple cider vinegar ya plain vinegar baalon mein lagaye.
- Nimbu ka ras baalo mein lagaye.
- 2-3 dino tak bahar rakha hua khatta dahi ko baalo ke jado mein lagaye rusi ke liye.
- Mehndi ka paste balo mein lagane se rusi kam ho jaata hai.
- Methi daane bhigoke pees ke baalo mein lagaye hafte mein 3-4 baar.
- Tea tree oil mein anti-fungal tatva hai aur is ko tel mein mila ke baalon mein lagaye.
- Neem ke patte ko paani mein ubal ke yeh paani baalo mein lagaye.
- Mouthwash ko thoda paani daal ke dilute kar ke baalo mein mal de.
- Disprin ke do goli paani mein daale aur yeh paani baalo mein laga de.
- Aloe vera juice mein namak daal ke baalo mein laga de.
TAGS: #रूसी हटाने के घरेलू उपाय #रूसी का उपचार #डेंड्रफ के कारण #बालो को उगाने के उपाय #डैंड्रफ के उपाय #रूसी दूर करने के उपाय #रूसी होने के कारण #डैंड्रफ या रूसी #रूसी होने के कारण
seema, Mar 09, 2017
apke dwara batae hae homeremedies for dandruff bahut badiya hai