Kai logo ki tvacha kudrati taili hoti hai aur sar par bhi yehi samasya hota hai jis se baal bejaan lagte hai aur dandruff bhi ho jaata hai. Paaye chutkara oily hair se is tarah:
- Shikakai, amla aur aritha se baal dhoye. Yeh tel ko dur kar ke rusi bhi kam karega aur balo ko nuksan bhi nahin hoga. Sirf thande paani se hi dhoye.
- Balanced diet khaane ki aadat daale jis me fresh fruits aur vegetables ho.
- Paani adhik peene ki aadat daale.
- Multani mitti ka lep baalo mein lagaye.
- Dahi aur besan baalo mein lagane se excess oil absorb ho jaata hai.
- Baal dhone ke baad green tea ka kadha baalo mein laga ke rakhe.
- Baking soda solution se baal dhoye to excess oil nikal denge.
- Kakdi ka ras baalo mein lagane se astringent ka kaam karta hai aur tel ko dur kar deta hai.
TAGS: #gharelu nuskhe for oily skin in hindi #balo ke liye gharelu nuskhe/upay in hindi #balo ke liye totkay #balo ke style #balo ki dekhbhal #balo ki samasya #balo ki care in hindi #dadi maa ke nuskhe in hindi for hair #hair fall rokne ke tarike