बाल झड़ने से रोकने के घरेलू नुस्खे - Home Remedies for Hair Fall in Hindi

बाल

hair fall treatment at home in hindi (Hair fall solution in hindi) : Badhe ghane, kale aur mulayam ho to dikhava badhta hai. Agar baal kam ho to styling karna mushkil hota hai aur looks bigadte hai. Baal to aise jhadte rehte hai magar un ke jagah naye baal bhi ugte rehte hai. Baalo ki kami tab nazar aati hai jab naye bal itne jaldi se ugte nahin hai. Aise me kya kiya jaaye?, how to stop hair fall in hindi?? Pehle to baalo ko jhadne se roke aur fir baal ko ugane ke liye koshish kare tab jaake fir se baal ghane ho jayenge. Yeh home remedies for hair fall in Hindi (बाल झड़ने से रोकने के घरेलू नुस्खे) ke upyog se baal jhadne se ruk jayenge aur naye bal ugenge aur saath me baal mulayam bhi banenge. Fayda hee fayda hai in hair fall control tips in Hindi, hair fall treatment in hindi,hair fall treatment at home in hindi ke upyog se. 

बाल झड़ने से रोकने के उपाय - Hair Fall Control Tips in Hindi

Hari fall control tips in Hindi me jaaniye baalo ke bare me. Balo ki nischit life hoti hai aur us ke badh yeh jhad jaate hai. Magar saath me naye hair follicles me se naye bal nikal aata hai. Samasya tab khadi hoti hai jab naye bal itne jaldi se nahin ugte hai ya to jo maujood baal hao voh jaldi se gir jaate hai. To yeh baalo ka jhadna kaise roke? Follow kare yeh hair fall control tips in Hindi: 

  • Baalo ke jhadne ka karan hai kai. Is me se ek hai ki baalo me rusi yane dandruff hai ya to koi keede pad gaye hai jo jad me se poshak tatva choos lete hai jis se balo ko poshan nahin milta hai aur bal jhad jaate hai. 
  • Ek aur bal jhadne ka karan hai ki balo ko regularly dhote na ho. Hafte me sirf ek baare dhoye to jad me salts, dirt aur acids jama ho jaate hai jo nuksankarak hai. 
  • Balo ki dekhbhal theek se na kare to bal jhadne lagte hai. Hamesha gungune pani se dhoye. Garam pani se bal na dhoye. 
  • Bal dhone ke bad fine dant vali kanghi ka upyog na kare. Bade gap vali kanghi ka upyog kare aur halke se kanghi kare. Kheenchne se bal toot jaate hai. 
  • Shampoo ek karan hai balo ke jhadne ka. Natural shikakai ka upyog kare. 
  • Hair dye ke karan bal jhad jaate hai. 
  • Heat press use kare curling ya hair straightening ke liye to bal jhadne lagte hai. 
  • Rollers ka upyog na kare. 
  • Balo ko regularly trim karte rahe hair fall rokne ke liye
  • Hair dryer ka upyog na kare
  • Poshak aahar le jis me protein, iron, vitamin B khoob maatra me ho. 
  • Hormone imbalance se bal jhadte hai. Check up karvaye aur treatment le. 
  • Dhoop se bacha ke rakhe baal. 
  • Balo ko tight na bandhe aur lambe samay tak topi ya helmet pehen ke na rakhe.

Upar bataye hair fall tips in Hindi jo laagoo pade voh upyog kare to kafi had tak samasya ka hal hota hai. 

बाल झड़ना कैसे रोकें - How to Control Hair Fall in Hindi

Ab aage jaaniye how to control hair fall in Hindi, बालो का गिरना कैसे रोके?? alag tarike dwara. 

  • Style aur fashion mein log apne baalo me tel nahin lagate hai balki cream petroleum jelly aur gel ka upyog karte hai jo hani karte hai. Simple hair fall solution in Hindi hai nariyal tel ka upyog. Hafte me teen din aap raat ko nariyal tel gunguna garam kar ke jado me ghis ghis ke maalish kare to yeh samasya ka ant hota hai. 
  • Agar dandruff ke karan ya to ju ya aise keede ke karan bal jhadte hai to hair fall control tips in Hindi me jaaniye neem ka upyog. Patte ko paani me ubale aur chan le. Yeh neem ka pani balo me 30 minute tak laga ke rakhe to dandruff kam hoga. Keede ho gaye hai to neem ka tel, aerandi ka tel aur sarson ka tel ka mishran thodasa garam kar ke baalo ke jado me malish kar ke rakhe. 
  • Simple hair fall solution in Hindi hai gudhal(hibiscus) ke phool ka prayog. Gudhal ke patte ka bhi upyog kiya ja sakta hai. Infection ho scalp me to gudhal ka phool, patte aur gende ke phool ko pees ke ras nikale aur balo ke jado me laga ke rakhe 30 minute tak aur har roj kare. 
  • Hair problem solution in Hindi hai aamla. Amla chamatkarik hai. Amla ka sevan kare. Amla ras piye. Amla ka churna ya ras ko dahi, haldi aur nimbu ke ras me mila ke balo ke jado me mal de to balo ka jhadna bandh ho jaata hai. 
  • Hair fall treatment at home in Hindi karna hai jis se balo ka jhadna bandh ho aur naye baal uge to upyog kare pyaj ka ras ka. Pyaj ko mixer me ghuma de jyada pani ke saath aur fir kapde me bandh ke squeeze kare to pyaj ka ras reh jayega. Yeh ras balo me laga ke rakhe aur 30 minute ka bad dho de. Is me kadhi patte dale to aur achcha. 
  • Hair fall control oil ka upyog hamesha kare. Ghar par hee banaye. Nariyal tel, til tel, sarson tel aur neem tel ka mishran kare. Ek lohe ke bartan me dale pyaj ka ras, jatamansi churna, amla churna, bhrungraj churna, mehndi, brahmi churna aur paani. Yeh sab ko ek din tak rehne de. Ab tel dal ke halke aanch par tab tak garam kare jab  tak paani na ud jaaye. Chaan ke rakhe ek side par bottle me aur hamesha upyog kare. 
  • Itna sab kuch nahin karna hai to hair fall control oil me sirf nariyal, jaitun aur aerandi ka tel ka mishran ka upyog bhi kafi hai. 
  • Hair loss solution in Hindi jo aasaan hai voh yeh hai ki mehndi ka paste banaye aur dahi me mila ke balo ke jado me ragad ke lagaye aur ghante bhar tak rakhe. 
  • How to stop hair fall in Hindi ka jawab hai aloe vera. Is ka fresh juice nikale aur nimbu ke ras ke sath mila ke baalo me lagaye. 
  • How to stop hair fall naturally at home in Hindi me prayog kare methi ka. Methi ki sabji khaye. Methi dane ka powder dahi me bhigoke rakhe aur yeh dahi balo ke jado me lagaye. 
  • Hair loss stop karne ke liye kachcha papita ka ras balo me lagaye. 

पुरुषों में बाल झड़ने की समस्या - Hair Loss Treatment for Men in Hindi 

Hair loss treatment for men at home: Upar bataye gaye nuskhe hair fall rokne ke liye purush aur mahilao ko lagoo hota hai. Fir bhi hair loss treatment for men in Hindi kuch is prakar ho sakta hai. 

  • Scalp me lehsun, pyaj aur adrak ka ras nikal ke hafte me at least 2 baar lagaye to yeh hair loss treatment for men in Hindi bahut safal hoga. 
  • Hair fall solution in Hindi for men hai poshtik aahar jis me protein aur iron jyada ho aur saath me paani khoob peete rahe. 
  • Hair fall solution in Hindi for men hai mehndi jo upar bataya gaya hai. Mehndi ke saath kadi patte ka paste banaye aur dono ko balo me lagaye. 
  • Sharab, smoking aur drugs lena bandh kare to balo ka jhadna bandh ho jayega. 
  • Tanav se bach ke rahe aur yoga kare hair loss stop karne ke liye. Exercise bhi karte rahe. Balo ko thodisi dhoop de, jyada nahin. 
  • Hair dryer use na kare. 

बालों को सुंदर बनाने के घरेलू उपाय - Beauty Tips for Hair In Hindi 

Hair fall control tips in Hindi aap ne jaan liya. Ab baalo ko sundar, ghane, mulayam aur chamkile kaise banaye yeh bhi jaan le. 

  • Nimbu ka ras, shahad aur tea ka pani mila ke balo me lagaye to chamak, bounce aur texture adbhut aayega. 
  • Beauty tips for hair in Hindi me jaaniye upyog aloe vera aur ande ka. Egg yellow aur aloe vera balo me lagane se poshan milta hai aur baal naram aur ghane hote jayenge. Aloe vera aur egg white ka upyog se adbhut chamak aa jaata hai. 
  • Bejaan baalo ko khubsurat banana hai to pura anda aur nimbu milaye aur ek chamach nariyal tel mila ke balo me laga ke rakhe. Ek ghante ke baad dhoye. 
  • Shampoo ke bajay amla, shikakai aur aritha se bana pani se bal dhoye. 
  • Amla ka ras lagaye aur yeh beautify karenge balo ko. 

Yeh hai saral gharelu nuskhe hair fall aur hair beautify karne ke liye. Upyog kare aur dekhe kaise balo me jaan aa jaati hai.

TAGS: #hair fall in hindi #hair treatment in hindi #hair fall tips in hindi #hair fall treatment in hindi 

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

12 Comments

मुकेश कुमार, Dec 16, 2017

बॉल गिरने के रोकना का तरीका किया है मुझे आप इसे कंट्रोल करने के टिप्स और कोई होम रिमिडिज भी बताइए जिससे कि मेरे बाल गिरने बंद हो सकें|

Naresh, Nov 27, 2017

Ganjapan ke dur karne ka karan batane ke liye dhanyavaad

सबिया, Sep 11, 2017

ऐसी होम रेमेडीज बताएँ जिससे कि कोई कैसे अपने बालों को गिरने से बचाए और अगर किसी बाल पतले हो यानी की कम हों तो उससे घना कैसे करें सारी बातें विस्तार से बताना जिससे कोई भी समझ सके और अपने बालो को संवार सके

शशि राय, Sep 09, 2017

मेरे बाल पहले काफ़ी घने थे मेरे बाल मे डेनड्रॅफ जैसे नहीं है फिर भी झड़ रहे हैं सो प्लीज़ रिप्लाइ मी मैं क्या करूँ इसकी जानकारी चाहिए

रुक़या, Aug 13, 2017

मेरे डॅंडरॅफ के प्रॉब्लम हमेशा रहते हैं अभी इचिंग हेयर फाल हेर लॉस के प्रॉब्लम बहुत है मैं वाइट वेनिजार हेयर्स में लगाए हैं लेकिन उसका कोई फ़ाएदा नहीं हो रहा है कोई होमे रेमेडी बताएँ

 

सरसों के तेल बालों में रोजाना लगाएँ बा, Feb 22, 2018

सरसों के तेल बालों में रोजाना लगाएँ बाल ना हि झड़ेंगे और काले तथा घने भी हो जाएँगे| वंदना वाजपाई

Muskan Aslam , Aug 02, 2017

Mera baal jhad raha hain sir, koi desi ilaj ho to bataen

komal, Jul 19, 2017

mere sir main dandruf nhi hai aur na hi lice(joo) hai aur mere baal bhi jhadte hai kya baal jhdne ki wjah se mera sir khujata hai kya aur mere baal bhi bahut jhadte hai pura pura baal nikal jata hai

 

Prabhu Dayal, Oct 26, 2017

Hi agar aap hair fall se pareshaan hain to sabse pehale iski tension ko dil se bahar nikalen aur sarson ka tel aur jaitun ka tel mix karen aur lohe ke bartan mai rakhen baad mai anwala ka ras dalkar garam karen baad mai karane se chankar use karen I hope you are satisfied.

 

रोहित, Dec 25, 2017

मेरे बाल गिरने अभी शुरू हि हुए हैं इसे कैसे रोक सकता हूँ इसका तरीका किया है मुझे बताइए जिनसे कि मेरे बाल गिरने से रुक जाएँ| प्लीज़ हेल्प मि

शीला, Jul 13, 2017

मेरे बाल मेरा बेबी होने के बाद अनगिनत रूप से गिर रहे हैं रुकने का नाम ही नहीं ले रहे कोई इलाज आपके पास हो तो बताएँ

Ajay Bag, Jun 24, 2017

Lamba Hona

pooja, May 31, 2017

I have hair fall problem from root what should I do please tell

mohit mishra, May 25, 2017

sir baal bhot gir rhe h plz Koi upay

 

अजय यादव, Oct 05, 2017

हेयर फॉल कंट्रोल होने के आयुर्वेदिक टिप्स दें जिससे कि मेरे बाल गिरने बंद हो जाएँ अगर कोई होम रिमेडीज हो तो मुझे बताएँ जिससे कि मैं घर में ही औषधि बनाकर घर में इस इलाज का लाभ उठा सकूँ|

Nisha, Nov 30, -0001

ye sabhi upcharnuskhe hair fall ko control karne ke lie bhut hi upyogi hai thanks sir jankari share karne ke lie..keep it up.