Home Remedies for Cold and Cough in Hindi - सर्दी खांसी का घरेलू इलाज

Home

Home Remedies for Cold and Cough in Hindi (सर्दी और खांसी का घरेलु उपचार): Mausam badalta hai aur rutu ke badalne se is ka asar swasth par hota hai. Immunity agar kam ho to vyakti ko asani se sardi jukham khansi ho jaata hai. Sardi-jukham virus se hota hai isiliye koi antibiotics kaam nahin karenge. Anti-allergic aur aisi dawai se mood down ho jayega aur hanikarak bhi hai yeh dawai. Is se to behtar hai ki gharelu upchar kare. Janiye sardi khansi ke gharelu upay in Hindi aur ajmaaye. Kaafi farak padega. Ayurved mein sharir me prakruti ke hisab se chikitsa kiya jaata hai aur yeh ayurvedic treatment for cough and cold bahut fayada karak hote hai. Ayurved me kaha gaya hai ki jinhe kaf dosha hota hai un ke sharir me mucus yane balgam jyada utpann hota hai, un ke gale me kharash rehti hai aur asani se asthma ho sakta hai. Kaf dosh hone par susti badh jaati hai.

Ayurvedic Treatment Medicine for Cough and Cold in Hindi 

  • Kaf prakruti ke vyakti ko hamesha sharir mein mucus rehta hai aur ise kam karne ke liye ayurvedic treatment karna theek hota hai. Dhoop me rahe to sharir me balgam kam hoga. Sharir, khas kar ke jodo ko, pet ke bhag par aur chaati ke bhag par garam sek kare. 
  • Meethi cheezo se parhez rakhe. 
  • Raat ko dahi ya chach ka sevan na kare. Doodh bhi kam kar de. 
  • Teekhi cheeze khaye jaise lehsun, pyaj, hari mirch, kali mirch, laung, dalchini. 
  • Vyayam kare aur active rahe kyonki susti se sharir mein cough badhta hai. 

Yeh hair ayurvedic treatment for kaf prakruti magar khansi ho jaaye to kya kare? Ayurvedic treatment medicine for cough and cold in Hindi is prakar hai: 

  • Sadiyo se dadi ma ke nuskhe mein ayurvedic dawai khansi aur jukham ke liye hai khadiradivati. Yeh ayurvedic treatment medicine for cough and cold in Hindi jaaniye ki mooh me rakhna hai aur ras chooste rehna hai. 
  • Cough treatment in ayurveda karna hai yeh samagri ke upyog se. Fitkari ko tave par bhun de aur powder kare. Yeh powder 1 gram le aur haldi, garam doodh me daal ke sevan kare. Sooki aur purani khansi me yeh labh deta hai. 
  • Cough treatment in ayurveda bronchitis type ke khansi ke liye is prakar hai. Kali mirch powder ko gud ke sath mila ke goli bana ke din bhar chooste rahe to sukhi khansi bhi theek ho jaati hai. 
  • Munakke ke sath kala mirch chaba ke khaye to yeh koi bhi prakar ka khansi theek kar deta hai. 
  • Cough treatment in ayurveda kiya jaata hai yashtimadhu ke upyog se. Yashtimadhu churna, kali mirch aur shahad mila ke goli banaye aur yeh chooste rahe. 
  • Ayurvedic treatment medicine for cough and cold in Hindi kahe to haldi jaisa koi nahin. Garam doodh me haldi ek chamach mila ke piye to khansi aur shardi dono door ho jayenge. 
  • Ayurvedic upchar khansi aur sardi me hai sarson ke tel ko halka sa garam kare aur guda dwar par lagaye. 
  • Ayurvedic treatment cough and colds ke liye hai adrak. Adrak ka ras aur shahad mila ke peenese bahut jald raahat hota hai. Sharir se balgam bahar nikal jaata hai. Yeh ayurvedic treatment for cough in children shresht hai kyonki koi nuksan nahin hota hai. 
  • Ek aur ayurvedic treatment for cough in children hai ardusi ka prayog. Ardusi ke patte ko koot ke ras nikale aur shahad ke saath bachcho ko din me 3 baar pilaye 3 din tak. 
  • Ayurvedic cough treatment at home for adults in Hindi bilkul saral hai. Baheda ka ek tukda le aur adrak ka ek tukda. Dono ko mooh me rakhe aur raat ko yeh prayog kare sone se pehle. Yeh ras se balgam bahar nikal jayega aur gale ki kharash kam hogi. 
  • Ek aur saral cough treatment at home for adults in Hindi jaaniye. Gun gune pani me namak daal ke din me garara karne se soojhan kam hota hai, balgam bahar nikalta hai, infection door hota hai aur khansi ka shaman hota hai. 
  • How to remove cough from chest naturally in Hindi jaaniye. Teekhe padarth se kaf aasaani se nikal jaata hai. Kachcha pyaj aur kachcha hari mirch ko kat ke salad ki tarah bhojan ke saath khaye. Chahe to mirch ko halka sa tal de. 
  • How to remove cough from chest naturally in Hindi me bataye ek aur tarike aur yeh hai kali mirch aur lehsun ko koot ke chatni jaisa banaye. Chahe to is mein adrak aur hara mirch bhi shamil kare aur yeh chatni khaye aahar ke saath. Yeh ek uttam ayurvedic treatment for cough and cold in adult hai. 
  • Throat infection ke karan cough hota hai. Inflammation se khansi shuru hoti hai to yeh inflammation mitane ke liye namak ke pani se garara kare aur infection ko nash karne ke liye kachche lehsun chaba ke khaye. 
  • Cough treatment at home for adults in Hindi kahe to yashtimadhu powder le ek chamach aur is mein milaye baarik pisa hua suhaga (borax) aur yeh shahad me mila ke chaate. cough treatment in hindi 

Anya Desi Upay Cough Cold ke Liye

  • Home remedies for cough in Hindi me aage jaaniye ajwain ka upyog. Ajwain ek chamach chaba le to raahat milega. Teekha lagta hai to chini ke saath khaye. Ajwain ko tave par seke aur kapde me baandh ke soonghe. Ajwain ko tel me seke aur yeh tel gala, mathe aur chaati par lagaye. 
  • Ek aur cold treatment in Hindi hai tulsi ka prayog. Tulsi antiviral aur antibacterial hai. Tulsi ka ras nikale aur shahad ke sath sevan kare. 
  • Cold treatment in Hindi jab tulsi se kare to is me kali mirch powder ek chutki, adrak ka ras aur yashtimadhu powder milane se aur fayda hoga. 
  • Cold treatment in Hindi karna hai to nimbu ko kate aur paani me dale. Is me sabut kali mirch dale, adrak ka tukda barik kaate aur daale aur ubale aur nimbu ko andar nichode. Thoda thanda kar ke yeh garam pani chaan ke peete rahe din me 3-4 baar to sardi khansi bilkul kam ho jayega. 
  • Throat infection home remedies in Hindi me ek aur prayog kare. Desi ghee me haldi milaye aur yashtimadhu milaye. Raat ko sone se pehle ek chamach mooh me rakhe aur ras gale me utarne de. 
  • Sardi, jukham aur khansi ho jaaye to peepli ka churna, sonth ka churna, bel ki guda aur munakke ko pani me ubale aur fir is mein sarson ka tel milaye aur fir ubale pani udne tak. Yeh tel chaan le aur 2 boond naak me dale sone se pehle. 
  • Khansi se bahut pareshan ho to cough treatment in ayurveda hai jaiphal ka upyog. Jaiphal ka churna aur yashtimadhu powder ko gud ya shahad ke saath mila ke goli bana ke chooste rahe. 
  • Jukham se pareshan hai to doodh me jaiphal, adrak aur kesar daal ke ubale aur gaadha hone par chutki kala mirch powder dal ke peeye. 
  • Baar baar jukham aur sardi aur khansi hota hai to immunity badhane ke liye khane ka paan ka ras nikale, isme laung powder milaye aur fir shahad aur yeh din mein 3 baar sevan kare. Din bhar mooh me ek laung rakhe aur chuste rahe. Immunity badhane ke liye har roj amla ka churna aur haldi mila ke sevan karte rahe. 
  • Ayurvedic treatment for cough in children hai saral. Yashtimadhu powder aur shahad mila ke chataye. Chahe to is me ek chutki jaiphal powder milaye. Cough ka shaman hoga turant. 
  • Bachcho ka nak bandh ho jaye sardi ke karan to naak me ek boond sarson ka tel daale aur andar mal de. Yeh faydakarak gharelu nuskhe for cold for Babies in Hindi aap ne jaan liye. Doosra upay hai unhe tulsi ka ras aur shahad mila ke pilaye. Adrak ka ras milana chahe to ek boond se jyada na dale. 
  • Saral home remedies for cough in Hindi aur home remedies for cold in Hindi me upyog hota hai alsi ke beej ka (flax seeds). Yeh beej paani me ubale pani gadha hone tak aur fir shahad aur nimbu ka ras mila ke peeye. 
  • Home remedies for baby cough and chest congestion in Hindi me jaaniye upyog eaucalyptus ka. Eaucalyptus oil ko sarson ke tel me mila ke baby ke gale, chaati, mathe par aur pairo ke talvo me maalish kar de. Yeh tel thodasa garam kare aur fir lagaye. 
  • Cold treatment in Hindi for adults ke liye bhi eaucalyptus kaafi asarkarak hota hai. Is ke patte chuste rahe to khansi aur sardi mit jaata hai. 

Yeh hai thodese ayurvedic treatment for cough cold aur gharelu nuskhe sardi khansi ke liye. Prayog kare aur fayda paaye. Yeh cough treatment in hindi bahut aserdaar hai zaroor try kare.

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

4 Comments

राजेश कुमार, Nov 01, 2017

मुझे कोल्ड और कफ हो गया है मुझे इसके घरेलू उपाय और इसके इलाज के बारे में बताएँ और कोई होम रिमेडीज हो तो वो भी बताइए जिससे कि मैं जल्दी से ठीक हो जाउन|

नवनीत, Aug 22, 2017

घरेलू उपचार हिन्दी में खाँसी ओर जुकाम के क्या क्या हैं प्लीज़ शेयर ममी

fatima, Jul 20, 2017

hello mam/sir mere papa ko ek hafte se khaansi hai unhone dwai bhi le li hai fir bhi unko aram nhi hai please koi nuskha btaye jisse unko bahut jald aram mil jaaye

juned, Jul 19, 2017

agar aapko khasi rahti hai aur aap hmesha sardi se paresaan rahte ho to aapko jaiphal, tulsi adrak aadi ka istemal kre aur sabse jaldi asar karta hai wo hai ghee ko garam kre usme gol marich ko piece ke daal ke kha le isse aapko bahut jald rahat dega mujhe to hota hia to main bahut jald thik ho jaati hu