Bachcho ko chikunguniya ho jaaye to khaas savdhani rakhna chahiye. Chikunguniya ek virus ke kaaran hota hai aur sharir ko kamjor bana deta hai.
Bachcho ko chikunguniya ho jaaye to aspirin aur antibiotics na de. Is se behtar yeh hoga ki aap chikunguniya ke gharelu upchar aur chikunguniya ke ayurvedic upchar ko apnaye.
- Bachcho ke liye gharelu upchar ghikunguniya mein number one hai ki unhe khoob paani pilate rehna chahiye. Saada paani na piye to nimbu ka sharbat, mosambi ka sharbat vagairah pilaye.
- Bachcho ko chikunguniya ho jaaye to blood pressure low ho sakta hai to unhe chocolate khilate rahiye jis se bachcho mein energy rahe aur thakaan mehsoos na ho. Low blood pressure ka problem bhi door ho jaayega.
- Bachcho mein chikunguniya ka ayurvedic upay hai papeeta ka patta. Is ke patte ko taaja le aaye aur koot ke ras nikale aur 2 chamach har 3 -4 ghante ko pilate rahe.
- Bachcho ko doodh pilate rahe taaki poshan milta rahe.
- Neem ke patte ko paani mein ubale. Ubalte samay adrak ka paste, kali mirch, lehsun aur dalchini powder daale. Ubalne ke baad chaan le. Yeh paani din mein 3 baar pilaye to resistance increase hoga aur recovery fast hoga.
- Machchar daani ka upyog kare aur ghar mein machchar ghus na sake aise wirenetting laga de.
TAGS: #chikungunya ka ilaj hindi me #chikungunya ke lakshan in hindi #chikungunya treatment in hindi #chikungunya ke gharelu nuskhe #चिकनगुनिया का आयुर्वेदिक इलाज #चिकनगुनिया के घरेलू उपचार #चिकनगुनिया के लक्षण #chikungunya symptoms in hindi #चिकुनगुनिया से राहत पाने के घरेलू उपाय #home remedies for chikungunya in hindi