नए साल में घर ऐसे सजाए - New Year Decoration in Hindi

नए

Naya saal aa chuka hai. Es naye saal mein ghar ko aise sajae jaise apne important mehman ke liye sajate hai vaise hee kare home decoration for New Year. Yeh hai kuch ideas. 

  • Christmas decorations ka upyog kare. Har koi ko Christmas Tree rakhna pasand na ho magar us me jo decorations jaise ki paper balls, garlands aur lights se kar sakte hai. Agar aap ka abhi ka décor disturb nahin karna hai to yeh sasta aur dikhne me lajawaab decoration idea hai. Jagah jagah par metallic paper bal latkaye, candles ke liye jagah banaye, thodese garlands latkaye aur lighting se saja de apna living room. 
  • Rustic aur earthy look ke liye aap pottery ke rang kiye hue vivid aakar ke bartan, clay beads aur clay garlands, clay pots se apne ghar ko sajaye. Yeh baad me nikal ke phenk dena bhi aasaan hai aur environment-friendly hai. Phoolo ka upyog kare saath me aur thodasa foliage to living room ka look bilkul badal jayega.
  • Kalakruti ke items yahan vahan rakh de aur diwal par ek aisa hee artistic poster lagaye to ek understated aur elegant look milega aap ke kamre ko. 
  • Agar lighting sahi ho to aap metal ke art items se saja sakte hai. Peetal ke lamp ya statue lagaye aur peetal ya tambe ke bartan ko ek ke upar doosra aisa rakh ke sajaye to kuch aur hee baat banti hai. 
  • Jyada kuch nahin karna hai to ethnic wall hanging aur sofa ko drape karne ke liye rustic embroidery vale kuch namine chune jis me embroidery aur mirror work ho to dekhiye kya raunak aata hai. Koi paper lamp shades jaise ki japanese type ya to rang birangi chinese type ka upyog kare.
Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments