Gudhal yaane hibiscus. Is ke fool gulabi, safed aur lal rang mein hote hai, single petal mein aur guchchedar bhi. Yehsabhi jagah par log apne garden mein ugaate hai aur log is ke phool ko pooja mein istemal kiya karte hai. Gudhal ke kai aur upyog bhi hai. Is ka chai bana ke peene se chitt bilkul shaant ho jaata hai aur raat ko peene setanav door ho ke neend achchi aati hai. Agar dimag par phool itna achcha asar karta hai to dimag ke upar rahe baalo par kitna achcha asar hota hoga yeh aap sochiye. Prayog kare gudhal ka apne baalo ke liye.
Gudhal ka kaise prayog kare baalo ke liye?
- Gudhal ke phool aur gudhal ke patte ko koot de thoda paani ke saath. Aur kuch natak nakhre kiye bina seedha ise apne baalo mein laga le to baalo ka jhadna bandh hoga, naye baal ankurit hone mein madadroop hoga aur baal ka rang bhi gehra hota jaayega.
- Har roj aisa nahin karna hai to gudhal ke phool aur patte ko pees ke nariyal tel mein milaye. Is mein til ka tel aur sarsoon ka tel daal ke ubale halke aanch par. Pani udne par thanda kare aur hair oil ke taur par use kare. Upar jaise hi fayde hai.
- Conditioner ke peeche paise kyon kharch kare. Gudhal ke patee ko koot ke ras nikale aur chai ke paani ya nimbu ke ras mein mila ke baalo mein laga le. Jhadte baal bhi bandh ho jaayenge.
- Gudhal ke phool aur patte ko mehndi ke saath koot ke baalo mein lagaye to jo rang aayega log dekhte hi reh jaayenge. Dandruff bhag jayega side benefit hai.
- Gudhal ke patte aur phool bahut powerful hai. Ande daale to aur power badh jaata hai yahan tak ki naye bal ankurit hote hai.
- Aap sochte honge ki aamla kahan gaya? Amla ka bhi gudhal ke phool aur patte ke saath upyog kare to baal ke jad sambandhit samasya ka naash hoga.
- Chaval ka dhoya hua paani gudhal ke patti ke paste ke saath mila ke baalo mein lagaye to mahin bal mein do muhe baalo ka prashna khada hi nahin hoga.
- Baalo mein khujli hai? Gudhal aap ka bachav karegi. Upar bataya hai aise upyog kare.
- Hum dahi ko nahin bhool gaye hai. Baal aur dahi ka rishta anokha hai. Gudhal aur dahi ko baalo se mulakat karva de to Baal bilkul well behaved aur mulayam ho ke rahenge. Kale aur chamakda honge voh bonus hai.
- Methi ke daane ko bhigoye aur koot de. Gudhal ke paste ke saath mila ke jado mein lagaye. Sabhi kesh sambandhit samasya ka hal hai.
- Sirf gudhal ke phool ko paani mein ubal ke paani ko baalo mein lagaye to beautiful color aata hai aur baal condition ho jaate hai.
Gudhal ke gun
Gudhal baalo ke liye shresht hai kyonki is mein hai mahatvapurna amino acids aur alpha hydroxy acids. Saath mein Vitamin C aur A hai jo baalo ke liye poshan karak hai.
Is ke regular upyog se ganjapan door hota hai, baal ke jad aur bal majboot hote hai aur ghane aur dark bhi ho jaate hai. Yeh conditioner ka bhi kaam karta hai. Saath mein, koi nuksan nahin karta hai.
आईशा , Jul 14, 2017
हर रोज बालों को धोएँ सप्ताह में दो बार बालों को दही से धोएँ नींबू के रस और नारियल के तेल से बालों में दो बार हर सप्ताह मसाज करें आप मेहंदी के पानी से भी बालों को धो सकते हैं गीले बालों में कभी भी कंघी ना करें