अनार के छिलके के फायदे - Health Benefits of Pomegranate Peels in Hindi

अनार

Benefits of Pomegranate Peels in Hindi (अनार के छिलके के फायदे) : Agar anar daane ke fayde behad hai swasth ke liye to anar ke chilke me bhi gun kuch kam nahin hai. Anar ke chilke ko aam taur par phenk diya jaata hai. Behtar yeh hai ki chilke bacha ke rakhe, sukha de aur is ka churan taiyar kar ke rakhe. Kabhi bhi kaam ayenge. Sukhaye bagair anar chilke ko pees ke paste bana ke upyog kiya jaa sakta hai aur aap dekhain

अनार के छिलके के उपयोग -  Uses of pomegranate peel in hindi

Anar ke chilke ke upyog kai hai. Yeh gale me tonsil ho, tvacha par jhurriya ya muhase, dantko ka sadan, bavasir, khansi, dast jaise taklifo me atyant upyogi hai. Anar ke chilke me se kapde ko rang karne ka bhi purana tarika hai jo paramparagat tarika hai. Padhte rahiye aur janiye anar ke chilke ke upay aur anar ke chilke ke upyog. 

अनार के छिलके से त्वचा को फायदा - Benefits of pomegranate peel for skin in hindi

  • Anar ka chilka kadva aur toora hai aur is me hai kai aise tatva jis se tvacha ko fayda hota hai. Anar ke chilke ka totka kare to keel muhase aur fode se milegi mukti. Anar ke chilke ko pees le aur anya samagri jaise ki shahad, neem ka pani, aloe vera ke sath mila ke lagaye aur tvacha ko muhase se rakhe mukt. Chilke ko bhun ke pees de to is se aur fayda hoga. 
  • Anar ke chilke ke labh tvacha ke liye yeh hai ki yeh tvacha me rahe collagen koshika ke nirman me sahayak hai jis se jhurriya aur budhape ke asar door rehte hai. Chilke ko pees ke gulab jal ke sath chehre par lagaye hafte me teen baar. 
  • Anar ke chilke ke faide tvacha ke liye hai ki tvacha me nami banaye rakhti hai aur chehre ko saath me saaf bhi karti hai. Anar chilke ka totka kare chilke ko pees kar dahi ke saath mila ke chehre par lep karne ke liye. 
  • Chilke ka churan me thodasa tel mila ke chehre par lagaye aur dhoop me jaye to sunscreen ka kaam karti hai. 

अनार छिलके के फायदे बालो के लिए - Benefits of Pomegranate Peels for Hair in hindi

Balo me rusi hatane ke liye anar chilke ke churna ko tel me mila ke jado me maalish kare. 

अनार छिलके के सेवन से वजन कम करे - Pomegranate peel for weight loss in hindi

Anar ke chilke ke upyog kai hai aur is me ek hai vajan kam karne ke liye. Anar chilke ka churna le aur is me jeera aur chaach milaye aur sendha namak mila ke piye to soojhan, aant ki taklif, vasa ki taklif, pachan ki taklif sabhi door honge aur rakt ka shuddhikaran hoga. Vajan apne aap kam hoga.

खाँसी के लिए अनार के छिलके का उपयोग - Pomegranate peel for cough in hindi

Gale me kharash ho, hamesha suki khansi rehti hai aur soojhan ho to anar ke chilke ka totka kare aur ho jaye mukt is taklif se. Anar ke chilke ko paani me ubale aur is paani se garare kare din me teen baar. 

अनार के छिलके से दस्त बंद करे - Pomegranate peel for diarrhea in hindi

Anar ke chilke ke upay dast bandh karne ke liye prachalit hai aur kaafi asardar. Khas kar ke bachho me yeh uchit hai kyonki is ka koi aad asar nahin hai. Chilke ko bhun le aur churna banaye aur ajwain chutki le ke churna banaye aur inhe chaach me mila ke mareez ko de to dast aur dast ke saath khoon aata hai to yeh bandh ho jayenge. 

अनार के छिलके से बनाए त्वचा गोरी - Pomegranate peel for skin whitening in hindi

Anar ke chilke ke upyog kai hai aur is me se ek hai tvacha ka rang halka karna. Chilke ka churna banaye aur dahi, haldi, nimbu, shahad  ke saath mila ke thodese boond nariyal tel mila ke chehre par lep lagaye. Hafte me teen baar kare to tvacha ka rang nikhar jayega aur tvacha bhi hara bhara ho jayega. 

अनार के छिलके से ढीले स्तन बनाए कठोर - Pomegranate peel for breast firming in hindi

Anar ke chilka toora aur kadva hota hai jis ka gun stan jo dheele ho gaye ho to unhe fir se kathor banane me upyog kiya jaata hai. Anar ke chilke ka churna le aur aloe vera ya to egg white me milaye aur thodese boond sarson ka tel mila ke stano par laga ke maalish kar aur fir lep kar ke rehne de. 3 Mahine me kaafi fark hoga. 

अनार के छिलके से प्राकर्तिक बालो को रंग दे - Pomegranate peel for hair color in hindi

Anar ke chilke ke fayde in Hindi aap padh rahe hai aur is me anar ke chilke ka totka hai baalo ko prakrutik tarike se rangne me. Anar ke kachche chilke ko ya to suke chilke ke churna ko lohe ke bartan me rakhe paani daal ke. Is me imli ke been ko bhigo ke chilke nikal ke pees kar ke sath me daale aur fir gudhal ke fool ko pees ke milaye. Thodasa amla powder dale. Yeh mishran ko thodasa ubale.  Ek din tak rehne de. Aur fir yeh paani chaan ke balo me aur jado me laga ke rakhe 1 ghante tak. Kandhari anar le to gehra rang aayega jo kisi hair dye se lana mushkil hai. Is me na koi ammonia ya peroxide hai to baal bhi prakrutik dhang se surakshit rehte hai. Is me anar ke beej ka ras dale to aur bhi achcha. 

Yeh hai anar ke chilke ke faide in Hindi aur anar ke chilke ke upyog kaise karna thode tarike. Aajmaaye aur dekhiye kamal anar ke chilke ka. Anar khaye, chilke bacha ke rakhe aur upyog kare......और पढ़े >>

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

9 Comments

Deeraj Sarna , Oct 16, 2017

Mujhe nahin pata tha ki anar ke chilke ka bhi koi fayeda hai lekin jab maine yeh article padha to pata chala ki iske bahut hi kamal ke fayede hain main to khamkha isko kuda samajh ke fenk deti thi.

Shalini Agarwaal, Oct 12, 2017

Aapne jo anar ke chilke ke fayede bataye hain wo kamal ke likhe hue hain thanks for this post kiyunki yeh hame kai sare fayede batata hain jinke bare mai hame pata bhi nahin tha.

Olive, Oct 11, 2017

Benefit of pomegranate is very nice I will try this health benefits.

Roshan Kumar, Oct 10, 2017

Agar aapke gale mai dard hai to anar ke chilke ka powder ko paani mai daal ke ubaal ke piyen isse aapke gale ke dard ko rahat milegi.

Jai Shree, Oct 07, 2017

Chehre par muhase hojaayen to us par anaar ka chilka ghisne se wo thik ho jaate hain iska ek nuskha yeh bhi hai ki aap aanar ke chilke ko bhunkar aur sukhne ke bad uska paste gulabjal mai milakar lagaenge to aapki skin bahut glow karne lagti lagegi.

Karan Besoya , Oct 06, 2017

The benefit of peel of pomegranate that was awesome and amazing i liked it very much.

Monika Rawat, Oct 04, 2017

Aapne likha hai ki anar ke chilke ka churan bna ke usme tel mila ke uska istemaal apne chehre par karenge to sunscreen jaisa kaam karega lekin mujhe ye samjh nhi aaya ki anar ke chike ka churan kaise banaya jaye?

जाहन्वी, Sep 27, 2017

अनार के छिलके से फेस के सारे दाने ओर ब्लेकहेड्स ख़तम हो जाते हैं मैने यह आपके देसी घरेलू नुस्खे से जाना यह मेरे लिए बहुत हि फ़ाएदेमंद रहा मैने अनार के छिलके को भून के ओर इसे पीस के अपने फेस पर 1 वीक तक लगाया ओर मेरा फेस अब बहुत क्लीन हो गया है यह आपके घरेलू नुस्खे बहुत अच्छे हैं आप ऐसे हि अच्छे अच्छे नुस्खे लाएँ मुझे बहुत पसन्द आ रहे हैं|

Laksha, Jun 05, 2017

anar se khoon banta hai aur low BP aur chaaker aane khatam ho jate hai garmi mei