अदरक की चाय के फायदे - Health Benefits of Ginger Tea in Hindi

अदरक

Benefits of ginger tea in hindi : Aksar chai me adrak daale aur piye to is ka flavour aur asar kuch alag hee hota hai. Sardiyo me piye to sharir me garmi aa jaati hai aur aise bhi piye to hum refresh ho jaate hai. Chai me gun hai kai aur adrak mein bhi. Dono ke sangam se aur bhi fayda hota hai. Jaaniye ginger tea benefits in hindi, adrak ki chai ke faide in hindi aur jab bhi chai banaye adrak ka upyog kare. 

चाय(Tea) के गुण और तत्व

Tea chahe black ho ya green us me hote hai polyphenols aur catechins jo powerful antioxidants aur cancer se bachane vale tatva hai. Black tea voh hai jis me taje chai ki patti ko kuchal ke ferment hone diya jaata hai jis se tannin ki matra badhti hai aur polyphenols me thodasa parivartan hota hai. Green tea voh jai ki patte ko kat ke seedha sukhaya jaata hai aur is se us ke prakrutic catechins aur polyphenols tatvo me badlav nahin aata hai. Tea me se milenge theanine, theobromine aur anya theaflavins. Saath me hai EGCG group ke flavonols aur polyphenols jo cancer se bachaye aur soojhan ko kam karte hai. Caffeine bhi tea me paye jane wala ek tatva hai. 

अदरक(Ginger) के गुण और तत्व

Ginger Health Benefits in Hindi :Ginger yane adrak bhi swasth ka khajana hai. Is me hai kai aise tatva jo swasth ke liye fayda karak hai. Is me jyada pramaan mein hai zingiberene essential oil. Doosre tatva hai beta-sesquiphelendrene aur ar-curcumene. Gingerol se milta hai teekhapan. Gingerol voh tatva hai jo cancer ke samne ladta hai aur soojhan kam karta hai. Aur detail mein dekhe to adrak me hote hai beta bisabolene, alpha farnesene, paradol shogaol, amino acid, phytosterol, ansh matra mein nicotinic acid aur vitamin A aur kai khanij padarth. Ginger ka flavor aata hai zingiberene aur bisabolene se jab ki teekhapan hota hai gingerol aur shogaols se. Yeh sabhi ke positive asar hai na sirf cancer me balki arthiritis, pachan, gas, dast, acidity, pet me dard, bhook na lagna, sex power badhane ke liye, sharir ko garmi deta hai, lahu swach karta hai, ulti mita deta hai aur aise anya fayda deta hai. Adrak aise hee chaba ke khaye ya to ras nikal ke piye ya khane me milaye to ginger root benefits in Hindi yeh hai ki overall swasth improve hoga. Yeh tonic hai, rasayan hai, aushadh hai aur swad badhane vala samagri hai. Pet aur pachan sahi rakhe, khoon swach kar ke heart healthy rakhe aur dimag aur gyantantu ko bi top condition me rakhta hai adrak. Badan me dard ho to adrak se fayda hota hai. Mahavri ke samay adrak ka sevan peeda kam kar deta hai. Kabz me adrak fayda deta hai. Shardi jukham me adrak se relief milta hai aur jaldi se theek ho jaata hai mareez.

चाय और अदरक अनोखा संगम

Ab black tea ya green tea aise hee piye aur us mein ginger yane adrak milaye to kaafi farak hota hai. Ek to swad behad badh jaata hai. Doosra, dono saath me kaam aisa karte hai ki fayda hee fayda hai. Jaaniye ginger tea benefits in Hindi. 

अदरक की चाय के फायदे - Ginger Tea Benefits in Hindi

Ab janiye adrak ki chai ke labh(अदरक की चाय के लाभ) in hindi me:

अदरक की चाय for Weight loss in Hindi

Jaaniye benefits of ginger tea for weight loss in Hindi. Agar vajan kam karna hai to aap green tea peeyenge. Magar adrak ki chai for weight loss ke lie upyog karnee hai to chai mein adrak ka ras milaye to aur bhi fayda hoga. Yeh adrak chai ka fayda paana hai to savere khali pet piye. Is chai mein adrak, kali mirch powder, shahad aur nimbu ka ras milaye. Pet saf hoga, cholesterol kam hoga aur vajan niyantran mein rahega. 

सर्दी जुकाम ठीक करे - Adrak ki Chai for Cough in Hindi

Green tea ya black tea banaye magar adrak ka ras aur nimbu ka ras avashya dale aur is mein pudina ke patte ka ras bhi daale. Sardi jukham mein shahad mila ke yeh chay din mein teen baar piye to bandh nak, gale ki kharash, khansi aur running nose sabhi ka ilaj hota hai. 

ब्लड सर्कुलेशन और दिल के लिए - Adrak ki Chai for Circulation in Hindi

Health benefits of ginger tea in Hindi bataye to is ke niyamit sevan karne se pachan theek rehta hai. Japan me log khane ke saath green tea ka sevan karte hai. Adrak vali tea ka sevan kare to khana theek se pachta hai, gas nahin hota hai aur energy rehta hai. Saat mein adrak ki chai me adrak aur chai ke gun apne lahu ko svach kar dete hai, adrak cholesterol kam karta hai aur dil ko bilkul tandurast rakhta hai. Ginger me potassium khoob hota hai jo dil ke liye faydakarak hai. 

टेंशन कम करे और रिलैक्स हो जाए - Adrak ki Chai for Relaxation in Hindi

Zingiber officinale scientific name of ginger hai. Is me rahe gingerol aur zingiberene jo chitta ko shant kar dete hai. Chai me hai theobromine aur theophylline jo aap ko relax kar dete hai. Adrak chai kaam karne ke baad pene se tension khatam ho jaata hai aur relax ho jane ke saath, vyakti aaraam se so sakta hai. 

दर्द शमक

Adrak ke tatva sharir me aur gathiya ke karan jodo me dard kam karne me kargaar hai. Ginger tea benefits yeh hai ki aap relax aur refresh to honge aur saath me badan me dard aur jodo ke dard me raahat milta hai. 

Immunity के लिए उत्तम - Adrak ki Chai for Immune System in Hindi

Ginger antioxidants ka khajana hai aur chai bhi antioxidants ka khajana hai. Ab yeh ginger tea dono ke guno ko aur tej karta hai aur agar is me thoda long powder aur dalchini powder daal ke piye to na pucho baat. Immunity tej karna hai aur cancer se surakshit rehna hai to is tarah se ginger piye. 

उल्टी-मतली ठीक करे

Garbhavastha me mahilao ko ulti jaisa hamesha feel hota hai. Aise me adrak vali chai peeye ya to adrak ko hatheli pe ghis ke soonghe to ulti aana bandh ho jaata hai. Kai logo ko travel sickness hota hai. Safar ke pehle adrak chai peene se yeh samasya khadi nahin hogi. 

महावारी में आराम दिलाए

Kai mahilao ko mahavri ke samay pet me dard or soojhan ho jaata hai. Aise me din me 3 baar adrak chai peeye to peeda kam hota hai kyonki adrak aur tea muscles ko relax kar dete hai. 

भूख बढ़ाए 

Baithe baithe kaam karne se bhook kam lagta hai. Pet me kabz ho aur gas ho to bhi bhuk nahin lagta hai. Indigestion ho to bhuk kam lagta hai. Bas, ginger tea ka sevan kare aur dekhe kaise yeh sabhi samasya hal ho jaate hai aur bhuk teji se lagta hai. 

अस्थमा में आराम दिलाए

Kai logo mein asthma yane ki dama ke karan swas lene ke taklif hota hai. Adrak aur chai me aise tatva hai jo swas nali me se mucus nikal dete hai, inflammation kam karte hai aur swas lene me aasani ho jaata hai parinamswaroop. 

अदरक का पानी का फायदा - Adrak ke Pani ke Fayde in Hindi 

Kai baar aisa hota hai ki chai logo ko pasand nahin hai ya to chai me caffeine se side effects hote hai. Aise me sirf adrak ka paani ka sevan ho sakta hai. Jaaniye benefits of ginger water in hindi(अदरक के लाभ): 

  • Jodo me dard ho aur soojhan hai, aant me soojhan hai aur sharir me soojhan hai to paani ubale jis me adrak kuchal ke daalo ho. Chaan kar shahad ke saath pee le. Soojhan kam hoga. 
  • Ginger antioxidant hai aur aise ginger water peene se pachan to theek hoga hee aur saath me immunity bhi badh jaata hai. 
  • Weight loss ke liye din me 4 baar ginger water ka sevan kare. 
  • Adrak me gingerol aur zingiberene cancer se surakshit rakhte hai. 
  • Dimag tej ho jaata hai. 
  • Vyakti active ho jaata hai. 
  • Acidity kam ho jaata hai. 
  • Diarrhea ho gaya hai to dast bandh ho jaate hai. 

अदरक के फायदे और नुकसान - Ginger Allergy aur Side Effect in Hindi

Kyonki adrak ke andar gingerol hai jo mirchi ki tarah teekha hota hai, to jyada khane se bhi nuksan aur allergy ho sakta hai. Jaaniye ginger allergy in Hindi, side effect of ginger in hindi: 

  • Jinhe ginger se allergy hai to tvacha par laal fode ho jaate hai aur soojhan aa jaata hai. 
  • Kabhi kabhi khujli aati hai
  • Pet me jalan aur dard hota hai
  • Chakkar aata hai aur behosh ho sakta hai
  • Ankhon me khujli hoti hai
  • Saans lene me taklif aur ulti ho sakti hai. 
  • Gale me kharash ho jaata hai. 

ध्यान रखे - Ginger Tea Side Effects in Hindi

Adrak ke Nuksan in Hindi: Kyonki adrak me tej tatva hai to hamesha seemit matra ka sevan kare. Din me ek inch se bada adrak ka tukda na khaye. Din me 5 gram jyada se jyada le sakte hai. Bachcho ko 2 gram kaafi ho gaya. Pregnant mahila ko 1 gram se kam lena chahiye kyonki jyada khaye to birth defects ho skata hai aur miscarriage ho sakta hai. Jyada adrak khaye to neend jaisa lagta hai. Jinhe bleeding ki samasya hai to adrak kam khaye. Adrak se blood sugar down hota hai to diabetics agar dawai lete hai to soch samajh ke adrak khaye.  Agar mata bachche ko doodh pilati hai to kam khaaye. Jise pitte ki pathri hai voh adrak na khaaye. 

Din me ek baar to adrak chai avashya piye aur ho sake to 3 baar aur dekhe is ke fayde.

TAGS:#अदरक की चाय के स्वास्थ्य लाभ #ginger tea benefits in hindi #side effect of tea in hindi #ginger benefits for hair growth in hindi #medicinal use of adrak #ginger in hindi name

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

6 Comments

Kareem Khan , Feb 17, 2018

Mujhe bahut tention hoti hai kiya aap mujhe koi gharelu nuskhe bata sakte hain jisse meri tention khatm ho jaaye kiyunki aaye din mujhe tention hoti hai aur sir mai dard hota hai.

Sudarshan Chopra , Feb 16, 2018

Jaisa ki maine suna hai ki adrak ke faayede in hindi bahut hi saare hain lekin kiya aap mujhe adrak ke nuksaan in hindi bata sakte hain please aap mujhe adrak ke side effects in hindi bataiye

Meera Aggarwal, Feb 15, 2018

Ginger ke faayede to mujhe pata hain lekin kiya aap mujhe iska nuksaan bata sakte hain agar adrak ke nuksaan hain to pleasee aap mujhe adrak ke nuksaan in hindi batayen

Supriya Thakur , Feb 14, 2018

Mujhe kai din se bahut hi jaayeda tej khansi ho rahi hai maine dawai bhi li lekin koi faayeda nahin hua please aap mujhe koi tips batayen kiya main adrak ka istemaal khansi ke ilaz ke liye kar sakti hun/

Munni , Feb 12, 2018

Mujhe kai din se bahut hi jaayeda khansi ho rakhi hai iske liye maine dawai bhi li hai lekin iska koi faayeda nahin hua hai kiya aap mujhe koi gharelu nuskha bata sakte hain jo khansi ko dur kar sake.

Reeta Malhotra , Feb 08, 2018

Mere sir mai bahut hi jaayeda dard rehta hai maine yeh waali problem doctor ko bhi dikhai par koi faayada nahin hua kiya aap mujhe yeh bata sakte hain ki kiya adrak waali chai isme koi help karti hai please aap koi aisa tips batayen jinse mera sir dard khatm ho sake