मुट्ठी भर अखरोट खाएं और अमर हो जाएं

मुट्ठी

Akhrot Benefits: Akhrot anokha hai kyonki us ka aakar brain jaisa hai. Yeh brain power hee nahi balki health ke liye bahut upyogi hai jo aap jaanenge aage padhne se.

Sada swasth rehna ek sapna nahin hai. Bas ek muthi bhar akhrot ki jaroorat hai aur aap rahenge lambe umar tak taro taaza. Kyonki akhrot mein hai kai aise tatva protein aur fats aur minerals ke alava. 

  • Akhrot ek aisa nut hai jis mein se aap ko milega omega 3 aur quinone juglone, tellimagrandin aur morin jo atyant shaktishaali antioxidants hai jo cancer se poorna suraksha dete hai. Saath mein diabetes, dil ki bimari aur metabolic syndrome se bhi aap ko bacha ke rakhenge.
  • Akhrot mein hai omega 3, copper, manganese, molybdenum, unsaturated fat aur protein aur potassium bhi jo heart, brain, nervous system aur cellular function ke liye faydemand hai. 
  • Ek mutthi akhrot se LDL cholesterol kam ho ajata hai.
  • Ek mutthi akhrot se potassium-calcium-magnesium itna milta hai ki raktchaap ka bhay nahi rehta hai. In ki karyakshamta omega 3 aur alphalinolenic acid se badh jaata hai. 
  • Ek muthi akhrot se breast cancer aur prostate cancer se suraksha.
  • Akhrot se haddi rahe majboot aur vajan rahe niyantran mein.     
  • Dimag tej ban jaata hai aur neend bhi achchi tarah se aati hai kyonki akhrot mein hai melatonin. 

Yeh information jaroor share kare. Walnuts agar share na kare to koi baat nahin!

TAGS: #Akhrot benefits #benefits of akhrot #akhrot benefits for men #health benefits of akhrot #akhrot health benefits #dry fruit akhrot benefits #akhrot fruit benefits

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

8 Comments

Aman, May 20, 2017

akhrot se neend bhi acchi aati hai aur stress bhi kam hota hai

Joshi, May 16, 2017

heart aur brain ke liye superfood hai walnut

Nitin, May 02, 2017

akhrot yani walnut weight loss mei bhi madad karta hai

Jyoti, Apr 19, 2017

walnut dimag ko majbooti deta hai, baccho le liye iske bahut fayde hai

Hiina, Apr 11, 2017

Akhrot raat ko acche se dho kar bhigo de aur rooj subah khaye khali pet 4 aade pees

Lekha, Apr 02, 2017

balo ka girna bhi kafi had tak rokta hai akhrot

Aashi, Mar 23, 2017

thanks for nice tips

Rajvi, Mar 18, 2017

dil le liye bhi lamkari hai akhrot