Chach, lassi, buttermilk ya mattha kaho, baat ek hee hai. Buttermilk dahi mei se banta hai aur jahan ayurved ne dahi ko pachne me bhaari maana hai aur ushna kaha hai vahan chhach ko sheetal aur pachne me halka maana hai. Ayurved ne chhach ke gun ko toora kaha hai jo pachne par madhur ras paida karta hai aur yeh kaf aur vaat ka shaman karta hai. Chhach se vayu ka nash hota hai aur agni pradipt hota hai. Chhach vish nikal deta hai aur viryavardhak hai. Chhach probiotic hai aur sharir ko sabhi tarah se faydakarak hai. Chhach peene ke fayde jaaniye aur ise apne jeevan ka ek hissa bana le to hamesha rahenga swasth.
7 Benefits Of Buttermilk - छाछ के फायदे
Desh ke kai hisso me paramparik pratha hai ki khaane ke saath chach avashya pesh kiya jaata hai aur is ke peeche wisdom hai. chhach ke fayde hindi me jaaniye.
शरीर को ठंडा रखता है
Khaana khaane ke baad hamesha chaach peena chahiye to sharir thanda rehta hai, khaana pachta hai aur taqat milta hai. Yeh 7 benefits of buttermilk me se ek hai.
मिनरल्स की कमी को पूरा करे
Chhach me hai calcium, phosphorus, vitamin K, A C aur B jo sharir ke liye poshak hai aur minerals ki kami ko poora karta hai.
आँतो को सॉफ करता है
Chhach ke fayde me ek aur hai ki yeh aanto ko saaf karta hai, vish bahar nikalta hai, is ke probiotic lactobacillus kharab bacteria ka nash karte hai, cholesterol ko kam karte hai aur vajan niyantran mein rakhta hai chhach.
शरीर को अच्छी तरह से हाईडरेट करता है
Garmiyon mein cold drink peene ke badle chas piya jaaye to dhoop ke aad asar se aap bach jayenge. Dhoop mein jaane se pehle aur dhoop mein se aane ke baad chhach ka sevan kare to loo nahin lagega, yeh hai buttermilk benefits. Sharir ko achchi tarah se hydrated rakhta hai chhach.
ब्लडप्रेशर को कंट्रोल करे
Chhach ke niyamit sevan karne se raktchaap nahin hota hai aur ho to kam ho jaata hai.
दिल की बीमारियो से बचाए
Dil ki bimariyo mein dil ko majboot banata hai chhach.
बढ़ाए इम्यूनिटी
Aant ko saf kar ke, vish ko bahar nikal ke, chhach aap ko rakhe swasth aur badhaye immunity. Chhaach peene ke fayde itne hai ki is ko piye bina aap kaise jiyenge?
दाँत और हड्डियो को मजबूत बनाए
Chas mein se milta hai calcium jo daant aur haddiyo ko majboot banaye rakhta hai.
Chach ke fayde humare shreer ke lie bahut adhik upyogi hote hai eslie chach ko apnee roz ke khan pan ka hissa banae.
छाछ से उपचार
Thode se chhach ko upyog me lekar bane gharelu nuskhe aur chhach se upchar:
Durbalta, mand pachan shakti, aamvikar, mand jatharagni, sangrahini aur kabz mein chach ka upyog kare. Ghar par hee dahi mein se patla chaach banaye aur khaane ke baad 1-2 glass piye savere aur shaam ko. Khaane mein sirf khichdi ya chaval, moong dal, roti aur ubli sabjika sevan kare aur tel bahut kam khaaye. Yeh chach ka prayog 7 din tak kare aur ho sake itna din bhar chhach peete rahe to yeh sabhi pareshaniya se chutkara milega. Chhach mein sonth aur sendha namak milaye.
Advantages of Butter Milk
Advantages of chhach kai hai. Ek to yeh ki yeh sasta hai. Dahi mein jyaada paani daal ke mathe to use chhach kehte hai aur kam quantity mein jyaada chhach ban sakta hai.
Paani ke adhik hone se yeh pachne mein halka hai aur thandak deta hai jab ki dahi se kaf hoga, pachne mein bhaari hai aur khaane ke saath le to neend aati hai jo chhah se nahin hota hai.
Advantage of butter milk aur bhi hai jaise ki bahut he teekha aur spicy khaana khaya ho to butter milk se jalan kam ho jaata hai. Jyada teliya khaana ho to bhi chhach se itna bhaari nahin lagega.
छाछ कब पीना चाहिए?
Ayurved ke anusar kyonki chhach thandak deta hai to us ko garmiyon mein aur savere aur dopahar ke samay lena chahiye. Raat ko lene se jodo mein dard aur vayu vikar ho sakta hai. Benefits of buttermilk at night tabhi milenge jab garmiyo ka mausam hai aur aap ne bhaari bhojan kiya hai. Benefit of drinking buttermilk in the morning yeh hai ki aap ke sharir mein se vish fauran nikal jaayega. Benefits of chach aur benefits of chaach rabdi yeh hai ki jinhe lactose intolerance hai voh chaach pee sakte hai aur unhe calcium, vitamin D aur protein mil jaata hai aur koi reaction nahin hoga. Chaach rabdi yaane gaadha chaach, jismein paani kam hai, voh dopahar mein ek bada glass peene se aur agar bhojan na kare to bhi bhook nahin lagega aur poora energy milega.
छाछ पीने में यह सावधानी रखें
Yeh hai chhach ke bare mein thoda jankari, thode fayde chhach ke, chhach ke upay aur chach ke savdhani. Chhach sahi samay par, sahi tarike se aur sahi maatra me le rutu ke anusaar to doctor se aap rahenge door.
manni, Nov 09, 2016
apke article mein buttermilk benefits bahut badiya hai mujhe to itna pata hi nahi tha.
Kabir, Oct 15, 2016
If you uses of drinking buttermilk with cumin powder it reaal y becomes very tasty esmein aap thoda kala namek bhi mila ke pee sakte hai.
Jagdeo, Oct 14, 2016
nutritional benefits if buttermilk kya hai esmein litne nutrients hote hai .
Dhir, Oct 13, 2016
Any one plz tell is it ok to take butter milk at nighht??
Markanday, Oct 13, 2016
plz share what is the impact on health on drinking buttermilk??
Abhimanyu, Oct 12, 2016
Butter milk humare blood pressure level ko control kerta, cloestrol kam kerta hai yeh hai health benefits of drinking buttermilk.
Ananti, Oct 10, 2016
butter milk drinking benefits in hindi mein bhi discuss karein.
Darika, Oct 08, 2016
butter milk mein nutrients aur calcium hota hai yeh butter milk benifits ka sabse ahenm bhaag gai.
Hima, Oct 06, 2016
There are so many benefits of having buttermilk it soothes the stomach after a spicy meal.
Naija, Oct 05, 2016
Aur batain benefits of buttermilk kahin yeh motapa to nahi lata.
Keya, Oct 05, 2016
benefits of chach bahut hote hai ager aap regular chach le rahe hai to apko acidity nahi hotee hai.
Nirupama, Oct 03, 2016
Apne buttermilk benefits ke bare mein bahut acha bataya hai.
Shgun, Jun 19, 2017
Stomach me aag jesi bhdk rhi h jln ho rhi h kya kru