Aaj kal baalo ko dye karna, tint karna aur shading karna fashionable ho gaya hai magar is tarah se color karne se hota hai nuksan. Jaaniye kya kya nuksan hota hai hair coloring se:
- Hair color mein chemicals hote hai jaise paraphenylenediamine jis se tvacha par reaction aata hai aur fode pad sakte hai.
- Amonia hota hai kai coloring material mein jis se baal kamjor to hote hai aur saath mein tvacha ko bhi nuksaan hota hai.
- In dono padarth se skin cancer bhi hone ki sambhavna hai. In ke alava aur bhi organic aur coal tar based chemicals hai jis se nuksan hota hai lambe samay me. Is ke upyog se chemical ka sensitivity sharir mein badh jaata hai aur koi bhi is ke related chemicals ho to allergic reactions ho jaata hai jis mein fode, soojhan, jalan aur kai baar mrutyu hota hai.
- Hydrogen peroxide bleach ka kaam karta hai aur komal tvacha par phode bana deta hai. Hydrogen peroxide aur ammonia ka mishran bhi cancer ka karan hai.
- Baal jaldi se safed honge aur phir prakritik tarike se kaale nahin honge.
- Ankhon mein jaaye to tej jalan ho sakta hai aur yeh chemicals khatarnak hote hai.
- Baal jhadne lagte hai, kamjor ho jaate hai, prakritik chamak chala jaata hai aur nistej ho jaate hai. Baalo ka tootna aam baat hai hair coloring ke upyog se.
- Nervous system damage ho sakta hai kyonki kai chemicals neurotoxins hai.
- Sex reproduction organs par bhi hair dye colors ka aad asar padta hai.
- Immune system par bhi kharab prabhav hota hai.
- Hair coloring sirf reputed international company se hi khareede aur organic, vegetable based coloring ka upyog kare.
TAGS: #balo ko kala karne ke nuskhe in hindi #white hair ko black karne ke tips in hindi #safed balon ka gharelu ilaj in hindi #baal kale karne ki dua #safed baal solution in hindi #balo ko kala karne ka oil # #balo ke liye gharelu nuskhe/upay in hindi #balo ke liye totkay #balo ke style #balo ki dekhbhal #balo ki samasya #balo ki care in hindi #dadi maa ke nuskhe in hindi for hair
उज्वल राय, Oct 10, 2017
मस्त हैं जो आपने आर्टिकल में लिखा है थैंक्स फार शेयरिंग युवर आर्टिकल फार अस