Jahan par insaan hai vaham par vaham hai. In ka rishta aadi kaal se chala aaya hai. Aise hi baalo se bhi sambandhit veham bhi chalte aaye hai sadiyo se. Vaham na ho to shampoo ka dhandha itna jordar na chalta. Dar asal baat yeh hai ki bal nirjeev keratin based padarth hai. Jo kuch jeev hai voh baato ke jado mein hai. Isiliye jo kuch bhi shampoo upyog karte hai to in ka asar agar jado par ho to hi swasthya badhta hai baalo ka nahin to sirf dikhava aur texture mein chemicals ke dwara thodasa badlaav aata hai. Yeh shampoo ka prachar itna prachalit ho gaya hai ki yeh baal in ke bina tik hi nahin sakte hai ki log shampoo par andha vishwas karne lage hai. Baalo ke baare me aise kai galat faimi aur vehm hai jinko fauran door kar de.
- Mahila ho ya purush, sabhi apne baalo mein garv anubhav karte hai isiliye vigyapan mein jo kuch bhi kaha ho voh maan lete hai. Yeh vehm hai ki yeh sabhi vigyapano mein sach hai.
- Ek mithak yeh hai ki conditioner se baal gir jaate hai aur baal kharab hote hai. Conditioner se baal alag alag ho ke soft hote hai aur chamakte hai.
- Baalo ko kanghi din mein 3-4 baar karna chahiye. Is se blood circulation jaroor improve hoga. Magar yeh galat hai ki haal is se sanvare rahenge aur saaf rahenge. Shayad jyada kanghi karne se baal ko nuksan ho sakta hai aur baal sookh bhi jaate hai.
- Baalo ko kai dino par nahin dhona chahiye nahin to apshukan hoga aur nuksan hoga. Yeh mythak hai. Jab bhi convenient ho aap baal dho sakte hai. Koi scientific karan nahin hai is manyata ke peeche.
- Roj shampoo karne se baal svach rahenge. Ho sakta hai. Magar sach yeh hai ki shampoo baal aur baal ke jad mein se prakrutik tel ko dho deta hai. Bal ruksh hote hai. Baal kamjor ho jaate hai. Baal akaal safed honge. Baal akaal gir jaayenge.
- Baal jab geele ho tabhi kanghi phirana chahiye. Yeh galat hai. Aisa karne se baal ka ukhad jaane ki sambhavna aur tootne ki sambhavna badhti hai. Baalo ko tab tak sookhne de jab tak is mein thodi si nami reh jaaye tab jaake kanghi firaye.
- Aisa maan na galat hai ki hair dye se koi nuksan nahin hota hai. Dye mein bahut hi powerful chemicals hai. Baal ko dekhe to ek outer layer hota hai aur ek inner core. Dye ke chemicals dono outer layer aur core to kamjor bana dete hai. Itna hi nahin, jad ko bhi chemical se nuksan ho ke jad mar jaata hai. Paraphynelinediamine bahut hi poisonous chemical hai. Peroxide ya ammonia bhi nuksanskarak hai.
- Hair dryer se baalo ko koi nuksan nahin hota hai. Yeh galat faimi hai. Hair dryer ki garmi se baalo ka cellular structure kamjor ho jaata hai aur baalo mein raha natural moisture ud kar baal brittle ho jaate hai.
- Shampoo ke upyog se do muhe baal jud kar phir se ek ho jaate hai. Is baat mein dam nahin hai. Aisa hai to ek baal le jo do muhe hai aur us ko aise shampoo mein dube ke rakhe jis ka manufacturer yeh dava karta hai ki do muhe baal ek muhe vapas ho jayenge.
- Shampoo mein jitna jhaag itna achcha. Actually shampoo mein hota hai detergent aur is mein hote hai chemical foam boosters jin ka baalo par koi beneficial asar nahin hota hai. Best cheez hai baalo ke liye aritha aur shikakai hai aur in ka mishran mein jhaag nahin banta magar kaam jaroor karte hai yeh bejod kudrati hair washer.
- Baalo ko raat mein nahin kaatna chahiye? Vehm hai, pure vehm. Koi badnasabi nahin aayegi.
- Ladkiyo ke baal lambe hone chahiye aur ladke ke short. Vehm. Aaj kal dekhe to ladke log apne sar ke bal aur dadhi ke baal dono lambe karke phirte hai, balo ko knot lagaye. Ladkiya short karke phirti hai kyonki voh jaanti hai jitne lambe baal itna dekhbhal karna kathin hota hai in busy times mein.
- Safed baal yane buddha. Galat. Aajkal shampoo aur dyes aur hair straightening iron aur curling perm aur gel se akaal baal safed hote hai. Kya 22 saal ke vyakti meins afed baal ho to buddha hai?
- Jo takla hai us ko garmi jyaada lagti hai. Yeh hame maloom nahin hai. Takle ko hi pooche.
TAGS : #balo ko lamba karne ka tarika hindi me #balo ke liye ayurvedic upay #balo ko lamba karne ka gharelu upay/gharelu nuskhe #home remedies for hair growth in hindi #बालों की देखभाल के नुस्खे #gharelu nuskhe for hair growth #balo ko badhane ke gharelu nuskhe #lambe balo ke liye gharelu upay/gharelu nuskhe #balo ko lamba karne ke tips #balo ke liye gharelu upchar #balo ke liye yoga #balo ko badhane ke upay/tips #balo ko ghana karne ka tarika/gharelu upay #बालों को लम्बा करने का तरीका #बालों को लम्बा करने के उपाय #बालों को लम्बा कैसे करे #लंबे बालों के घरेलू नुस्खे #लंबे बालों के टिप्स
सजदा ख़ान, Aug 26, 2017
आपने जो आर्टिकल लिखा है उसमे यह लिखा है की हेयर डाई वगेरह से बाल सफेद होते हैं मगर मेरा भाई 12 साल का है वो तो कुछ भी यूज नहीं करता फिर भी उसके बाल सफेद हैं ऐसा कियों है