Jodo ke dard ka ilaj in hindi (जोडों और घुटनों के दर्द का इलाज कैसे करे): Ghutno me dard adhik umra ke logo me jyada paya jaata hai magar aaj kal kam umra mein bhi yeh shikayat aam ho gayi hai. Jo active sports me bhag lete hai unhe bhi yeh taklif ho sakti hai. Ghutno ka dard ek jatil samasya hai jo chalne mein, baithne mein aur uthne mein badha roop ho jaati hai. Is dard ke peeche kai kaaran hai aur is ke lakshan bhi alag alag hote hai. to jane gathiya ka treatment, gathiya ka ilaj desi nuskhe, jodo ke dard ke gharelu upay, Knee Pain Ghutno ka Dard Treatment in hindi, joron ke dard ka ilaj.
घुटनो के दर्द के प्रकार
- Halka sa dard hamesha rehta hai.
- Ghutno ko modo ko avaj aati hai.
- Agar uthne ya baithne ka kashosh kare to dard hota hai. Chalte samay bhi dard hota hai.
- Osteo aur rheumatoid arthritis se soojan hota hai aur dard hota hai.
सम्बंधित जानकारी
घुटनो के दर्द के कारण - Reason of Knee Pain in Hindi
- Ghutno ka dard in Hindi bataye to osteo arthritis se hota hai. Yeh ek haalat hai jis me cartilege ghis jaata hai aur do haddi apas me takrati hai jo dard ka kaaran hai.
- Rheumatoid arthritis autoimmune disease hai jis mein voh naram peshiya jinhe synovial membrane kehte hai us me soojhan hota hai aur bone loss ho ke dard pragat hota hai.
- Gout bhi ek karan hai ghutno me soojhan aur dard ka.
- Anya kaaran me hai dawai aur drugs ka upyog, ligament tear hona, cartilage tear hona, aur umra ka badhav.
सम्बंधित जानकारी
Aise me ghutno ka dard ka ilaj in hindi kaise kaare aage jaaniye.
Ghutno ke dard ka ilaj in Hindi - Treatment of Knee Joint Pain in Hindi
Knee pain home remedies in Hindi : Ab jane jodo ke dard ke gharelu upay. Ghutno mein dard ho to nazar andaz na kare. Yeh arthritis ka pehla kadam ho sakta hai. Jaanch karvaye to theek rahega. Sadharan kaarano se hai to aap yeh ghutno ka dard ka ilaj in hindi ka prayog kar ke chutkara paa sakte hai.
- Ghutno ka dard ka ilaj in Hindi bataye to vyayam jaroori hai. Lambe samay tak baithe na rahe. Walking avashya kare ghutno ke exercise ke liye. Leg muscles ko majboot banane ke liye sit up kare aur thodasa weight training kare. Saath me jab bhi baithe baithe kaam karte hai to beech me vyayam is prakar kare. Ghutno ke exercise mein pairo ko seedha kare aur ho sake itna upar uthaye aur fir mode. Repeat kare. Aise he din me ek do baar seedhiya chadhe aur utre.
- Jodo ka dard ka ilaj in hindi hai aahar. Aahar snigdh aur fibreyukt hona chahiye. Ayurved bhi aahar par dhyan dene ka udesh deta hai aur ayurved arthritis pain medicine bhi hai jo aage jaaniye. Aahar me mas aur machli na le. Fal aur sabji le. Khatte falo ko kam sevan kare. Vajan jyada ho to kam kare kyonki jyada vajan se jodo par bojh jyada padta hai. Magnesium bahut jaroori hai ghutno ke takat ke liye. Isiliye aahar me palak, dal, rajma aur nuts avashya shamil kare.
- Soojhan ke sath dard hai to joron ka dard ka ilaj in hindi is prakar kare. Khaane me hamesha adrak aur haldi ka sevan kare. Adrak aur dalchini aur long ki chai banaye aur is me haldi daal ke sevan kare. Haldi aur adrak me soojhan kam karne ke gun hai.
- Jodo ka dard ka ilaj in Hindi aap is prakar bhi kar sakte hai. Sahan ho sakte itne garam paani me epsom salt mila de aur fir is me kapda ya u-foam bhigo ke patti bandh de ghutno par ya jodo par.
- Ghutno ka desi ilaj dard kam karne ke liye hai tel ka upyog. Sarson ka tel, aerandi ka tel aur til ka tel ka mishran kare aur garam kare. Is me kapoor milaye. Yeh tel se achchi tarah se ghutno ko raat ko maalish kare. Tel garam karte samay andar sonth powder aur chutki lal mirch powder daale to aur asarkarak hoga.
- Ghutno ke desi ilaj in Hindi me tel maalish fayda deta hai. Is tel me tea tree oil, eaucalyptus oil aur peppermint oil daale to jaldi se raahat milta hai.
- Ghutno ke desi ilaj me rai ko pees ke garam kare aur namak ke sath mila ke ghutno par lep lagaye aur upar kapda baandh ke raat bhar rakhe.
- West me ghutno ke dard ke liye olive oil ka prayog kiya jaata hai. Ghutno ke dard aur joron ka dard ka desi ilaj olive oil se karne ke liye pehle extravirgin olive oil le aur garam kare aur jodo mein maalish kare. Aahar mein bhi extra virgin olive oil ka upyog kare.
- Joron ka dard ka ilaj in hindi jab aap karte hai tel malish se to saath me gud aur kali mirch bhi khane ki aadat rakhe. Gud me calcium, potassium aur magnesium hota hai jo jodo ke liye faydemand hai aur kali mirch se soojhan kam hota hai.
- Gathiya ka ilaj hindi me bataye to methi uttam hai. Methi me chikna padarth hota hai jo jodo me cartilege ke liye shresht hai. Methi dane bhigo ke savere 2 chamach gud aur kali mirch ke sath chaba ke khaye. Methi dane ka powder, tave par fulaya hua gond, gud, kali mirch powder aur pipermool churna ko mila ke chote ladoo banaye aur hamesha sevan kare ghutno ka desi ilaj mein.
- Ek jo joint pain relief in Hindi upay hai voh aap avashya try kare. Papita kachcha aur pakka, dono khaye. Angur khaate rahe. Agar yeh pasand nahin hai to bazar mein pectin extract milta hai. Ek chamach shahad mein mila ke sevan kare to rahat milega kyonki pectin synovial tissue ko lubricate karta hai aur naram banaye rakhta hai. Santre ke ras me bhi pectin hota hai jaise papita me hota hai.
- Gathiya ka ilaj Hindi me bataye to garam aur thande pote lagate rahe to soojhan kam ho ke dard bhi kam hoga.
- Bazar me aap ko jo salicylic acid ya wintergreen oil mile to yeh garam nariyal tel me mila ke maalish kare jodo par aur ghutno par. Arthritis treatment in Hindi me salicylic acid bahut fayda deta hai.
- Arthritis treatment in Hindi me bataye nimbu ka upyog. Nimbu ka slice kare. Til ka tel garam kare aur is me yeh slice bhigoye aur ghutno par rakhe aur upar patti bandh de aur raat bhar rehne de.
आयुर्वेदिक जोड़ो के दर्द का इलाज - Arthritis Ayurvedic Treatment Tips in Hindi
Ayurvedic medicine for joint pain in hindi: Ayurved me bhi upay hai jodo ke dard aur ghutno ke dard ke liye. Jaaniye chand arthritis ayurvedic treatment tips in Hindi:
- Vata, vayu aur amlapitta se jodo ka dard ho sakta hai. Agar aisa hai to tridosh har capsules ka sevan kare. Har roj trifala ka sevan kare to fayda hoga. Amalapitta se chutkara paye avipattikar churna ke sevan se. Mool karan hataye yeh ayurved ka kehna hai to taklif bhi hat jayegi. Vata dosh ho to khatta, meetha, namkeen, tura aur teekkha sabhi swad aahar me shamil kare. Mung dal khaye to vata ka shaman hoga. Palak, muli aur kand khaye to vata ka shaman hota hai. Aama ko theek karne ke liye halka bhojan kare aur masale ka upyog kare. Pani me adrak, jeera, saunf, kali mirch, pudina aur sawa dane daal ke ubale aur yehi paani ko peete rahe.
- Ayurved me haddiya majboot banane ke liye aur cartileges ke liye hai shuddha laksha, asthishrinkhala, sahjan, arjun aur praval pishti. In sabhi ke churna ka niyamit sevan kare. Yeh hai ayurvedic treatment tips in Hindi.
- Ayurvedic treatment tips in Hindi me upyog kare guggul ka har roj. Yeh cholesterol bhi kam karta hai aur dard bhi. Saath me shatavri aur shallaki churna bhi le.
- Ayurved jadibooti jo jodo ke dard me kaam aata hai aur mas peshiya ke liye uttam hai voh hai ashwagandha. Ghee aur doodh ke sath raat ko sevan kare.
- Jodo ke dard ka ayurvdic ilaj karte ho tab aap bathua ki sabji ka sevan kare. Is mein haldi aur methi dane ka powder daal ke sevan kare.
- Jodo me dard ka ek karan hai sharir me vish. Jodo ke dard ka ayurvedic ilaj ek yeh hai ki aap do-teen din upvas kare aur sharir me se vish bahar nikal de to taklif kam hoga.
- Es gathiya ke ayuvedic nuskhe mein rat ko sone se pehle ½ chamach aerandi ke tel me shahad aur nimbu ka ras mila ke piye. Hafte me 2 bar kare.
Abhi aap joint pain in knee ayurvedic treatment in hindi mein per rahe the enka anusaran jaroor kare ab aap jodo ka dard theek karne ke yoga tips parenge.
जोड़ो का दर्द ठीक करने के लिए योगा - Yoga for Joint Pain
Ayurved ke saath yoga bhi juda hai to jaaniye ghutno ke dard ke liye yoga. Jodo me dard ho to ghutno ke dard ke liye yogasan fayda deti hai. Yogasan jodo ke dard ke liye yeh hai:
- Ekpadhastasan
- Januhastasan
- Veerasan
- Virkasan
- Tadasan
- Pavanmuktasan
- Swastikasan
- Makrasan
Pareh bhi pale. Hafte me ek baar upvas kare aur sirf falo par jiye 2 din tak. Halka aahar le aur kam maatra me. Din me 4 baar thoda khaye to uchut hai. Chiku, kela, aam na khaye. Junk food aur tale hue aahar na le. Cold drinks bhi bandh kar de. ramdev yoga for knee pain in hindi bhi yehi hai ram dev bhi enhee yogaasans ko karne ko kehte hai.
Thoda savdhani, thode jodo ke dard ke upay aur vyayaam se bahut kuch fayda hoga ghutno ke dard me. Apke joron ka dard ka wazifa bahut jaldi lag jaega apko pata bhi nahi chalega.
TAGS:#home remedies for joints and knee pain relief treatment in hindi #joint pain in hindi #joint pain in knee home remedy in hindi #treatment of joint pain in ayurveda in hindi #knee joint pain in hindi #gharelu nuskhe for knee pain in hindi #jodo ka dard in hindi #jodo ke dard ki dawa in hindi #joint pain in knee in hindi
Indu, Jan 22, 2018
Mujhe gathen t.b. hua hai jisaka dusara ilaj me 58 din tak injection lagata hai Jisse chehare mai kalapan ho raha hai kiya iska karan aur ilaj kiya hai?