Thyroid problem solution in hindi: Sharir ki karya pranali us ke endocrine system par bahut adharit hai aur is endocrine system mein thyroid granthi bahut mahatvapurna bhaag leta hai. Thyroid me bane thyroxine hormone se sabhi metabolic kriya niyantran me rehte hai. Agar limit se kam ho yeh hormone to bhi thyroid ke kai lakshan pragat hote hai aur jyaa ho to bhi lakshan alag hai. Kam thyroid hormone production ho to hypthyroidism kehte hai aur jyaada ho to hyperthyroidism kehte hai. Jaaniye thyroid ke baare me aur thyroid ke gharelu ilaj in Hindi aur Gharelu Nuskhe or Upchar for Thyroid or Hyperthyroidism and Hypothyroidism in hindi.
थायराइड के लक्षण - Symptoms of Thyroid in Hindi
- Thyroid thyracin(थाइराक्सिन) hormone banatee hai.
- Gerdan mein chotee ganth ko samanya mana jata hai.
- Thyroid mein kabz ki samasya shuru ho jatee hai.
- Thyroid mein jald thakaan hone lagtee hai.
- Hath pair thande rehte hai.
- Hyperthyroidism mein vajan kam ho jaata hai.
- Bhook jyada lagta hai.
- Bechaini rehti hai.
- Sharir mekampan hota hai.
- Thakaan mehsoos hotee hai.
- Haath pair sunn ho jaate hai aur depression ho jaata hai.
- Hypothyroidism me sharir fool jaata hai.
- Vajan badhta hai.
- Aalas badh jaata hai aur dimag bhi dheeme se kaam karta hai.
- Insaan ko depression ho jaata hai.
- Thand adhik lagtee hai.
- Tvacha aur baal rookhe ho jaata hai.
Yeh hai thyroid hone ke lakshan in hindi me aur yeh bhi keh sakte hai thyroid symptoms in hindi mein. Aise lakshan hone par TSH blood test karvaya jaata hai aur chikitsa kee jaati hai. Saath me aap thyroid ke gharelu ilan in Hindi bhi jaaniye.
थायराइड रोग के कारण - Reasons for Thyroid in Hindi - थायराइड रोग क्या है
Ab jane Thyroid Hone ke Karan in Hindi mein aur thyroid meaning in hindi mein:
-
Thyroid granthi me thyroid hormone jyada praman me nirman hota hao to hyperthyroidism kehte hai jise graves disease kehte hai. Yeh granthi me leak ho to jyaada thyroid ka nirman hota hai aur soojhan se bhi yeh haalat ho jaati hai.
-
Thyroid kaise hota hai in hindi mein eska utter yeh hai ki thyroid granthi agar kam hormone paida kare to hypothyroidism hota hai. Is ke kaaran kai hai jaise ki sharir ka autoimmune system thyroid granthi par attack kare aur tissues ka nash ho. Yeh granthi nikal diya jaye to bhi yeh samasya hai. Agar jyaada iodine ho sharir me to bhi karyakshamta kam ho jaati hai.
-
Naye janme bachcho me thyroid kam ho to cretinism hota hai jis me dimag ka vikas ruk jaata hai aur sharir ka vikas bhi nahin hota hai.
-
Pituitary glad sahi kam na kare to bhi thyroidism ho jaata hai aur cancer se bhi yeh affected ho jaata hai.
थायराइड के घरेलू उपचार - Home Remedies for Thyroid in Hindi - Thyroid Diet in Hindi
Thyroid ka Gharelu Ilaj in Hindi mein pare, thyroid kam karne ke upay or thyroid/hypothyroidism diet chart in hindi mein apko bataya ja raha hai aap yeh sab kuch try kare:
- Dhania: Thyroid ka gharelu ilaj mein hara dhaniya shresht hai. Is ka ras bana ke har roj savere piye ya to chutney ke roop mein sevan kare.
- Lauki: Baal lambe karne ke gharelu upay mein lauki ka ras baalo me lagaya jaata hai to yehi lauki thyroid ka gharelu upchar in Hindi mein bhi upyog kiya jaata hai. Savere khaali pet lauki ka ras ka sevan kare kala namak aur kala mirch daal ke.
- Iodized namak upyog kare: Thyroid ko treat karne ke liye aahaar kaafi hai. Iodized namak upyog kare aur iodine rich food jaise ki baingan hai, us ko niyamit khaate rahe to thyroid ko rok payenge aur ho gaya hai to treat karenge.
- Vitamin A aur B walee sabjiyan khae: Kyonki thyroid ke function ke liye vitamin A aur B chahiye to gaajar, paalak, kaddu, pakka aam khaana uchit rehta hai thyroid ko rokne ke liye aur thyroid ki karyakshamta banaye rakhne ke liye.
- Panee jyaada matra mein pie: Thyroid ka ilaj in Hindi aap karte hai to paani hamesha jyaada maatra mein peete rahe aur niyamit exercise karte rahe.
- Ashwagandha ka upyog kare: Thyroid ke gharelu upchar mein ashwagandha ka prayog kiya jaata hai. Yashtimadhu aur ashwagandha ko doodh aur ghee mein mila ke raat ko sevan kare.
- Kanchnar Guggul goli : Thyroid ke gharelu upchar mein aap Baba ramdev ka Kanchnar Guggul goli din me 2 baar khaaye to fayda hoga 2 mahino mein.
- Vyayam kare: Thyroid ko rokne ke upay me tambaku sharab aadi ka upyog na kare aur yoga, ujjayi pranayam kare. Yoga mein Viparitakarani, Matsyasan aur Haladana asan kare aur baadh me ujjayi pranayam kare savere uth ke. Thyroid ho to bhi yoga se thyroid ka ilaj ho sakta hai.
- Accupressure bhi ker sakte hai: Thyroid bimari ka ilaj aap acupressure se bhi kar sakte hai. Pairo ke angutho ke upse hue bhaag par 10 minute tak dabaav dete rahe.
- Gehu ke jware ka ras pie: Yeh bhi dekha gaya hai ki thyroid bimari mein wheat grass – gehu ke jware- ka ras niyamit peeye to fayda hota hai.
- Spirulina capsules ka sewan kare: Aap chahe to thyroid kam karne ke upay In Hindi Mein Spirulina capsules ka sewan kare. Is mein iodine khoob hota hai aur hypothyroid me fayda deta hai.
- Nariyal tel ka istemal kare: Hypothyroid ke mareez ko baalo me nariyal tel ka upyog kare aur khaane mein bhi nariyal tel ka istemal karna hoga.
- Vitamin D with calcium ki goli khae: Hypothyroid ke treatmentn me vitamin D with calcium ki goli aap le sakte hai. Savere jaldi uth ke surya ke kiran me walking kare to bhi labhkari hai is haalat mein.
- Aise anaj khaaye jis me selenium ho: Hypothyroid treatment me aap aise anaj khaaye jis me selenium ho, nuts khaaye, soya bean khaye aur fish ka sevan kare. Selenium se hypothyroidism me fayda hota hai. Kyonki soyabean aur fish me protein hota hai to aur bhi fayda hota hai.
- Seb ka juice ya sirka le: Hypothyroidism ka ilaj me aap seb ka sevan kare aur seb ka juice ya sirka le aur din me ek baar fish oil capsule khaaye.
- Hormones kam kerne ke lie yeh kare: Hyperthyroidism me hormone jyaada ho jaata hai to thyroid rokne ke liye aur thyroid kam karne ke line stress kam kare, fruits jyaada khaaye, refined flour (maida) se bani cheeze kam kare aur sarvangasan ka practice kare
- Adrak ka ras: Hyperthyroid ho to savere adrak ka ras piye.
- Dahi ka sevan: Hyperthroid rog me dahi ka sevan labhkari hota hai.
थायराइड का आयुर्वेदिक उपचार - Thyroid Ayurvedic Treatment in Hindi
Ayurveda mein thyroid ke lie kuch upay dia gye hai to yeh hai ayurvedic treatment for hypothyroid in hindi mein
- 5 koli atte ke sath 1 kilo bajre ka atta mila ker es atte ki roti khane se es rog mein behed rahet milegee.
- Subah khalee pet aap gomutra ya uske arek ka sewan ker sakte hai esse lene ke 1 se1/2 ghante tak kuch nahi aapko kuch nahi khana hota hai. Masik dharam ke samay bhi mahilain esse le sakti hai.
- Fast food aur oily cheeze khane se perhej kare ho sake to tea aur coffee ka sewan bhi na kare.
To yeh hai ayurvedic treatment for thyroid problem in hindi ho sake enka prayog kerne se pehle kisi bhi ayuveda ke spacialist ki salah le lein ki apko konsa nuskha zada farek karega uske adhar per hi ayurvedic nuskha upyog kare apko jaldi farek padega.
Thyroid ke koi bhi chinha nazar aaye to fauran blood test karvaye aur jaaniye ki hormone ki maatra kam hai ya jyaada. Is ke baad thyroid ke gharelu nuskhe aap avashya prayog kare to santulan ho jaayega.
TAGS:#thyroid problem solution in ayurveda in hindi #permanent solution for thyroid problem in hindi #thyroid diet chart indian in hindi #thyroid problem treatment in hindi language #what is thyroid problem in hindi #थायराइड का आयुर्वेदिक उपचार #thyroid treatment in hindi #thyroid stimulating hormone in hindi
Manisha, Aug 29, 2018
Mujhe thyroid hai foolne wala mera age 22years hai.. Thyroid ke wajah se mera height ruk gya hai.. Mai kya karu jisse meri height badh sake... Or mere ubharo ka size bhi bada hai thyroid ke wajah se.. Kripya kar ke sahi or labhkari upaye btaye jisse mai apni height badha saku or ubharo ki size kam kar saku...