गैस छोड़ने पर होने वाली बदबू से हैं परेशान! तो ऐसे पाएं निदान!

गैस

गैस छोड़ने पर होने वाली बदबू से हैं परेशान! तो ऐसे पाएं निदान! : Gas hona aur gas ke badbu ke kaaran doosre ko pareshan karna yeh socially unacceptable behavior me gina jaata hai. Aaj kal offices dekhe to bandh hote hai aur air conditioned hote hai jis ke karan badbu aur pareshan karti hai. Agar aap ko gas hai aur doosre log pareshan hote hai jis se aap embarrassment feel karte hai to vyakul na ho. Yahan par bataye gas ke badbu ka nidan paye.

Gas ke Karan

Pehle jaaniye gas hone ke karan to aap aasaani se kai aise kadam utha sakenge ki gas hee na ho to gas ki badbu ka nidan karne ka taklif na uthana pade. 

  • Gas hone ka kaaran ho sakta hai crohn’s disease, ameba infection, aanto me infection, irritable bowel syndrome aur aise chronic condition jin ka sahi treatment karvaye to na rahe gas na rahe badbu. 
  • Kabz se gas hota hai. Kabz door karne ke upay ajmaye to gas nahin hoga aur na hee badbu. 
  • Aahar se gas hota hai. Aahar jo gas paida karte hai us me avval number ke hai patta gobhi, bandh gobhi, rajma, chaval, dal, meats, eggs. Aise aahar ko apne menu me kam kar de ya to sahi tarah se paka ke khaye to gas na hoga na badbu gas ka. 
  • Doodh sabhi ko pachta nahin hai aur gas hota hai jise badbu. Doodh na piye. 
  • Theek se khana chaba ke na khaye to gas paida hota hai. Dheeraj se khaye aur chabaye khana taki ghol ban jaaye mooh me aur saliva se mix ho. Is se gas hone ki sambhavna kam hogi aur farting smell se pareshani nahin hogi. 
  • Meethi cheez khayenge to gas hoga kyonki pet me rahe yeast aur bacteria khushi se meethi cheezo me se gas banane lag jaate hai. 
  • Yeh hai karan farting smell aur fart odor ke liye. Ab jaaniye ki is ka kya upay hai koi ki yeh  upay karne ke bavajud bhi fart aye to aaye magar pad ka badbu na aaye?

Anti-fart Underwear

India me milta hai us ki to poori jankari nahin hai magar yeh sach hai ki aap anti-fart underwear pehne to is me rahe khas chemicals gas ka badboo absorb kar lete hai. Aise badbudar gas ko shoshne ke liye chemical me activated carbon ka upyog hota hai. Yeh pehne aur fart kiya to bhi aaju baju ke logo ko badbu se pareshani hogi nahin kyonki badbu bahar aayegi hee nahin. Yeh taiyar na mile to activated charcoal to bazar me milega jise potli me bandh ke underwear ke andar rakhe. Actually pet me gas ki taklif ho to activated charcoal ki goli bhi milti hai. 

Aahar Badle

  • Rajma, beans, dal, chaval, tale hue cheez, chini vale cheez (even chai), gobhi jaise aahar ko kam sevan kare. Agar karna hai to kam maatra me sevan kare. Sabji banaye to us me ajwain, heeng aur jeera ka khulle hath upyog kare taki gas ka shaman ho. 
  • Dopahar ke bhojan me dahi khaye jis me milaye jeera, ajwain powder aur sendha namak. Dahi me friendly bacteria hote hai jo pet me jaake enemy bacteria aur gas producing bacteria ka nash karte hai. Ek goli Vibact ki hamesha khaye to bhi gas ka problem aur fart odor problem nahin hoga. 

Abdominal Movement

  • Baithe rehne se pet ka movement nahin hota hai aur gas jama ho ke pareshani karta hai. Baithe baithe aap ke abdomen ko andar-bahar karte hue exercise kare to gas agar hai bhi to jaldi se bahar aa jayega. 
  • Kyonki gas se badbu hoti hai to aahar par niyantran rakhne se gas paida kam hoga aur badbudar gas bhi kam paida hoga. Gas niyantran ke liye aap yeh bhi try kare: 
  • Chaach me jeera daal ke peete rahe. 
  • Savere nimbu ka ras, kali mirch, adrak ka ras, ajwain ka powder, jeera powder aur shahad mila ke garam pani me dal ke peeye. 
  • Pudine ka sharbat peete rahe. 
  • Muli ka ras ka sevan kare
  • Lauki khaye aur lauki ka ras peeye. 

Ayurved me avipattikar churna aur gas har churna ka sevan karna bhi faydye vali baat maana jaata hai. Yeh gas hone ke mool karan ko hatane me madad karte hai.

TAGS: #गैस छोड़ने पर होने वाली बदबू से हैं परेशान! तो ऐसे पाएं निदान! #Gas chodne walee badboo se pareshan aise pae nidan

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments