गर्भपात के बाद दूर रहें इन खाद्य पदार्थों से

गर्भपात

Garbhpat mamooli baat nahin hai. Is mein bhrun ko force se bahar kheencha jaata hai. Pregnancy mein jitna deri se abortion kiya ho itna jyaada sharir aur man par asar hota hai. Garbhpat hone ke baad bhi saavdhani rakhna jaroori hai taaki sehat jald se jald theek ho jaaye. Is mein ek baat hai aur voh hai aahaar. Thode parhej rakhe to recovery jaldi hoga. 

  • Junk food se bach ke rahe. Yeh aap ke recovery ke liye nakamyaab hai. 
  • Processed food jaise ki cheese, sauces, breads, biscuit vagairah jis mein preservative aur chemical ho sakte hai in se bach ke rahiye. In processed foods mein ho sakta hai monosodium glutamate, sodium benzoate, saccharine, aspartame aur potassium metabisulphite jaise chemicals. Yeh chemicals se nuksan ho sakta hai. 
  • Caffeine yukit drinks na le jaise ki chai, coffee aur cola drinks. Caffeine se garbhashay ke full recovery mein rok aa jaata hai. 
  • Protein, iron, vitamins aur minerals ki maatra jyaada ho aise fiber rich vegetables aur fruit based diet apnaaye. Jyaada tel ka upyog na kare. 
  • Meat aur chicken kam maatra mein khaaye, din mein ek hi baar khaaye aur masaledaar na ho is ka dhyan rakhe. 
  • Lal mirch ka sevan aur hara mirch ka sevan aur kali mirch ka sevan kam kare. Is se jalan ho sakta hai. 
  • Aise hi khatte padarth jaise ki nimbu aur imli ka ansh bhaag mein upyog kare ya to na kare to aap sepsis se bach sakenge. 
  • Rice, egg aur noodles na khaaye
  • Meethai ka kam sevan kare ya to bilkul na khaaye
  • Doodh piye magar skim milk piye. Full fat milk na piye. 
  • Cheese ka sevan na kare
  • Makhan bhi na khaaye. 
  • Soyabean aur us se bani padarth na khaaye kyonki is mein do baate hai. Ek to flavonoid jo hai voh hormones jaise hote hai aur aap ke endocrine system ko disturb kar sakte hai. Doosra yeh ki soy se sharir iron ko absorb nahin kar paata hai. Garbhpat ke baad iron jyaada chahiye isiliye soy na khaaye. 
  • Seafood na khaaye. 
  • Teekhe papad aur teekhe-khatte achar na khaaye.....और पढ़े >>

TAGS: #गर्भ गिराने के घरेलू नुस्खे #garbhpat ke gharelu dawa #bacha girane ka gharelu nuskha in hindi #गर्भपात करने के तरीके #गर्भ गिराने के देसी उपाय #गर्भपात के आयुर्वेदिक उपाय #गर्भपात के प्राकृतिक तरीके #गर्भपात करने के घरेलु उपाय #garbh se bachav #garbh nirodhak desi upay #anchahe garbh se chutkara #pregnancy rokne ke gharelu upay #garbhpat ke lakshan #garbhpat kaise hota hai #garbhpat karne ke gharelu tarike #गर्भपात के घरेलू उपचार #गर्भपात के लक्षण #गर्भपात की प्रक्रिया #गर्भ गिराने के आयुर्वेदिक उपाय #home remedies for abortion in hindi #abortion ke gharelu nuskhe

 

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

4 Comments

सुनीता वर्मा, Feb 18, 2018

गर्भपात के बाद किन खाद्ये पदार्थों से दूर रहें उनके बारे में मुझे विस्तार से बताइए ताकि मैं भी इसका फायेदा ले सकूँ

मोहिनी नगर, Feb 06, 2018

गर्भपात के बाद कौन्से खाद्ये पदार्थों से दूर रहना चाहिए मुझे बताइए

पारूल कोहली, Jun 01, 2017

अब दो साल हो गये हैं पहले मेरा4 महीने का गर्भपात हुआ था अब कब सेक्स करूँ बच्चे को कन्सीव करने के लिए?

Rani, Apr 20, 2017

maine 10 ko sex kiya tha aur mera date 13 ko tha aur aaj 21 h Abhi tak date ni aaya kya karu plzzzzz batayen