गर्भपात के बाद ध्यान रखने वाली जरूरी बातें

गर्भपात

After Abortion in Hindi :Medical termination of pregnancy vacuum suction dwara kiya jaata hai ya dilation and evacuation. Dono paddhiti mein jabardasti bhrun ko bahar nikala jaata hai jo kashtdayi hai. Sharirik kasht se jyaada maansik kasht naari ko jyaada pareshan kar deti hai. To jaaniye garbhpaat ke baad dhyaan rakhne waali baate.

  • Garbhpat ke 15 dino tak halka sa rakt straav hota rehta hai. Agar heavy bleeding hone lage to infection ho sakta hai ya blood vessel rupture hone ki shakyata hai. Doctori treatment jaroori hai. 
  • Pet mein dard rehta hai jo ek mahine ke andar mit jaana chahiye magar badh jaaye aur pain killer se aaraam na mile to doctori treatment jaroori hai. 
  • Kai baar doctor narcotic based dawai prescribe karta hai taaki mahila ka tan aur man shaant rahe magar is ke lambe samay tak sevan karne se aadat pad jaati hai aur mahila phir nashili cheezo ka sevan karne lag jaa sakti hai to family ke sadasyo ko sajag rehna chahiye. 
  • Garbhpat ke bilkul paschaat aur lambe samay tak mahila ko harsh bhare vatavaran mein fully supportive rakhna chahiye kyonki is prakriya ke goonj jeevan bhar tak reh sakti hai. Itne had tak pahunch sakta hai ki depress ho ke mahila apna jeevan khud hi samapt karne ka nirnay le sakti hai. To is baat ka poora khayal rakhe ki mahila ko depress na hone de aur us ke dimag mein se guilt feelings bilkul nikal diya jaaye pyar mohabbat se. 
  • Garbhpat ke baad jab normal ho jaaye to mahila ko apne prajanan tantra ki poori janch karva lena chahiye yeh janne ke liye ki koi nuksan to nahin hua hai aur phir se agar maata banna chahe to koi rukavat nahin hai raste mein. 
  • Garbhpat ke ek-do mahine tak savdhani rakhna hai ki urinary ya uterine infection na ho kyon ki cervix khula rehta hai aur sex karna bhi kashtdayak aur unichchaniya hai. Mahila ko peshab karne ke baad rui se poch lena chahiye taki sankraman na ho.........और पढ़े>>

TAGS: #गर्भ गिराने के घरेलू नुस्खे #garbhpat ke gharelu dawa #bacha girane ka gharelu nuskha in hindi #गर्भपात करने के तरीके #गर्भ गिराने के देसी उपाय #गर्भपात के आयुर्वेदिक उपाय #गर्भपात के प्राकृतिक तरीके #गर्भपात करने के घरेलु उपाय #garbh se bachav #garbh nirodhak desi upay #anchahe garbh se chutkara #pregnancy rokne ke gharelu upay #garbhpat ke lakshan #garbhpat kaise hota hai #garbhpat karne ke gharelu tarike #गर्भपात के घरेलू उपचार #गर्भपात के लक्षण #गर्भपात की प्रक्रिया #गर्भ गिराने के आयुर्वेदिक उपाय #home remedies for abortion in hindi #abortion ke gharelu nuskhe

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

6 Comments

Harpreet kaur, Feb 28, 2018

Mera gharbhpaat ho gaya hai mujhe abhi bhi pet mai bhariPan lag raha hai main kiya karun please help me

इलियाना, Aug 18, 2017

गर्भपात के बाद हमे कैसे पता चलेगा की हुमको कोई प्रॉब्लम हो सकती है क्या आप हमे इसके लक्षण बता सकते हैं कि हम कैसे पता लगाएँ कि हमको क्या प्रॉब्लम हो सकती है

Pinky, May 08, 2017

Mere ak mahine se jyada ho gya he piryed nhi aya me pregnancy nhi chahti koi upaye btaye piryed ane ka abi mhine se 5 din jyada huye he

 

Radhe Shayam, Jan 19, 2018

Advantage kit ka use and gram dish ka use kariye

sudha, Apr 14, 2017

6 weeks ho gye hai maine medicine se abortion kiya tha lekin bleeding abhi tak ho rhi hai. Esko rokne ke liye koi upay ya medicine btaye.

 

Pinki sarma, Jun 23, 2017

8week ho gaya hai abortion ka dawa khaye hoye par thoda 2 blood kabhi ajata h.. esako rokane ke liye koi upaye bataye please bahot paresan ho

 

Pinlki Nehwaal, Jan 31, 2018

25 day pahale abortion ki dawa khayi Jaisa Doctor ne kaha tha tabse baichaini ki wajah se 13 din pehale abortion karwaya fir bhi blood ruk nahin raha hai jaldi se mujhe upay bataiye

Firoza, Mar 26, 2017

garbhpat ke baad kam se kam 30 days ka rest kare

nita, Mar 20, 2017

I agree ur opinion BT unwanted 72 goli khane ke baad hi usi din sex kiya ho or precaution nahi li gayi ho to ...pregnecy ke chances hote hai ya nahi...or kya avoid krna chiye