जाने गर्भपात का खतरा बढ़ाने वाले यह कारक

जाने

Aise to garbhavasta mein mahilae apna routine kaam kaaj kar sakti hai aur jo khaate aaye hai vohi aahaar khaate rahe jaise lakho aurate apne India mein kar rahe hai. Is ke saath thodasa savdhaani bhi rakhna chahiye kyonki na chahte hue bhi kai karanosar garbhpat ho jaaye aur aap ke aasha par paani phir jaayega. External factors ke saath genetics ke kaaran aur health ke kaaran bhi 14 hafte tak miscarriage ka khatra rehta hai. Jaaniye garbhpat ka khatra badhane vale kaarak aur in se bach ke rahiye. 

  • Yoon to Indian naariya smoking nahin karti hai magar aaj ki modern ladkiyon mein yeh practice dekha gaya hai. Pregnant hone ke baad bhi agar smoking kare to phir garbhpat ka khatra badh jaata hai kyonki yeh garbhpat ka ek kaarak hai. 
  • Office mein kaam karne vaali mahilao ko american style hamesha jyaada coffee peene ki aadat pad jaati hai. Pregnant hone ke baad bhi aisa karti rahi to coffee garbhpat ka khatra badha deti hai.
  • Sharab bhi garbhpat ka khatra badha deti hai. Na peene se fayda hai. 
  • Poorte praman mein folic acid, iron aur calcium na mile to khatra hai. 
  • Swasth sambandhit samasya jaise ki blood pressure, diabetes aur kidney ki samasya khatra khada karti hai garbhpaat ka.
  • Agar garbhashay mein infection ho ya to endometriosis jaisi condition ho ya anda garbh ke baahar sthapit ho gaya hai to khatra hai aur garbhpat ho jaata hai. Agar garbhashay ke bahar sthapan hua ho to na chahte hue bhi garbhpat karva lena behtar hot hai kyonki yeh maata ke liye khatarnak hai.
  • Aahar mein baasi khaana, viparati aahar jaise ki pyaj aur doodh ya machli aur doodh ke padarth aise cheezo ka sevan khatra khada kar deti hai garbhpaat ka. 
  • Fermented cheez na khaaye. 
  • Daud bhaag karna, utaval mein seedhi chadhna, jhatke lagna pet par ya chot lagna gir jaane se ..yeh sabhi garbhpat ka khatra khada kar deti hai. 
  • High heels pehenne se direct khatra nahin hai magar is se fisal kar girne ka dar rehta hai to aap ke joote badal de aur flat shoes pehne. 
  • Bahut tension mein rehna bhi garbhpat hone ke liye karan ho sakta hai. 

TAGS : #गर्भ गिराने के घरेलू नुस्खे #garbhpat ke gharelu dawa #bacha girane ka gharelu nuskha in hindi #गर्भपात करने के तरीके #गर्भ गिराने के देसी उपाय #गर्भपात के आयुर्वेदिक उपाय #गर्भपात के प्राकृतिक तरीके #गर्भपात करने के घरेलु उपाय #garbh se bachav #garbh nirodhak desi upay #anchahe garbh se chutkara #pregnancy rokne ke gharelu upay #garbhpat ke lakshan #garbhpat kaise hota hai #garbhpat karne ke gharelu tarike #गर्भपात के घरेलू उपचार #गर्भपात के लक्षण #गर्भपात की प्रक्रिया #गर्भ गिराने के आयुर्वेदिक उपाय #home remedies for abortion in hindi #abortion ke gharelu nuskhe

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments