गर्भपात कराने से पहले ज़रूर जाने गर्भपात कराना कितना सुरक्षित?

गर्भपात

Garbhpat karana kita surakshit hai? Yeh prashna un mahilao ko pareshan karti hai jo abortion karvane ka soch rahi hai. Is ko koi seedha jawab nahin hai kyonki kai baate hai magar aam taur par 100 mein se sirf 1 ya 2 ko koi samasya hoti hai garbhpaat karvane par. 

  • Timing important hai surakshit garbhpaat ke liye. Aise to pehla timahi yaane ki first trimester yaane ki 14 hafte tak garbhpat bilkul safe maana jaata hai. 
  • Legal tarike se abortion mein khatra koi nahin hai. Illegal doctors ke pas karvana poora jokham ka kaam hai. 
  • Jaise jaise garbhavastha aage badhti hai yeh limit se to khatra badhta jaata hai mahila ke liye kyonki bhrun ke thos sthapit hone ke baad ukhadke bahar kheench ne ke liye jyaada bal ka prayog kiya jaata hai aur is se tissue damage jyaada hota hai mahila ke garbhashay aur yoni mein. 
  • Sirf 3 se 5% mahilao ko banjhpan ka asar ho jaata hai garbhpat ke baad.
  • 12.5% cases mein pehle timahi mein jo garbhpat hua ho to mahilao ko stitches lagvane pade hai. 
  • Garbhpat ka lambe samay ka khatra yeh hai ki kai mahilao ko doosri baar jab pregnancy ho jaaye to un ko miscarriage ka khatra rehta hai. Hone vale bachche mein khaamiya ho voh bhi ek khatra hai. 
  • Aise bhi cases hai jis mein mahila ke garbhashay ke baahar anda sthapit ho gaya hai aur agar is ko badhne diya to jan leva ho sakta hai. Aise mein garbhpat bilkul surakshit hai mahila ke liye. 
  • Statistics ke mutabik pregnancy mein childbirth mein jyaada mahilao ko khatra hai abortion ke tulna mein. Bache ke paida hone ke samay par hi kai mahilao ka mrutyu hota hai magar garbhpat mein aisa to bahut hi kam cases mein hua hai jo legally, achche doctor ke pas karvaye.
  • Scooter chalana, safar karna aur recreational activity mein jyaada khatra hai garbhpat ki tulna mein. 
  • Agar garbhavastha ke 50 din yaane ki 7 hafte ke andar garbhpat kiya jaaye to sirf 2% mahilao ko jyaada medical treatment lena pada hai. 7-9 week ke garbhpat mein 2.5% mahilao ko, 9-10 week mein 2.7% aur 10-11 week mein 3.3% mahilao ko treatment ki jaroorat padi hai. 
  • Vacuuming aur dilation aur evacuation ke alava aaj kal dawai bhi milti hai pregnancy ke liye. Yeh goli lena ho to hospital mein jaake le taaki agar koi bhi complication ho to turant treatment mile. 
  • 12 hafte ke baad bhi goli se garbhpat Mifepristone hota hai magar aap ko hospital mein jaa ke goli khaa ke garbhpat ka intzar karna theek rahega. 
  • Agar 12 hafte ke baad garbhpat kiya to kai mahilao ko emergency treatment bleeding ke liye dena padta hai. 
  • 13 hafte ke baad bhi garbhpat kare to sirf 5.2% mahilao ko surgical treatment dena pada tha aur evacuation karna pada kyonki dawai ya aur koi paddhiti se bhrun sampoorna tarike se bahar nahin aaya tha. 
  • 14 se leke 19 me hafte tak bhi ho sakta hai garbhpat agar sahi tarike apnaye ho aur achche doctor se karvaye. Dilation and evacuation se 15 hafte tak garbhpat ho sakta hai. 
  • 15 hafte ke baad mifepristone aur prostaglandin dawai ko ek se jyaada baar khaane se garbhpat bina koi khatre se hota hai magar hospital mein sampark rakhe taaki koi bleeding ka problem ho to doctor ki sahayata mile. 
  • 20 se leke 24 me hafte mein bhi garbhpat ho sakta hai. Is mein doctor pehle cervix ko dawai dwara naram bana deta hai aur anaesthetic deta hai mahila ko. Forcep aur suction tube dwara bhrun ko kokh mein se nikal deta hai. Prostaglandin injection ka bhi prayog ho sakta hai  jo seedha garbhashay mein dete hai jis se aap ko labour ki shuruaat ho jaati hai aur doctor forcep ke dwara fetus ko kheench ke bahar nikal deta hai....और पढ़े>>

TAGS : #गर्भ गिराने के घरेलू नुस्खे #garbhpat ke gharelu dawa #bacha girane ka gharelu nuskha in hindi #गर्भपात करने के तरीके #गर्भ गिराने के देसी उपाय #गर्भपात के आयुर्वेदिक उपाय #गर्भपात के प्राकृतिक तरीके #गर्भपात करने के घरेलु उपाय #garbh se bachav #garbh nirodhak desi upay #anchahe garbh se chutkara #pregnancy rokne ke gharelu upay #garbhpat ke lakshan #garbhpat kaise hota hai #garbhpat karne ke gharelu tarike #गर्भपात के घरेलू उपचार #गर्भपात के लक्षण #गर्भपात की प्रक्रिया #गर्भ गिराने के आयुर्वेदिक उपाय #home remedies for abortion in hindi #abortion ke gharelu nuskhe

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

4 Comments

Sarita, Jan 31, 2018

Mere abortion ke 15din ke baad bleeding band ho gai thi or hamne sex kar liya or dusre din fir se bleeding shuru ho gai hai please mujhe bataiye ki aisa kiyun hua?

pooja tandan, Aug 02, 2017

Mujhe. Sex karwane ki lath lag gai hai aur ek ladka ne apna sparm meri pudii ke andar hi dal diya ab mai kya karu help me somebody plz

Raunak, Feb 25, 2017

1-2 mahine tak safe hota hai uske baad doctor ki salah hi le

Gaurika, Feb 18, 2017

Garbhpat Abortion karna kitna surakshit hai