जाने गर्भधारण न कर पाने की समस्या

जाने

Garbh dharan karna ek saral aur prakritik kriya hai. Ascharya ki baat yeh hai ki aaj kal bilkul normal mahilao ko bhi garbh dharan karna koi khel ka baat nahin hai. Tanaav, jyaada shram aur kai karan is process mein rukavat laate hai. Is ke karan hai aur upay bhi hai. 

  • Adhik tanaav aur shram se sharir protective mode mein chala jaata hai jis se mahila ka garbh nahin theherta hai. Is ke liye tanaav se mukt rahe aur shram kam kar de. 
  • Neend kam hone se yeh samasya ho sakti hai. Raat ko poore 8 ghante so jaaye. 
  • Vajan badh gaya ho ya kam ho to bhi garbh nahin theherta hai. Yogya paushtik aahaar le. 
  • Ovulation problems (streebeej jajanan) hai jo hormones se related hai aur is ke liye aap ko jeevan shaili aur aahar sudharna hoga. 
  • Badhti umar mein, khaas kar ke 35 saal ke baad, ande ka quality sahi nahin hota hai jis se garbh theherta nahin hai. Is ke liye IVF aur aise vikalpo ka sahara lena padta hai. 
  • Polycystic ovarian syndrome se ovulation ka samay badal jaata hai aur andkosh mein chote chote daane pad jaate hai. Fallopian tubes damage ho sakte hai ya block ho sakte hai. Endometriosis ek samasya hai jab garbhashay ke andar ka star garbhashay ke bahar aa jaata hai. In samasya ke liye doctor se treatment karvaiye. 
  • Sirf mahila jimmedar nahin hai; purush ke bhi shukranu mein kami ho to yeh paristhiti khadi ho sakti hai ki garbhdharan nahin hota hai. 
  • Kai khadya padarth ke karan bhi garbhdharan nahin ho sakta hai. Aise khadya padarth ka sevan bandh kar de. Matar, soyabean, singdana, cola drinks, coffee, chai, chocolate, papita jaise aahar na le.  
  • Sahi samay par sambhog na kare to bhi garbh nahin theherta hai. Sahi samay hai ovulation ke ek din pehle, ovulation ke din aur us ke ek din baad. 
  • Dawai ke karan bhi yeh problem hota hai. To aisi dawai bandh kar de ya alternative dawai doctor ke salah soochan se le.

 

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

15 Comments

Nusrat parween, Jun 06, 2018

Pregant hone ke lye bht mehnt ki nai hua .kya kru ki maa ban jau

 

Tusti, Jun 07, 2018

yahan apko garabhdhaekran na hone ke kya karan ho sakte hai bataye gae hai. Ek baree doctor ki salah zaroor lein.

हेम लता, Apr 01, 2018

गर्भधारण ना कर पाने के किया कारण होते हैं तथा इसे कैसे दूर कर सकते हैं जिससे की जल्दी से गर्भधारण किया जा सके?

अलका गर्ग, Mar 17, 2018

बढ़ती उमर में ख़ास कर के 35 साल के बाद अंडे का क्वालिटी सही नहीं होता है जिस से गर्भ ठहेरता नहीं है इस के लिए आइ वी एफ और ऐसे विकल्पो का सहारा लेना पड़ता है नींद कम होने से यह समस्या हो सकती है रात को पूरे 8 घंटे की नींद लेनी चाहिए अधिक तनाव और श्रम से शरीर प्रोटेक्टिव मोड में चला जाता है जिस से महिला का गर्भ नहीं ठहेरता है इस के लिए तनाव से मुक्त रहे और श्रम कम कर दें|

विनीता, Feb 22, 2018

गर्भधारण ना कर पाने के कारण कौनसे होते हैं और किस समस्या की वजह से गर्भधारण करने में रुकावट आ जाती है प्लीज़ बताइए

Arjun Thakur, Oct 21, 2017

Bahut,badhiya,tatike,laga Thanks for sharing the article

Sana Khan, Oct 20, 2017

Mujhe thairid ki problem hai or mahina bhi sahi hota hai husband ki report normal hai kiya karun thairide kam ho garbh thear jaaye

Mohit Solanki, Oct 20, 2017

Abhi ek mahina 10 din hui hai kiya upay karna chahie bataiye

Anchit Kaur, Jul 31, 2017

Mujhko apna garbhdharan karna hai Iskeliye mujhko kya karna hoga jaankaari den

 

मालती, Nov 11, 2017

मुझे काफ़ी समय से बच्चा नहीं हो पा रहा है इसके किया कारण हो सकते हैं और गर्भधारण करने में किया समस्या होती है इसके बारे मे मुझे विस्तार से बताइए|

Aashi thakur, Jul 13, 2017

M 2012oct me abotion krwaya nd september me preg.hui thi jb se maine abo.krwaya h tbse m preg.nhi ho payi hui hu ....kya kru

eshana, Jun 10, 2017

Meri umar 27 saal hai or meri shadi ki dhai saal ho gye lekin mai maa nahi ban pai or mujhe 7saal se gathiya b hai

 

sameer, Apr 26, 2018

Aap ko zaror bacha ho ga

savi , May 17, 2017

Pregnant hone ke liye mc ke kitne din bad sambhog Kate meri date Bhi sahi ni rahti

Piyush, May 16, 2017

Bahut Achchha likha hain. well appreciated ideas and suggestions

 

savi, May 17, 2017

Mc me kitne din bad sambhog krne se pregnent ho sakti hu meri date Bhi Badal jati h teen bar misscerij ho chuka h

Akshat, Apr 19, 2017

tanav aur lifestyle infertility ka karan hai, yoga kare tanav mukt rahe, jald hoga

Sahani, Apr 12, 2017

mei kaise dur karu Garbhdharan na kar paane ki samasya bahut pareshaan hu

Ativ, Mar 03, 2017

lifestyle sabse bada karan hai