Garbhavastha roj roj nahin hota hai isiliye is ko adjust karne mein samay lagta hai jo aap 14ve hafte hone par ho jaata hai. Kai lakshan bhi pragat hote hai jaise jaise garbhavastha badhti jaati hai. Is mein hai bhook. In sabhi ka aap dhyan rakhe aur yogya action le. Ek tihai rasta kat gaya.
- Mukhya lakshan 14ve hafte hone par hai ki aap ko rakshasi bhook lagegi. Khaate rahiye din mein 4-6 baar aur bilkul balanced aur paushtik aahaar ka sevan kare. Nashili cheez aur tambaku ka sapna bhi na dekhe. Vitamin B, folic acid, iron, protein, calcium aur fiber jee bhar ke khaaye. Koi na bhi nahin kahega.
- It na hi nahi, stano ke kad badh jaate hai.
- Mood ka to koi thikana hi nahin, kabhi dhoop to kabhi chaon.
- Ulti bhi kam ho jaayegi. Yeh sab mamooli hai magar is samay par aahar par khaas dhyan rakhe kyonki yeh bachche ke vikas ke liye mahatvapoorna hai.
- Bachche ki haalat dekhe to sabhi ango ka vikas hone lagta hai. Ab tak sar mota tha aur ab sharir ke doosre ang ka vikas hota hai aur dil ki dhadkan duguna hoti hai. Gabhraiye nahin.
- Bachcha apne haath ki muthi ko khol bandh karne lagta hai.
- Is samay bachche ka size 3 inch jitna hota hai aur vajan 100 gram ke aaspaas ka hai.
- Bachche ke sharir mein khoon ka nirman hone lagta hai.
- Mas peshiyo ki vrudhdhi hone lagti hai.
- Bachcha sabhi poshan sirf placenta dwara paata hai isiliye aap ko bhook jyada lagta hai aur aap ko sahi aahar lena important hai.
- Vajan badhe us ki chinta na kare bas poshak aahaar khaate rahiye din bhar. Zindagi mein abhi nahin to kabhi khaayegi? Aap ke liye aur bachche ke liye aahaar bahut jaroori aur mahatvapurna hai. ....और पढ़े>>