गर्म पानी पीने के फायदे

गर्म

Paani ke bina jindagi nahin hai. Har ek jeev ko paani chahiye. Manushya hi ek aisa jeev hai jo sadharan paani ke badle aaj kal fridge mein rakha chilled paani prefer karta hai. Thanda paani peene mein to achcha lagta hai magar is ka asar swasth par hanikarak hota hai. Is ke bilkul viprit disha mein hai garam paani jo swasth ke liye behad faydakarak hai. Garmiyon mein bhi garam paani fayda deti hai bhale aap ko paseena choote. Aiye jaaniye garam pani peene ke kya hai fayde.

गर्म पानी के अनगिनत फायदे 

Paani sadharan tapman mein hi uchit hai magar thodasa garam peene ki aadat rakhe to aur bhi fayde hai. Jaaniye garam pani pine ke labh in Hindi. 

  • Garam pani pine ke fayde anek hai magar sabse shresht yeh hai ki yeh pachan tantra ko majboot banaye rakhta hai. Pachan swasthya ka mool hai aur agar yeh theek hai to sabhi kriya theek se hoti rahegi. 
  • Garam pani peene ke fayde mein ek aur important baat hai ki blood circulation theek  se hoga. Sharir ke kone kone tak khoon ka bahav rahega aur sharir mein dard, jodo mein dard aur sunn ho jaana aise pareshaniya se aap door rahenge. 
  • Garam pani ke fayde in Hindi bataye to yeh agar aap ne savere do glass pee liya to sharir mein se vish ko bahar nikal dega. 
  • Garam pani peene ke fayde hindi me bataye to agar aap ko kabz ki shikayat rehti hai to sirf garam paani hi savere pee le aur din bhar peete rahe to is taklif se aap mukt rahenge. 
  • Garam pani pine ke fayde mein aap ka kidneys ka karyakshamta barkarar rahega. 
  • Garam pani ke fayde aap ke mutrashay par bhi hota hai. Pathri ka bhay kam ho jaata hai aur vish is marg se bahar nikal jaata hai. 
  • Garam pani peene ka sahi time hai savere khaali pet. Is samay agar aap ne plain garam paani pee liya ya to is mein nimbu ka ras aur adrak ka ras daal ke piye to behad faydemand hai. Kabz mit jaata hai. Sharir mein se vish bahar nikal jaata hai. Jodo mein dard nahi hota hai kyonki vayu bahar nikal jaata hai. Is ke alava aap ke pet ki charbi bhi kam karne mein sahayak hai. Savere garm pani peene se hamesha jawan dikhenge. Sharir mein se kaph bahar aa jaayega aur shardi-jukham se bache rahenge. 
  • Subah subah garm pani pene key fyde hindi meh dher saare hai. Dimag se leke haddi se leke tvacha se leke khoon se leke organs se leke nakhoon tak, sabhi hare bhare aur hrusht pusht ho jaayenge. Agar do bar garam pani piya to kya hoga? Kuch nahin. Hamari soochan yeh hai ki khaane ke saath bhi aap garam pani ke chuski lete rahe. Aur fayda hoga. 
  • Garam pani pine se kya hota hai? Aanto ke andari bhaag par vishiya padarth chipak jaata hai aur yeh bahut chikna hota hai. Garam paani se yeh dheela ho ke bahar aa jaata hai aur aant ko nutrition absorb karna aasaan ho jaata hai aur cholesterol level bhi kam ho jaata hai. Yakrut par bhi bojh kam ho jaata hai. 
  • Itne saare fayde ke baad yeh saval karna vyarth hai ki garm pani faydemand h ya thanda pani. Garam pani se fayda hai. Thanda paani se pachan bigadta hai, gas hota hai, kidneys kamjor hoti hai aur energy kam ho jaata hai. Garm pani se sharir mein urja rehta hai aur insaan sfurtila rehta hai.

सादा पानी पीने के फायदे

Pehle to jaane pani pine ke fayde. Manushya ka sharir 75% paani hai aur paani har ek antarik kriya ke liye jaroori hai. 

  • Paani tissues ke growth ke liye jaroori hai. 
  • Paani se khoon ka bahav theek rehta hai.  
  • Paani se sharir ke toxins yaane vish bahar nikal jaate hai. 
  • Paani se acidity kam ho jaata hai.
  • Dimag ka kamkaaj sahi chalta hai agar sahi matra mein paani ho sharir mein 
  • Jodo ko paani chikna banaye rakhta hai. 
  • Paani pachan ko sudhar deta hai aur adhik khaane se aap ko rok deta hai. 

Yeh to hai sadharan paani jo bilkul jaroori hai. Magar paani ko thodasa garam hi piya jaaye to aur bhi fayde hote hai. Abh jaaniye garam pani pine ke labh in Hindi.

गुनगुना पानी पीने के फायदे 

Gunguna pani pine ke fayde bhi hai.

  • Yeh aap ke sharir ke pachan tantra ko theek functioning mein sahayak hai.
  • Saath mein tanav bhi kam hota hai aur pyaas jaldi se nahi lagta hai.
  • Pathri ho to sirf guna guna paani se hi aap ko kaafi aaraam milta hai aur sharir par khujli jaise bimariya nahin hoti hai.
  • Pitta aur kaf ka shaman hota hai.
  • Sar mein dard nahin hoga aur hua hai to mit jaayega.
  • Vajan niyantran mein rahega.
  • Acidity se aap bache rahenge
  • Baalo ka jhadna bandh ho jaayega. 
  • Bukhar aane par, pet mein dard hone par, tvacha par keel hone par ya koi mutrashay sambandhit prashna ho to thande pani ka bahishkar kar ke sirf gunguna paani piye. 

Pani peene ka sahi tarika hai ki aap ise baith ke dheere dheere piye. Ek hi ghoont mein poora glass utavlepan mein khatam karne ki koshish kabhi na kare. 

तांबे के बर्तन में पानी पीना है लाभकारी

Ek prayog hai jo atyant labhdayak hai. Paani ko ek tambe ke bartan mein raat bhar sangrahit kar ke rakhe. Savere, sooraj ugne ke pehle hi aap ho sake itna paani pee le. Agar aap 3 se 7 liter pee sakte hai to 3 se 7 litar pani pine ke fayde hai ki gambhir aur jatil bimari jaise ki kidney ka rog aur tb jaise rog se bhi chutkara mil jaata hai aur sharir bilkul achchi tarah detoxify ho jaata hai. Saver pani pine ke lab chahte ho to raat bhar tambe ke bartan mein rakha hua gun guna pani piye.  Adhik pani pine ke fayde hai ki intestines yaane ki aant bilkul saaf ho jaayenge aur kidneys mein se bhi pathri ho to nikal jaayegi.

गरम पानी त्वचा के लिए है अत्यंत गुणकारी 

Tvacha ke liye bhi garam paani atyant gunkari hai.

  • Gharelu nuskhe for face mein aap ko keel ya muhase ho to garam paani se kapde ko bhigoye aur chehre par daba ke bandh de. Chidra khul jaayenge aur upar ke mrut koshika bhi aasaani se nikal jaayenge. Ek nayi tazgi mehsoos hogi.
  • Jinhe muhase nahin hai voh bhi is prayog karne se fresh honge.
  • Sar par bhi garam paani lagane se sar ki tvacha par se rusi hat jaati hai. 

पानी से नुकसान

Pani peene se fayda hai to adhik aur galat tarike se peene se nuksan hai aur bahut jyaada pani pine se nuksan ho sakta hai. 

Aap yeh mat sochiye ki garam pani ya gunguna paani peene mein fayda hai to kyon na din mein 5 se 10 liter paani pee le. Garm pani pine ke fayde hai magar praman mein. Pani peene ka sahi time hai aur matra bhi. Agar jyada piye to garam pani pine ke nuksan bhi aap ko maloom hona chahiye: 

  • Jyaada garam paani piye to sharir mein salt ka balance hai voh bigad jaata hai. Sodium aur potassium dhul ke agar bahar nikal gaye to palpitation ho sakta hai. Dimagiya santulan aap kho baith sakte hai. Blood sugar level bhi kam ho sakta hai aur chakkar bhi aa sakte hai. 
  • Chikne khadya padarth khaane ke baad pani pine ke nuksan mein aap ko khansi aur jukham ho sakta hai. Khaas kar ke thanda paani piya to aur bhi taklif hota hai aur kaf badh jaata hai. Dahi, ice-cream aur shrikhand khaane ke baad pani nahin peena chahiye. 
  • Dhoop mein firte ho aur pyas lage to gunguna paani hi peeye magar adhik maatra mein nahin. Sharir ko shock lag sakta hai. 
  • Khaali pet bhi hamesha adhik garam pani ya thanda pani peene se bimari ho sakti hai. 
  • Kai logo mein paani adhik peene se acidity ka level badh jaata hai. 
  • Khaane ke baad turant ek glass paani piye to charbi pet par badh jaata hai. 
  • Jyaada paani ka nuksan hai ki khaane ke baad peene se digestive juices aur enzymes dilute ho ke khana ko theek tarah se process nahin kar paate hai. 
  • Pani peene ka sahi tarika hai ki din bhar pani peete rahe, ek saath jyaada maatra mein nahin. 

Pani hamesha gunguna ya garam peena chahiye. Thande pani ka shokh ko tyag kar de agar aap sampoorna swasth chahte hai. Garam paani to gunkari hai aur us ke gun badhane ke liye thodasa nimbu aur adrak ka ras is mein daale. Paani ko garam karte samay is mein sawa ke beej, jeera aur ajwain daal ke ubale aur din bhar yeh gun guna paani piye to pachan tantra bilkul top mein rahega aur gas jaisi taklif nahin hongi.  Pani to jeevan hai magar aap us ka sahi tarike se istemal kare to aur bhi fayda hai.

TAGS: #pani peene ke fayde in hindi #garam pani ke fayde in hindi #garam pani peene ke faide#garam pani ke labh #garam pani peene ke fayde #गर्म पानी पीने के फ़ायदे #benefits of drinking hot water in hindi #गर्म पानी के शारीरिक लाभ #garam pani ke labh

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

14 Comments

Seeta Arora, Feb 17, 2018

Jaisa ki hum sab jaante hain ki paani ki wajah se kai saare infection hote hain lekin agar aap garam paani peetey hain to yeh infection ki samasya kaafi had tak ghat sakti hai isliye garam paani ka sevan karen isse aapki tabiyat theek rahegi.

Farah Khan, Feb 16, 2018

Mere chehare par thode daag dhabba hain jis wajah se mera face bahut bura dikhta hai please aap mujhe koi tips bata sakte hain inko chutane ka aur kiya upay hai kiya aap mujhe bata sakte hain ki garam paani se hum iss problem ko solve kar sakte hain please batayen

Komal Gupta, Feb 15, 2018

Mere pet mai thoda kabj rehta hai lekin maine suna hai ki agar hum garam paani piyen to isse nijaat pa sakte hain kiya aisa sach mai hota hai please aap mujhe batayen aur kis samay peena chahiye yeh bhi batayen.

Manmeet Arora , Feb 14, 2018

Agar aap garam paani peetey hai to aapka pet isse clear rehta hai agar aap roj subah uthkar ek glass garam paani peetey ho to isse aapka pet to clear rahega aur saath hi aapko tajgi bhi mehsoos hogi.

Mohit Suri, Feb 12, 2018

Agar aapke gale mai kharash hai to aap garam paani mai halka sa namak daal kar garare kar sakte ho isse aapke gale ka kharash dur ho jaayega.

Seema Khurana , Feb 08, 2018

Mera bhai ka pet sahi nahin rehta uske bathroom mai se bahut hi jaayeda smell aati hai kiya garam paani pekar iss samasya se chutkaara pa sakte hain please aap bataiye ki kaise main uska pet sahi kar sakta hun?

राम चंदर, Oct 08, 2017

ग्रम पानी के बेनिफिट्स क्या हैं वो सभी कुच्छ अगर आप विस्तार से बताएँगे तो मुझे इन सब बातों को समझने में आसानी होगी|

रेनू पोपली, Jun 22, 2017

गर्म यानी के गुनगुना पानी पीने से हमारा वजन कम हो जाता है पेट सॉफ रहता है पेट सॉफ रहने से हमारा डाइज़ेशन सिस्टम ठीक रहेगा

Urmi, Jun 02, 2017

garam pani se sirf wajan hi kam nahi hota iske aur bhi fayde hai kaise sharir se sare toxic bahar nikalna

Chitrarekha, May 22, 2017

garam pani sardi jhukam se rahat deta hai

Binodini, Apr 14, 2017

periods ke pain ko bhi garam pani se aaram milta hai

 

haanu, Jun 24, 2017

Haan karke dekho

Erbir, Apr 06, 2017

balon mei chamak aati hai garam pani peene se

Sarableen, Mar 19, 2017

jodo mei dard nai hoti

Arif, Mar 03, 2017

garam pani body ko active aur halka karta hai