Pathri ka Ilaj Pathri ek shabd hai jo hame kampa deti hai. Gurde ki pathri (kidney stone) ho ya pittashay ki pathri (gall stone), donon gambhir paristhiti hai aur mareez ko asahniya dardka shikar bana deti hai. Pitte ki pathri aur gurde ki pathri ke baare mein jaankaari hona jaroori hai aur gurde/pitte ki pathri ka desi aur gharelu ilaj kaise kare yeh bhi jaaniye. Aisa nahi hai ki yeh ilaj sirf mareez ko hee kare; jinhe nahin hai voh bhi in nuskhe dwara gurde-pitte pathri se bach sakte hai.
कारण और लक्षण घुर्दे और पित्ते पथरी के
Gurde ki pathri aur pitte ki pathri hone ke peeche kai kaaran hai aur lakshan dwara penchane jaate hai taaki aap pittek ki pathri kay ilaj ya gurde pathri ka ilaj kar sake ghar par hi.
पित्ते की पथरी के कारण
- Pitte ki pathri (gall stone) hone ke peeche hai cholesterol jyaada hona aur paani kam peena.
- Cholesterol jam ke ganth jaisa ban jaata hai aur yeh pitte ki pathri kehlata hai.
- Pitte ki thaili ki karyakshamta kam ho jaati hai aur kyonki bile itana produce nahin hota hai to fat digest hona mushkil hota hai liver ke liye. Samasya aur badhti hai.
- Pet mein dard hone lagta hai, kabhi kabhi ulti hoti hai aur pet mein bhaaripan rehta hai.
गुर्दे की पथरी के कारण
Gurde ki pathri (kidney stone) hone ke peeche alag kaaran hai.
- Paani mein salt jyaada ho yaane ki agar koi hard water jyaada peeta hai to pathri hone ki sambhavna hai.
- Paani kam peena yeh bhi ek karan hai.
- Peshab mein oxalate, uric acid aur calcium jyaada ho to pathri ban jaata hai. I
- Infection ke kaaran bhi yeh samasya ho sakti hai.
- Kai aise dawai hai jo kidney par asar kar ke calcium oxalate ka nirman hone mein sahayak hai jo kidney stone hai.
- Pishab lambe samay tak roke to bhi pathri banta hai.
- Gurde ki pathri ke lakshan in hindi yeh hai ki peeth mein dard hone lagta hai aur jaangho ki taraf badhta hai.
- Peshab karte samay jalan aur dard hota hai aur taklif hota hai.
- Peshab mein khoon aata hai aur andkosh mein dard hota hai.
- Ulti hota hai aur bechaini rehti hai aur phir aage jaage kampan hota hai, bukhar, kamjori aur badan dard hota hai.
- Gurde me pathri ka hone teen-chaar alag prakar ke hai jaise ki calcium oxalate stone, uric acid stone, stuvite aur cysteine pathri.
Yeh lakshan agar pragat hue aur blood test/x-ray/CT scan/sonography se tay hua ki pathri hai to yogya gurde/pitte pathri ka desi gharelu ilaj in Hindi yahan par jaaniye.
गुर्दे की पथरी का घरेलू इलाज
- Pehle jaaniye gurde ki pathri ka gharelu ilaj in Hindi. Yeh gharelu nuskhe pathri choti size mein ho to jaldi asar karte hai aur bade pathri mein doctor ki salah bahut jaroori hai.
- Mareez ko din bhar paani jyada maatra mein peete rehna chahiye. Kam se kam 2-3 liter paani chahiye aur voh bhi soft water. Kue ka ya bore ka paani na piye.
- Mareez ko yogabhyas shuru karna chahiye aur savere 20 minute tak yoga kare jis mein uchut aasan hai bhujangasan, ghanurasan, halasan aur pavanmuktasan. Saath mein kapalbhati aur anulom-vilom avashya kare.
- Kidney stones ko pighla dene ke liye muli ka ras har roj piye. Saath mein taaja amla ka ras aur chutki haldi avashya milaye.
- Gurde ki pathri ka ilaj karne ke liye jeera ko halka sa bhun ke pees le aur chini milaye. 2 chamach thande paani mein mila ke din mein teen baar piye.
- Gurde ki pathri ka gharelu ilaj in Hindi karne ke liye sabut dhaniya sookha, saunf aur jeera raat bhar paani mein bhigoye aur doosre din pees ke vahi paani mein chini ke saath milaye aur din mein 2 baar piye.
- Pathri ka gharelu ilaj in hindi karne ke liye 50 ml nimbu ke ras mein 50 ml jaitun ka tel milaye aur prati din is ka sevan kare. Yehi nuskha nimbu aur jaitoon ka tel for gallbladder stone in Hindi kahe to kaam karta hai pitte ke pathri mein.
- Jaaniye kaise kare pathri ka ilaj hindi me. Bel ke fal (sookha) paani ke saath pathar par ghise aur is paste mein kali mirch daale aur chaba ke khaaye. 15 din tak khaaye. Is mein pehle din do sabut kaali mirch le aur sankhya badhate jaaye ek ek karke 7 dino tak aur phir kam karte jaaye.
- Pathri ka ilaj in hindi yeh hai ki har roj khaali pet savere tulsi ka ras ka sevan kare. Is mein tej patte ko paani mein ubal ke us ka kadha daale.
- Pathri ka ayurvedic ilaj in hindi kahe to bahut hee labhdayak hai. Is ka rahasya hai pashanbhed jise patharchatta bhi kehte hai. Patthar chatte ya pashan bhed ke patte ka kaadha banaye ya to churna laake kaadha banaye aur 15 din tak sevan kare.
- Ayurvedic ilaj pathri ke liye aur bhi hai. Kalmishora, teliya sohaga ko pees ke doodh mein mila ke peeye. Chandan ke tel ko batasha par laga ke ise khaaye.
- Gurde ki pathri nikalne ke nuskhe mein aap fitkari ko tave par sek ke fulaye (1-2 gram) aur is mein 25 gram chini aur 2 gram kalmishora mila ke pees ke paani mein mila ke peeye. Fulaya hua fitkari ko chaach mein mila ke liya jaa sakta hai aur saath mein haldi milane se fayda hoga.
- Ayurved nuskha pathri ke liye karna hai to gokhru churna mein kirmala ki giri, daabh ki jad, kans ki jad, amla churne, harde churna sambhag leke 50 gram jav ke saath kutke powder banaye aur paani mein kaadha bana ke shahad ke saath le har roj. Neem ke patte ko jala ke raakh banaye aur is raakh ko paani mein mila ke peyee pathri pighalne ke liye. Muli ke beej, gajar ke beej aur saljam ke beej ka churna ko muli ke ras mein mila ke peeye to pathri pighal jaayega.
- Aam ke ped ke patte ko sukha ke churna banale aur har roj ek glass paani mein powder mila ke peeye. Elaichi, peepar mool aur shilajit barabar bhag mein leke chini ke saath mila ke khaaye.
- Ayurved nuskhe pathri ke liye jamun ki gutli ke churna aur dahi; pyaj ka ras, palaash ke phool ka ras aur mehndi ke ras se bhi kiya jaata hai.
- Gurde ki pathri nikalne ke nuskhe mein pashan bhed ke saath pethe ka ras aur muli ka ras ka sevan kare to aur fayda hoga.
- Sahjan ki sabji, chukandar, kakdi, tarbooj aur muli khoob khaye gurde ki pathri ke ilaj karne ke liye.
To yeh hai gurde ki pathri ke liye desi nuskhe, pathri ke ayurvedic ilaj aur pathri ke gharelu upchar. Palak,tamatar aur aise oxalate jyaada ho aise aahar ko na khaaye treatment dauran.
पित्ते की पथरी का इलाज
Ab hai baat pitte ki thaili ki pathri (gall stone) ki. Aam taur par maana jaata hai ki kyonki is ka chemical composition kuch alag hai aur charbi par adharit hai to ise operation ke sivay baahar nahin nikala jaa sakta hai. Magar yahan par bataye pitte ki pathri ka desi ilaj in Hindi jaan ke aap avashya prayog kare to safalta milega.
- Pittashay ki pathri ka desi ilaj in hindi bahut saral hai. Har roj seb ka taaja ras nikale aur is mein ek chamach apple cider vinegar mila ke khaali pet peeye.
- Har roj fresh juice piye pitte di pathri na ilaj vaste. Is ke liye chukandar, kheera, gaajar aur lauki 100 gram leke 25 gram pudine ke saath fresh juice nikal ke jeera aur kala mirch daal ke peeye. Nimbu ka ras aur adrak ka ras bhi is mein milaye to aur fayde honge.
- Khaane mein haldi, kali mirch, hing, sonth aur nimbu ka upyog jaroor kare pitte ki pathri ka desi ilaj ke dauran.
- Pitta ki pathri ka ilaj gudhal ke phool se kiya jaa sakta hai. Fresh phool ya suke phool ka powder le aur ek chamach sone ke pehle paani ke saath le. Ek mahine me pitte ki pathri toot ke bahar nikal jayega. Dard hoga magar baad mein chain ki saans le saikenge. Kyonki opration pitte ki pathri ka mehnga hai aur kashtdayak to pehle gudhal ke phool ka prayog jaroor kare.
- Nimbu aur jaitoon ka tel for gallbladder stone in Hindi ilaj is prakar hai. 50ml nimbu ke ras mein 50 ml jaitoon tel mila ke sevan kare.
- Har roj raat ko khaane ke baad sone ke pehle isabgol ek chamach paani mein mila ke piye. Do baar lene se aur fayda hai.
- Aerandi tel ko garam kare aur kapda is se bhigo ke pet ke dahine aur jahan par pitashay hai vahan par baandh ke rakhe raat bhar.
- Pitte ki pathri ka desi ilaj chalu ho tab dalda, chini, junk food, meat, eggs aur sharab aur doodh ki banavat ka sevan na kare.
Pathri ke liye yeh saral upay hai jo aap ghar par aajmaaye aur keemti operation se bache.
TAGS:#pathri ka ilaj in hindi #pathri ka ayurvedic ilaj #pathri ka upchar #gurde ki pathri ka desi ilaj #pitte ki pathri ka ilaj #gurde ki pathri ki dawa #gurde ki pathri ka ilaj in hindi #pathri in kidney #stone in kidney in hindi #desi nuskhe for kidney stone
रूपा बिंदल, Mar 15, 2018
गुर्दे की पथरी के मरीज को निम्नलिखित तरीके से आराम मिल सकता है मरीज़ को योगाभ्यास शुरू करना चाहिए और सवेरे 20 मिनिट तक योगा करें जिस में उचित आसन है भुजंगासन घनुरासन हलासन और पवन्मुक्तासन साथ में कपाल्भति और अनुलोम-विलोम आवश्या करें गुर्दे की पथरी का घरेलू इलाज करने के लिए साबुत धनिया सूखे सौंफ और जीरा रात भर पानी में भिगोएन और दूसरे दिन पीस के वही पानी में चीनी के साथ मिलाएँ और दिन में 2 बार पिएं आयुर्वेद नुस्खे पथरी के लिए जामुन की गुटली के चूरना और दही प्याज का रस पलाश के फूल का रस और मेहन्दी के रस से भी किया जाता है|