शादियों के लिए लड़कियों के कपड़े

शादियों

Saheli ki shaadi me dulhan ki tarah sajh dhaj ke to nahin jaana hai fir bhi apne looks ko stylish aur event ke mutabik dress kar ke jaana jaroori hai. Plain office ke kapde ke saath to nahin jayengi.

  • Agar aap aisa sochti hai ki beauty parlour jaake hair style karvaye aur facial karvaye to yeh theek hai. Apne aap ko ghar par bhi savaar sakti hai aur dikhava kuch kam nahin hoga.
  • Do din pehle se prayog shuru kare jis me tvacha ko pehle scrub kare aur fir haldi chandan besan aur doodh ka ubtan ya to nimbu ke ras aur haldi ka prayog karke tvacha par nikhar laaye.
  • Heavy makeup karne se exotic looks to aate hai magar garmiyo me shaadi ho to paseene se makeup bigad bhi sakta hai to yeh baat bhi dhyan me rakha jaaye.
  • Shadi ke din ghar par hi savarne ke liye cleanser ka istemal kar ke moisturizer lagaye aur baad me primer aur fir foundation ke istemal se shuru kare taaki ek even tone aa jaaye. Aankho, bhramar aur hontho par khas dhyan de.
  • Eye shadow ka istemal kare magar bheetari kono me halka aur bahari kono me gehra. Make up mein less is more yeh dhyan me rakhe aur liptstick ko skin tone aur kapde ke anuroop color me select kare. 

Kyonki poore din saheli ki shaadi me busy rehna hai to kapde bhi aise chune ki stylish ho magar saath me comfortable aur aasaani se movement karne de aise ho. Fir dekhe kaise aap ka prakrutik andaaz logo ko bhaa jaata hai aur yeh sab kam kharch me hoga!

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments