Prasav ke baad ka samay maata aur bachche ke liye mahatvapurna samay hai jab aahaar aur swasth ka poora dhyan rakhna hota hai. Paramparik tarike se ghee ka upyog jyaada kiya jaata hai aur is ke thos kaaran hai. Maata ko prasav ke baad ghee ka sevan avashya labh deta hai:
- Ghee ek sampurna khurak hai jis mein jyaada fats hote hai, vitamin A, D, E aur thodasa protein bhi.
- Jodo ko yeh chikna aur flexible banaye rakhta hai.
- Doodh mein vruddhi hoti hai aur doodh mein poshak tatvo ka bhi jo bachche ke liye faydakarak hai.
- Adhik na khaane par yeh sehat ke liye faydemand hai. Jyaada khaaye to cholesterol badhega aur motapa hoga.
- Agar migraine aur sar mein dard ho to ghee ka sevan is samay fayda deta hai.
- Ghee mein bhi sirf gaay ka ghee hi uttam maana gaya hai. Yeh buddhi vikas ke liye uttam hai.
- Gaay ke ghee se pachan tantra top condition me rehta hai.
- Prasav ke baad ghee ke sevan se pachan tantra sudhar jaata hai.
- Tvacha komal aur mulayam bani rehti hai.
- Ek bade chamach mein se maata ko 470 KJ energy milta hai. Ghee mein rahit fatty acids aasani se yakrut mein metabolize hota hai.
- Gaay ke ghee ke sevan se nayi maata ka immune system powerful ban jaata hai. Gaay ke ghee mein butyric acid hota hai jo immunity boost karne mein sahayak hai.
- Ghee mein haldi aur dalchini powder mila ke khaane se gyan tantu tej rahenge, infection nahin hoga aur sehat top condition mein rahega.
- Ghee se khush mijaj rehti hai mahila.
- Ghee khaane ka swaad badha deta hai aur aruchi door kar deta hai.