दूसरे सप्‍ताह में लापरवाही बढाती है गर्भपात की आशंका

दूसरे

Pregnancy week by week in hindi : Garbhvati ho jaane par sharir mein hormones ka sanchay badh jaata hai aur parinam yeh hai ki sharir mein parivartan hone lagte hai jaise ki hath-pairo mein aithan, sar mein dard, thakaan, bukhar. Second week pregnancy in hindi mein Jaaniye baate 2nd week pregnancy se sambandhit aur laparvahi se bache kyonki laparvahi se ho sakta hai anchaha garbhpat. 

  • Bhrun to sthapit ho gaya garbhashay mein aur is mein teji se cell division ki prakriya karyarat ho gaya hai. Hormones ka josh mein sharir mein sanchay hota hai aur in hormones se badlaav aa jaate hai. 
  • Period ab se aap ko nahin aayega nau mahino tak. Ek chinta gayi magar doosri aayi aur voh hai badhta bacha jis ka aap ko gyan bhi na ho sivay ke halke symptoms dwara jaise ki stano mein soojhan, ulti, bukhar aana, thakan, vagairah. 
  • Is samay par savdhaani rakhna aur laparvahi se bache. Caffeine, sharab aur tambaku ka sevan bilkul bandh kar de nahin to bachche ko nuksan hoga aur us mein koi kami reh jaayegi. 
  • Theek se paushtik aahar aur rest nahin liya to bhi bhrun ka sahi vikas nahin hoga. Khaas kar ke folic acid, Vitamin B complex, iron aur calcium poorna maatra mein milni chahiye varna baby ka development theek se nahin hoga. Jaroorat se jyaada khaana buri baat nahin hai magar junk food nahin!
  • Aise cheez na khaaye jis se aap ko garbhpat ho jaaye jaise ki papita aur anya fal aur sabji jis ki jaankari aap kahin aur se paa sakte hai. Doctors meat aur sea food par manai lagate hai kyonki is mein zehreele padarth jaise ki mercury ho sakta hai. Is ke badle paneer, eggs aur chicken khaaye. Seafood ke badle river fish khaye.
  • Taja food hi khaaye. Fridge ka thanda khaana khane ki aadat baju mein rakh do.
  • 2nd week mein shayad hi aap ko pakka maalum hoga ki aap pregnant hai isiliye pregnancy ke lakshan pehchane aur doctor se confirm karvaye test dwara aur aise khadya sambandhit laparvahi se bach ke rahe. 
  • Kachchi aur baasi aur bazaru aahar na khaaye. 
  • Second week pregnancy mein soft drink avoid kare aur vegetable aur fruit juice piye.
  • Agar bleeding ho to ise period na samajh le aur turant doctor ke pas jaaye aur check karvaye. Ultrasound test karvana aap ke hit mein hai. Is se yeh bhi pata lagega ki normal pregnancy hai ya ectopic pregnancy—jis mein anda garbhashay mein nahin magar bahar sthapit hota hai. Yeh mata ke liye bahut khatarnak hoga isiliye garbhpat hi is ka rasta hai.

Tags: #गर्भ गिराने के घरेलू नुस्खे #garbhpat ke gharelu dawa #bacha girane ka gharelu nuskha in hindi #गर्भपात करने के तरीके #गर्भ गिराने के देसी उपाय #गर्भपात के आयुर्वेदिक उपाय #गर्भपात के प्राकृतिक तरीके #गर्भपात करने के घरेलु उपाय #garbh se bachav #garbh nirodhak desi upay #anchahe garbh se chutkara #pregnancy rokne ke gharelu upay #garbhpat ke lakshan #garbhpat kaise hota hai #garbhpat karne ke gharelu tarike #गर्भपात के घरेलू उपचार #गर्भपात के लक्षण #गर्भपात की प्रक्रिया #गर्भ गिराने के आयुर्वेदिक उपाय #home remedies for abortion in hindi #abortion ke gharelu nuskhe

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments