इन आहारों से निखारें अपना सौंदर्य - Food for Glowing Skin in Hindi

इन

Diet for glowing skin in hindi: Jo hum khate hai us ka jhalak chehre par dikhai deta hai. Agar chehra nikhra aur sundar ho aisa chehte hai aap to chehre ki dekhbhal to kare magar saath mein aahar bhi aise chune jo saundarya badhane me mahatvapurna hote hai. 

Aahar ke Main Components

Aahar balanced hona chahiye yane ki proteins, carbohydrates aur fats, jo basic hai, sabhi sahi maatra me hone chahiye. Carbohydrates jyada khaye to lambe samay par tvacha thodisi bejaan ho jayegi. Aur carbs mein agar chini khaye to tauba tauba. Agar tvacha hara bhara chahiye to fats hona jaroori hai. Kai log fats khane se darte hai weight gain aur heart problems ke karan magar jo exercise karte ho aur right fats khaye to chehre ki tvacha ko nikharne me bahut madadroop hai. Kyonki skin proteins se bana hai to svabhavik hai ki tandurasti banaye rakhne ke liye proteins to chahiye. 

Doosra bhag aahar ka hai fiber, vitamins, minerals aur antioxidant phytonutrients. Yeh fal, sabji aur nuts me milte hai. Isiliye agar dal, roti aur chaval khate hai to sabji, nuts aur fal bhi itne hee praman me hone chahiye. 

Aise to dal, sabji aur anaj mein se poshan milta hai magar kai khas aise aahar hai jin ke khane se tvacha nikhar jaati hai. Kaunse hai yeh aahar? Janiye aage voh aahar jinhe niyamit sevan karne se tvacha nikhar jaata hai.

टमाटर (Tomato)

Season me tamatar mehnge nahin hai. Inhe pakaye bina hee khaye to bahut labh hoga kyonki in me hai lycopene aur carotenoid jo skin damage ko niyantrit karte hai aur ek anokha nikhar laate hai. 

अंडे (Eggs)

Anda ek sampurna aahar hai kyonki is me fats aur protein ka sahi mishran hai. Saath me hai biotin jo tvacha ke liye gunkari hai aur tvacha ko sukhne se aur wrinkles se bacha ke rakhta hai. 

अनार (Pomegranate)

Anar me vitamins aur minerals to hai hee aur saath me hai phytonutrients jis se tvacha me collagen ka utpadan tej rehta hai. Is se tvacha hamesha jawan rehti hai. 

अखरोट (Walnuts)

Akhrot me fats aur proteins hai jo tvacha ko hara bhara banaye rakhte hai. Important baat yeh hai ki aap ko milta hai Omega 3 jis se na sirf baalo me magar kesh me bhi chamak aa jaata hai. Omega 3 paane ke liye aap soya, alsi ke beej, sarson ka tel aur canola oil ka upyog kare aahar me. Nuts ki baat kare to chironjee me bhi ek prakar ke fats hai jo tvacha ko hara bhara, lachila aur chamakdar bana dete hai. Badam ki baat nirali hai jab chehre ki saundarya ka saval hai. 

दाल, राजमा, उड़द (Pulses)

Pulses vegetarians ke liye proteins ka important source hai. Protein se tvacha ke koshika ka nirman hota hai aur collagen bhi banta hai. Har roj udad ka dal, rajma, moong, mutter, chana ya toor avashya khaye. 

जैतून का तेल (Olive oil)

Chehre ke tvacha ko nikharne ke liye aur saundarya badhane ke liye olive oil amrut hai. Is me hai monounsaturated fatty acids jis se tvacha jawan rehta hai. Olive oil me rahe polyphenols se rakshan milta hai skin damage se.

कद्दू और कद्दू के बीज (Pumkin and pumpkin seeds)

Kaddu jyada pasand nahin kiya jaata hai magar yeh poshan ka bhandar hai khas kar ke vitamin A & C jis se tvacha nikhar jaata hai. Kaddu ke beej sek ke khaye to zinc milta hai jo naye koshika ke nirman me sahayak hai. 

नारियल और नारियल तेल (Coconut and Coconutoil)

Nariyal aur nariyal tel ko badnaam karte hai log magar tvacha nikharne ke liye, balo ko ghana lamba karne ke liye aur takat ke liye nariyal aur nariyal tel bejod hai. Nariyal tel me monounsaturated aur polyunsaturated fatty acids aur lauric acid ka anokha mishran hai jo tvacha ko lachila, chamkila, hara bhara aur swasth rakhe. Ek mahine tak sabji nariyal tel me pakaye aur dekhiye kitna farak padta hai. 

 चॉकलेट (Chocolate)

Chocolate (dark chocolate, milk chocolate nahin) saundarya ke liye behad gunkari hai. In me hai flavanol jo antioxidant hai aur tvacha me damage hone se bachate hai. Chocolate hamesha khaye to chehre ki tvacha smooth ho jayega aur fullness dikhai dega. 

संतरे और नींबू (Orange and Lemon)

Har roj santre aur nimbu ka ras peene se Vitamin C milta hai. Yeh antioxidant hai aur cell repair me kaam aata hai. Chehre par lagaye to rang nikhar jaata hai. Ras jitna hee important hai chilka. Santre ke chilke ko sugar syrup me candy bana ke khaye to cancer se bachoge aur UV damage se rakshan milta hai. Vitamin C aur omega 3 jo ek saath paana hai to Kiwi fruit khaye. Skin smooth ho jayega. 

मसाले और जड़ीबूटी (Spices and Herbs)

Spices aur herbs me hote hai flavonoids aur essential oils jo kam maatra me bhi powerful kam karte hai. Hamesha laung, dalchini, rosemary, hara dhaniya aur pudina ka sevan kare. System saaf rahega, lahu vikar nahin hoga aur complexion clear rahega. 

सोया (Soy)

Mahilao ke saundarya ke liye soy bejod hai kyonki soy me hai aglycone jo jhurriya kam kar deta hai aur collagen ka nash hone se bachav karta hai. 

गाजर (Carrot)

Gajar me carotenoids bharpur maatra mein hai aur yeh purte praman me khaaye season me to chehre par sundar, golden glow aayega. 

 पालक (Spinach)

Palak me fiber to hai aur saath me vitamin E, C aur beta carotene bhi hai jis se aging kam ho jaata hai. 

अवोकेडो (Avocado)

Avocado ek aisa fal hai jis ki guda me purte praman me potassium aur fats hai. Baal, tvacha aur nakhoon sundar banaye rakhna hai to avocado jaroor khaye aur lagaye. 

चुकंदर (Beetroot)

Gulabi beet khaye aur galo me gulabipan laye. Beetroot me hai anthocyanin jo jhurriya hone se rokti hai aur tvacha me nikhar laati hai. 

आमला (Amla)

Aur akhir me aamla. Jab saundarya ki baat hai aur tandurasti ki to amla amrut hai. Amla ka juice peeye aur tvacha par lagaye. Hamesha jawan rakhega!

Sahi khaye aur rakhe chehre ko nikhra aur sundar. Yeh upar bataye aahar se saundarya badhega aur tvacha me nikhar jaroor ayega.

TAGS: #Diet/food for glowing skin in hindi # diet for beautiful skin in hindi #best foods for skin good for skin #what to eat for glowing skin #glowing skin in hindi tips #healthy diet for glowing skin in hindi #diet plan for glowing skin in hindi #glowing skin food diet face glow diet #face glow diet #beauty diet tips in hindi #vegetarian diet chart for glowing skin #diet for glowing skin in 10 days in hindi

यह भी जाने

Read More >>
Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

6 Comments

Neena Sen , Nov 06, 2017

Maine suna hai ki nariyal tel lagane se aap apne chehre ko nikhar sakte hain apne chehre ke daag dhabe dur kar sakte hain please koi tips bataiye

Sarveesh Kumar , Nov 02, 2017

Mera jayedatar BP low rehta hai isliye mujhe pata nahin hota ki BP low mai kiya khana chahiye aur kis chij se parhez rakhna chahiye lekin aap mujhe bata sakte hain ki mujhe kiya khana chahiye aur kiya nahin sabhi baaten vistaar mai batayen.

Mohit Suri , Oct 28, 2017

Aapne jo ahaar likhe hain aapne face ko glow karne ka bahut hi achcha likha hai lekin kiya yeh aahar ladko aur ladkiyon dono ke liye applicable hain kiya please aap batayen?

Drishti Sharma , Oct 26, 2017

Main apne jhadte baalon se bahut pareshaan hun aur saath hi apni juriyon wali tavcha se bhi pareshaan hun Ab kiya aap mujhe iske liye koi tips bata sakte hain jo asardaar bhi ho saath hi affordable bhi hona chahiye.

Neelam Sharma , Oct 24, 2017

Mujhe nahin pata tha ki tamatar khane se hamare chehare ka rang nikharta hai aapne bahut hi achcha tarika bataya hai.

Rina Kumari, Oct 21, 2017

Main bas 21 years ki hun aur mera chehra bahut hi jayeda kala aur dull lagta hai jis wajah se main aged dikhti hun kiya aap mujhe koi tarika ya nuskha bata sakte hain jisse main aged na dikhun.