Dengue machchar ke kaatne se hota hai. Machchar dwara dengue virus sharir ke khoon mein dakhil hota hai aur phir prasarne lagta hai jis se dengue ke lakshan pragat hote hai aur agar samaysar ilaj na kare to ghaatak bhi ho sakta hai. Jaane dengue symptoms in hindi, डेंगू बुखार के लक्षण, dengue se bachne ke upay, dengue ka gharelu upchar, dengue ka desi ilaj.
Jab anopheles prakar ka machchar malaria failane ke liye jimmedar hai to dengue ko failane ke liye aedes aegypti jaati ka machchar jimmedar hai. Yeh machchar din mein jyada sakriya hota hai aur un ki pehchan hai un ke sharir par safed spots. Yeh neeche ke level par hi rehte hai. Ghare mein andhere kone mein aur parde ke peeche chip jaate hai aur yeh shaant paani mein hi prajanan karte hai. Agar in machchar mein dengue ka virus hota hai to voh virus manushya ke sharir mein dakhil ho ke dengue bukhar ka kaaran ban jaata hai. Dengue virus ke bhi 4 jaati hote hai. Agar ek virus ne infect kiya aur mariz recover ho jaaye to use immunity milta hai us ek virus se magar doosre 3 prakar se nahin isiliye dengue se bachaav (डेंगू से बचाव) hi theek hai.
Sankramit dengue ka machchar (aedis aegypti) jab manushya ko kaate to us ke thook dwara dengue ka virus lahu ke pravah mein mil jaata hai. 4 se 6 din ke baad dengue ke lakshan (डेंगू बुखार के लक्षण) pragat hona shuru ho jaata hai.
Agar savdhani lekar dengue ka upchar na kiya gaya to bukhar bahut uncha ho jaata hai aur lymph glands aur circulatory system ko nuksan hota hai. Aage jaake bleeding badh jaata hai, liver failure hota hai, shock mein mariz chala jaata hai aur mrutyu ho sakta hai. Yeh khatarnak paristhiti khadi ho us ke pehle dengue ke gharelu upchar shuru kar dena chahiye.
Blood test dwara dengue ka diagnosis kiya jaata hai. Kyonki yeh virus ke karan hai is ka koi dawai nahin hai aur antibiotics kuch kaam nahin karenge. Mariz ka khaas dhyan rakhna hai aur dengue treatment in hindi jo yahan par bataye gaye hai us pa prayog kare. Dengu ka upchar kuch is prakar kare to dengue ke side effects se bach sake aur apne aap mariz recover ho jaaye.
Kyonki bahut saare logon ko dengue ke baare mein jankari nahin hai aur bukhar ko sadharan bukhar maan ke nazar andaaz kar dete hai to dengue jaan leva ban jaa sakta hai. Isiliye dengue se bachav hi behtar hai. Ab jaaniye dengue se bachne ke upay in hindi:
In sabhi karyo se aap malaria aur dengue se bachav (मलेरिया व डेंगू से बचाव ) kar sakte hai. Bachav hi behtar hai.
TAGS : #dengue symptoms in hindi #डेंगू बुखार के लक्षण #dengue se bachne ke upay #dengue ka gharelu upchar #dengue ka desi ilaj #डेंगू के लक्षण और उपचार #dengue ke upay #dengue ka ayurvedic ilaj #dengue ka gharelu ilaj in hindi #dengue ke lakshan hindi #डेंगू का घरेलू इलाज #डेंगू बुखार के घरेलू उपचार #डेंगू बुखार के लक्षण व उपचार #डेंगू का आयुर्वेदिक इलाज #डेंगू का घरेलू इलाज #डेंगू से बचाव के उपाय
Tamra, Nov 10, 2016
Giloy ke paato ka ras ubal kar nikal le dengue gharelu upchar ya patanjali ka bana hua ras le
Meena, Oct 14, 2016
बीड़ी सिगरेट, हुक्का, तंबाकू, शराब आदि से परहेज करें
aman, Oct 10, 2016
Dengue ka ilaj Ayurvedic paddhiti se bhi kare. Upchar mein papeete ke patte ka ras, neem ke patte ka ras aur adrak ka kaadha peelaate rahiye taki pratikarak shakti badhe
vidhi, Oct 09, 2016
dengue se kaise bacche koi gharelu upay btaye
bhavana, Oct 07, 2016
mere bete ko dengue ho raha hai doctor ko bhi dikhaya koi khas fark nahi ho raha koi upay btao
roshni, Oct 06, 2016
dengue ke bhukhar ko kam karne ka kya upchaar hai
jiya, Oct 03, 2016
dengue ka machhar kab katata hai or kaise isko roka jaaye
Dimple, Sep 30, 2016
degu se baccho ka bachav kaise rakhe
Martha, Sep 25, 2016
dengu ka gharelu ilaj in hindi bataye
Nabha, Sep 18, 2016
dengu bukhar kitna tej tak hota hai
Libba, Sep 13, 2016
jo already infected hai viral fever se bachne ke upay unse dur rahe
Elili, Sep 06, 2016
अगर 2 din से ज्यादा है तो डॉक्टर को दिखाएं
Hibah, Aug 29, 2016
अपनी इम्युनिटी को बढ़िया रखें न्यूट्रिशन से भरपूर खासकर प्रोटीन डाइट (सोयाबीन, दालें, मछली, अंडा, पनीर आदि) लेनी चाहिए
Kiran, Aug 22, 2016
Dengu dengi machar ke kaatne se failta hai jo halki white dhari wala hota hai use aedies bhi kehte hai
Zara, Aug 18, 2016
hamesha full kapde pehan ke rakhe bukhar se bachne ke upay, ghar ko saaf rakhe macchar na aane de
Gitika, Aug 15, 2016
dengu se bachne ke gharelu upay kya hai
Nakul, Aug 10, 2016
dengu ka macchar ky din mei kaat ta hai
Lajni, Aug 03, 2016
kanamycin kya hai
Pia, Jul 28, 2016
jald theek hone ke liye alovera juice rogi ko lena chahiye
Parag, Jul 22, 2016
ORS dengue ke upchar mei bhaut lamdhayak hai platelets maintain karne mei maddad karta hai
Charitra, Jul 18, 2016
detail mei bataye dengi ke lakshan
Omeshwar, Jul 14, 2016
tulsi ke 6-7 paate ubal ke piye dengu ke upaye yeh immunity bhi badata hai
Milind, Jul 10, 2016
ramban dengue ka upchar kya hota hai
Sharon, Jul 08, 2016
normal fever aur degu ka upcharkya same hota hai
Reba, Jul 04, 2016
dengue macchar kaisa hota hai kaise pehchan kare
वेद प्रकाश, Mar 21, 2018
चेहरे पर चमक रग रग में ऊर्जा लाने बल बुद्धि वीर्य स्मरणशक्ति आँखों की रौशनी शरीर की प्रतिरोधक क्षमता बढ़ाने हड्डियों को मजबूत करने समस्त रोगो से बचाव के लिए करे ये चमत्कारी उपाय यह एक ऐसा अद्भुत योग है जिससे उम्र का असर नज़र नहीं आता है जानिए बुढ़ापा दूर करने का उपाय सदा जवान रहने के उपाय सिर्फ़ योगा हि हैं आप रोज की अपनी दिनचर्या में इसे करना कभी भी ना भूलें|