जाने डेंगू और ऐसी अन्‍य मच्‍छरों से होने वाली बीमारियों से कैसे बचें

जाने

Ladai karne se behtar hai apna bachaav kare. Yeh voh sangram ki baat hai jahan hamare samne machchar aa jaata hai aur hame jamin dast kar deta hai dengue, yellow fever, malaria, zika aur chikungunya jaise bimariyo se.  Tauba tauba kar chuki hai manushya jaati in machcharo se. Ladna sambhav nahin hai. Apna bachav jaroor hum kar sakenge dengue aur anya bimariyo se jo machchar dwara failti hai. Voh is prakar kare: 

Malaria

Anopheles machchar ke kaatne se malaria ka parasite(parjivi) sharir mein dakhil ho ke bahugunit hone lagta hai. Is ke kaaran anemia ke lakshan pragat hote hai aur sath mein tej bukhar thand lagne ke saath bhi aa jaata hai. Saas fulna, chakkar aana aur kamjori is ke aur lakshan hai. Agar samay sar treatment na diya gaya to mariz behosh ho sakta hai. Anopheles machchar paani mein prajanan karta hai to paani aur kachra ekatrit na hone de, darwaje aur khidki par net lagvaye aur aas paas svachchta rakhe. Test aur treatment jald hi karva lena chahiye. 

Dengue

Dengue aedis aegypti se failti hai. Yeh machchar ghar ke andar ke andhere kone mein aur paani ho aise jagah par rehta hai aur sthir paani ke andar prajanana ke liye ande rakhta hai. Aegypti dwara dengue virus ka failav hota hai. Is ke kaatne ke 4 se 10 din mein lakshan pragat hone lagte hai jis mein hai tej sar dard, bukhar, ankhon ke peeche dard, jodo aur maspeshiyo mein dard aur sharir par lal fode nikal aate hai. Dengue hone par hospital mein hi treatment liya jaaye to mariz safe ho jaata hai. Ignore karne par ya totke lagane par gambhir haalat ho ke mrutyu hone ki sambhavna hai. Dawai se virus nahin marega. Glucose ka saline drip diya jaata hai aur aaram karne par mariz ko raahat milta hai. 

Pitt Jwar ya Yellow Fever

Aedis Aegyptis dwara yellow fever ka failav hota hai aur mariz mein jaundice jaise lakshan pragat hote hai. Liver ko nuksan pahunchta hai. Ankho meinsafed bhaag peela ho jaata hai. Yellow fever virus ko ignore karne se is bimari se maut ka parinam ho sakta hai. Kyonki yeh tropical African desho mein jyaada hota hai aur kyonki is ke liye tike aur dawai hai to bahut khatra nahin hai magar phir bhi machar se apne ghar ko aur apne aap ko bacha ke rakhna uchit hai.

La Crosse Encephalitis

La Crosse Encephalitis bhi machchar dwara failne vala virus se hone vala bimari hai. Yeh ek alag parakar ke machchar aedes triseriatus dwara failta hai, khaas kar ke thande pradesho mein. Is virus ke karan sar mein dard, bukhar, ulti aur thakaan lagna aise lakshan pragat hote hai. Agar sahi vakt par treatment na diya gaya to behoshi ho sakti hai. Shuru ke pad par treatment hi faydakarak hota hai. 

Chikungunya

Aedes aegypti dwara chikungunya virus failta hai jis ke khaas lakshan hai ki mariz ko jodo mein dard rehta hai aur yeh seedhe karna bhi kashtdayi hota hai. Yeh asar 2 saal tak reh sakta hai. Koi dawai nahin hai chikungunya ke liye. Samaysar aaram, paani adhik peena aur aise ilaj se mariz 8 se 10 dino mein normal ho jaata hai. Papeeta ke patte ka ras aur neem ke patte ka ras peene se jaldi recovery hota hai. 

Bacho machcharo se

  • Ghar ke darwaje aur khidki mein machchar ke liye net lagwaye
  • Ghar mein paani jama kar ke na rakhe. Ek din tak theek hai. Doosre din phenk ke fresh bhar le. 
  • Pani ke bartan bilkul bandh rakhe.
  • Kone vali jagah saaf rakhe. 
  • Ghar ke aas paas bhi paani ko ekatrit na hone de aur kachra hata de. 
  • Pesticide spray ka upyog kare
  • Body ko dhak ke rakhe aur repellent cream lagaye
  • Machchar dani ka upyog kare. 
  • Ghar mein tulsi rakhe pot mein aur bahar bhi tulsi ugaaye.
  • Gende ke phool se bhi machchar door rahenge.

TAGS : #dengue treatment in hindi #dengue ka desi gharelu ilaj #dengue ka ayurvedic ilaj #dengu ka upchar #dengue se kaise bache #dengue se bachao #dengu ke lakshan #dengue fever symptoms in hindi #causes of dengue in hindi #signs and symptoms of dengue #डेंगू बुखार के लक्षण व उपचार

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments