Dahi khane ke faide in hindi :Doodh agar complete food maana jaata hai to dahi aur bhi gunkari hai. Yeh dekha gaya hai sadiyo se ki jo tribes aur cultures me dahi aur dahi ke banavat ka sevan jyaada hai to manushya lambe umar tak bina kisi rog ke jeeta hai. Dahi khaane ke fayde jaaniye aur rozana khaaye aur aap bhi lambi umar tak sfurtile reh sakte hai.
Dahi Khane ke Fayde
- Dil ko majboot banaye rakhta hai.
- Rog pratikarak shakti barata hai.
- Chehre mein lagae to Daag dhabbe door kerta hai.
- Dahi Motapa or wajan control mein rakhta hai.
- Gurde ki taklif ho ya dil ki, dahi ka upyog sabhi tarah ke taklifo ka ilaj hai.
- Bhavsir ka elaj dahi se hota hai.
- Rusi khatam ho jaati hai aur baal ghane, kaale lambi umar tak rehte hai.
- Migraine Theek Kare.
- Tavacha pe nikhar lata hai.
- Dahi se hypertension theek kare
- Dahi type 2 diabetes se surakshit rakhta hai.
- Pet ki har tarah ke taklif mita deta hai.
Ayurved Me Dahi Khane ke Fayde
Dahi khane ke fayde jaanne se pehle jaaniye ayurved dahi ke baare me kya kehta hai:
- Dahi khatta hai aur pachne par aam ras paida karti hai.
- Dahi grahi hai yaane ki aant me se paani ka grahan kar deti hai. Yeh pachne mein bhaari hai aur ushna prakruti kahota hai.
- Dahi ke khane se medha badhta hai aur vata ka shaman hota hai.
- Yeh balvardhak hai aur kapha ko badha deti hai. Agni tej ho jaati hai aur soojhan bhi badh jaati hai. Dahi khane se ruchi badhti hai.
दही के तीन प्रकारों के बारे में जाने
Dahi ke teen prakar hote hai.
दही जो ठीक से जमा ना हो
Ek hai jo theek se jama nahin jis ko khane se tridosh badhta hai aur tandurasti bigad jaati hai.
ताज़ा मीठा दही
Doosra hai taja meetha dahi jo medha badhata hai aur kaf dosh badhata hai magar vata kam kar deta hai. Yeh uttam dahi hai aur vajikaran bhi hai.
थोड़ा खट्टा दही
Dahi yadi thode samay tak pada rahe to dahi thoda khatta ho jaata hai jo meethe dahi jaise hai magar gun thode kam hai. Kai haalat me dahi nahin khana chahiye aur dahi khane ka bhi samay hota hai.
Is ke pehle jaaniye dahi khane ke fayde in Hindi.
Dahi Khane ke Fayde in Hindi for Swasth - दही के लाभ
Dahi ke fayde dher saare hai. Aaiye aage jaaniye dahi khane ke fayde.
- Dahi uttam poshan deta hai. Dahi me hai Calcium, protein aur vitamin D jo haddiyo ke liye jaroori hai. Bachcho se leke buddho tak aur menopausal mahilao ke liye dahi ka niyamit sevan jaroori hai. Calcium ke saath phosphorus aur iron bhi milta hai dahi me.
- Dahi khane se trupti milti hai. South me hamesha bhojan ke end me thodasa chaval aur dahi khaya jaata hai. Dahi ke fayade is prakar khaane se yeh hai ki teekha tatva ko balance kar deta hai.
- Dahi me hota hai lacto bacillus jo “good” bacteria me gina jaata hai. Yeh aant me rahe “bad” bacteria ka nash karte hai. Dahi ke fayde yeh hai ki is se pachan tantra sudhar jaata hai, sharir me se vish kam ho jaati hai aur cholesterol ka formation aur absorption ruk jaata hai.
- Dahi ke fayde in Hindi jaaniye ki yeh un ke liye uttam hai jinhe lactose intolerance hai. Jo doodh ko pacha nahin paata hai us ke liye dahi behtar hai. Actually, human adults doodh ko pacha nahin paate hai theek se aur doodh se vikar paida hota hai. Dahi supachya hai sabhi ke liye.
- Dahi benefits in Hindi kahe to yeh aap ko type 2 diabetes se surakshit rakhega. Cholesterol kam ho jaata hai, pachan theek hota hai to diabetes door rahega lambi umar tak.
- Dahi khane ke fayde hindi me bataye to pet ke har tarah ke taklif mita deta hai. Kabz ho to mit jaata hai aur dast ho to bhi dahi khane se mal ka bandharan hota hai. Agar bimari me antibiotic liya ho to pet ke “good” bacteria ka nash hota hai. Dahi khane se is me rahe lactobacillus fir se pet aur aant me faila jaate hai aur haalaat normal bana dete hai.
- Weight loss ka irada hai to dahi khane k fayde hai. Dopahar ko ek bada katora dahi ka khaaye to pure din bhar rahenge sfurtile aur bhook jaldi se nahin lagega. Dahi cholesterol kam kar deta hai.
- Dahi ke fayde hindi me aage jaaniye. Yeh dil ko majboot banaye rakhta hai aur arteries se sambandhit samasya ko khada nahin hone dega.
- Dahi khane ke fayede aur bhi hai. Loo lage to dahi khaye. Dahi khaa ke dhoop me jaye to loo lagega nahin. Garmiyon me aksar dopahar ke bhojan me dahi le to loo nahin lagega aur sharir thanda rehta hai.
- Benefits of curd in Hindi aap ke liye aur bhi hai jaise ki niyamit sevan se rog pratikarak shakti me badhaav.
- Gurde ki taklif ho ya dil ki, dahi ka upyog sabhi tarah ke taklifo ka ilaj hai.
- Dahi k upyog aur bhi hai. Un me se ek hai daanto ke liye. Jee ha, dahi khaye aur fir paani na peeye to dahi me raha calcium danto ke upar ke star ko majboot bana dete hai aur mooh me rahe bacteria ka nash karta hai. Mooh me chaale ho yeh bhi mit jaate hai dahi ke sevan se.
- Dahi me pani mila ke lassi banake piye. Lassi ke fayde khas kar ke garmiyo me adbhut hai ki loo nahin lagega, dhoop me se aye ho to thakan door ho jaayega aur aap bilkul fresh ho jayenge.
- Bhavsir ka elaj dahi se hota hai. Gaay ke doodh ka dahi bana ke har roj khaaye dopahar ke samay to bavasir dheere se mit jayenge.
Dahi ke Fayde for Skin - दही के फायदे फोर स्किन
Dahi ke fayde tvacha ke liye hamesha labhkari sidh hue hai. Dahi khaane se sehat sudhar jaata hai aur chehre par ronak aati hai. Is ke alava dahi ke fayde for skin aur bhi hai agar is ko ubtan ke roop me istemal kare.
- Sadiyo purana nuskha hai saundarya ke liye aur gorapan ke liye aur voh hai dahi me haldi, chandan aur besan ka. Is se tvacha saaf ho jaati hai, chamakne lagti hai aur rang gora ho jaata hai.
- Dahi aur haldi ya dahi aur neeme ke patte ka paste chehre ke muhase par lagaye to pimples mit jaate hai.
- Daag dhabbe ho jaaye to nimbu ka ras, dahi, haldi ka mishran lagaye.
- Dahi ka upyog tvacha ke liye aur bhi hai jaise ki ise shahad ke saath milake lagaye to nami bhar jaata hai aur komal ho jaata hai aap ka face.
- Dahi aur multani mitti oily tvacha me behad faydemand hai.
Dahi ke Fayde Balo ke Liye - दही के फायदे फॉर हेयर
Dahi benefits for hair in hindi: Dahi ke fayde balo ke liye anek hai.
- Bilkul khatte dahi ko baalo me lagane se do fayde hote hai. Rusi khatam ho jaati hai aur baal ghane, kaale rehte hai lambi umar tak. eslie kehte hai dahi hai baalo ke liye uttam dahi.
- Balo me dahi lagane ke fayde yeh hai ki agar baal jhadte hai to balo ka jhadna bandh ho jaata hai.
- Dahi me mehndi paste mila ke lagaye to baalo ko ek anokha look aa jaata hai. Rusi kam ho jati hai aur jhadna bhi kam ho jaata hai.
- Dahi, amla churna, jatamansi churna aur brahmi churna dahi me mila ke pyaj ka ras daal ke baalo me lagaye to baal lambe honge.
Dahi Khane Ke Nuksan in Hindi - दही खाने के नुकसान
- Dahi ko sahi samay par khaana chahiye. Raat ko dahi khane ke nuksan in hindi bataye to yeh sharir me kaf ki maatra badha deta hai aur jodo me dard ho sakta hai. Dopahar ke samay dahi khaana shresht hai.
- Students aur office workers jinhe alert rehna hai voh dopahar ke bhojan me dahi khayenge to alas chadh jaayega. Savere hee khaaye to din bhar sfurtile rahenge.
- Dahi ko viprit aahar ke saath khane se nuksan hota hai jaise ki safed daagh chamdi par. Dahi ko fruit ke sath, machli ke sath.
- Adha jama hua dahi se nuksan hai aur dosh badh jaate hai.
- Dahi ko jeera, ajwain aur sendha namak mila ke khaana chahiye ya to cheeni mila ke.
- Dahi ko ubal ke khaye to nuksan hota hai.
- Mote log, voh log jinhe kapha hai aur soojhan hai unhe dahi nahin khana chahiye. Jis ke aant me bleeding hai unhe bhi dahi nahin khana chahiye.
- Acidity aur gastritis ke mariz ko dahi se parhej rakhna chahiye.
Yeh hai dahi ke fayde, dahi ke upyog aur dahi ke nuksan in hindi. Istemal kare har roj, sirf khaane ke liye hee nahin balki tvacha aur kesh ke liye bhi.
TAGS:#dahi for skin #dahi ke faide in hindi #दही खाने के फायदे #dahi/curd benefits for skin in hindi #curd benefits for hair growth #curd for face in hindi #how to use curd for hair loss #how to use dahi/curd for/on face for improvement #curd on hair side effects