Gharelu Nuskhe for Pregnancy Care (गर्भवती स्त्री कैसे रखें अपना ध्यान)

Gharelu

Gharelu nuskhe for pregnancy care : Pregnant hona mahilao ke liye bahut hi khushi ki baat hai. Majority cases mein pregnancy normal tarike se aage badhta hai aur ant mein aap ke ghar mein khushiya saat leke ek nanha munha farishta aata hai. Jaise hi yeh confirm ho jaaye ki aap garbhvati hai to savdhaani rakhna shuru kar dena chahiye dadi maa ke nuskhe in hindi for pregnancy. Is mein khas baat yeh hai aahaar aur swasth ko kaise banaye rakhe. Padhiye yahan par pregnancy me kya khana chahiye aur pregnancy me kya na khaye aur saath mein aur bhi upyogi nuskhe.

Gharelu Nuskhe for Pregnancy Care

  • भारी मेकअप से परहेज रखें।
  • पानी भी खूब पीना चाहिए। 
  • वस्त्र ढीले-ढीले पहने तो सुविधा रहेगी।
  • पैरों में सूजन आने पर उनको ऊंचे करके लेटें। 
  • इस अवधि में महिलाओं को मानसिक रूप से प्रसन्न रहना चाहिए। 
  • कोई हल्का व्यायाम नियमित रूप से डॉक्टर की सलाह पर ही करें।
  • सौंदर्य को बनाए रखने के लिए गर्भवती महिला का स्वस्थ रहना आवश्यक है। 
  • चाय-कॉफी, चिकनाई तथा मादक पदार्थों का परहेज रखें।
  • प्रसव के समय से काफी पहले से अच्छी प्लानिंग करें कि आपको कैसे इस समय में खुद को मॅनेज करना बेहतर है|

गर्भावस्था में जरूरी विशेष आहार

Pregnancy care week by week in hindi mein aap janege ki jaise apkee pregnancy week by week bertee jatee hai pregnant mata ko chahiye kam se kam 2400 calories prati din zaroor lein. Aam mahila ko chahiye 2100 calories. Calories se zyada mahatvapurna hai ki aap kaisa khaati hai aur is aahaar mein kya sabhi poshtik tatva shamil hai? 

  • Sabji aur fal: is mein se aap ko milenge minerals, vitamins aur fiber jo bahut hi jaroori hai.
  • Vitamins mein khaas aap ko Vitamin B complex ka supplement lena chahiye. 
  • Minerals mein aap ko calcium kam se kam 1500 mg pratidin chahiye. Yeh paneer, dahi, dal, chicken, eggs aur meat mein se mil jaayenge. Saath mein iron bhi chahiye jo palak, beetroot, dal aur eggs mein se milega. Folic acid aur iron ki goli lena labhkhari hota hai. Zinc bhi har roj 20 mg chahiye jo sabji mein se mil jaata hai. Har roj thoda bahut dry fruits ka sevan kare, jaise ki anjeer.  Iodine bhi jaroori hai jo iodised salt mein se mil jaayega aur baingan bhi iodine ka rich source hai. 
  • Protein chahiye kam se kam 70 grams pratidin. Dahi, Paneer, meat, chicken, eggs, daal, moong, chana, rajma mein se yeh aap ko milenge. Kam se kam 200 gram dahi ya paneer ya chicken ya daal ka sevan kare. 
  • Fats bhi chahiye kyonki fats bachche ke andar spinal cord or nervous system ke development mein jaroori hai. Vegetarian ho to makhan, ghee, kaju, singdana, badam aur akhrot se milega. Non-vegetarian mein eggs aur meat mein se fats milenge. 

Yeh aap ne jaan liya pregnancy ke time kya khana chahiye aur kaunse poshtik tatva chahiye. 

गर्भावस्था के दौरान खान-पान

Pregnancy mein kya khana chahiye voh to important hai hi aur pregnancy mein kaise khaaye voh bhi important hai 

  • Typical plan hoga: breakfast mein gehu ka roti, ek glass doodh, thode khajoor, anjeer aur kaju ya badam ya ek akhrot. 11 baje fruit ya lassi (dono mix na kare), thode se nuts, fruit. Lunch mein dal, roti, sabji, 200 gram dahi ya paneer, ek cup chicken ya fish.
  • Shaam ko light nashta. Raat ka bhojan halka ho jis mein ho khichdi, fruits, chicken, fish, sabji.
  • Pregnancy mein konsa fruit khana chahiye? Aap khaa sakti hai fruit jaise ki kela, aam, mosambi, strawberry, nimbu, strawberry, amrud, santra aur seb. 
  • Yeh dhyan rakhe ki bahut bhaari bhojan ek saath na kare. Behtar hoga ki din mein aap 5 baar khaaye aur har ek baar kuch na kuch alag samagri ho taaki alag source se poshtik tatva milte rahe.

प्रेगनेंसी में क्या नहीं खाना चाहिये

Zaruri hai janna pregnancy me kya na khaye

  • Pregnancy mein kachchi sabji ka sevan na kare kyonki is mein rahit kitanu se taklif ho sakta hai. 
  • Fal khaana hai to achchi tarah se dhoye. Ho sake to chilka nikal de.
  • Pregnancy mein kya na khaye us ke top par hai seafood kyonki is mein mercury hone ki sambhavna hai, jo ugte bachcho ko bahut nuksan kar sakta hai air birth defects mein jimmedar hota hai. Salmon, crab, shrimp, shark aur shell food na khaaye pregnancy mein. 
  • Meat khaana hai to cold storage vala na khaaye. Sirf fresh mutton ya chicken khaaye kyonki refrigerated meat mein kitanu ho sakte hai. 
  • Kachcha doodh na piye. Ubal kar hi sevan kare. Cheese na khaaye pregnancy mein kyonki in mein bacteria ho sakta hai. 
  • Kachche ande na khaaye. Boil kare ya omelette banaye. 
  • Pregnancy mein kya nahi khana chahiye us ke top par hai chai, coffee aur sharab. Inka tyag kar de. 
  • Pregnancy ke shuruaat mein papita (kachcha ya pakka) na khaaye. Angoor bhi bahut seemit matra mein hi khaaye. Pregnancy me konse fruit na khaye to yeh do hai aur saath mein pineappla (ananas) bhi jo ki bilkul nahin khaana chahiye.

Pregnancy me kya khaaye aur pregnancy mein kya nahin khana chahiye yeh aap ne jaan liya. Kya khaye kya na khaye ek baat hai, kya kare aur na kare in Pregnancy voh alag hai. 

गर्भावस्था में कैसे रखे अपना ख्याल

Pregnancy dauran aap ko apna aur hone wale bachche ka bhi dhyaan rakhna hai. jane pregnancy care tips in hindi:

  • 5th month ki pregnancy ho jae to bhojan hamesha halka kare jis se pet mein jyada pressure na badhe. Pregnancy care in 5th month in hindi mein apko yehi bataya gya hai din mein 4 se 6 baar kam maatra mein magar paushtik aahaar le. Raat ko to kabhi bhi bhari bhojan na kare pregnancy ke dauran. 
  • Dant aur masudhe ki samasya se bache rahe. Din mein 2-3 baar dant manjan kare aur mooh ko poora khole aur bandh kare. 
  • Cotton ke loose fitting kapde pehne. Tight kapde na pehne pregnancy mein. 
  • Pregnancy mein kya na kare us mein hai ki aap sonmukhi, aloe vera aur triphala churna na khaaye. 
  • Agar pregnancy mein sex hona hi hai to aise ho ki pet par vajan na aaye aur jhatke na lage. Mahila upar hoke savari kare ya to side by side lete rehke kare. Doggy style na kare. 8th mahine ke baad sex mein intercourse bandh kar dena uchit hota hai. Aur tarike se satisfaction paaye.  
  • Ek hi jagah par jyada der tak baithe na rahe. Pairo ki exercise karte rahiye. 
  • Poori neend le 8 ghante ka. Din mein bhi ek ghante tak so jaaye.
  • High heels na pehne.
  • Bahut bhaari vajan na uthaye. Halka sa vyayaam to karte hi rahe aur ghar ka kaam bhi kare. 
  • Tanav se mukt rehne ki koshish kare. Is ke liye pranayam aur yoga faydemand hote hai. 
  • Bahut garam paani se na nahaye. 
  • Apne blood pressure ko naapte rahiye. 
  • Dawai agar lena hai to doctor ke salah soochan se le. 
  • Ghar mein cleaning agents jaise ki phenyl, caustic soda, acid aur aise tatva ke sparsh mein na aaye. Ho sake itna kam upyog kare. 
  • Pani paryapt matra mein peete rahiye. Din mein 2 litres pani to chahiye. 
  • Agar aap jaanna chahti hai ki pregnancy mein kaise sona chahiye to aap apne ek side par ya to peeth ke bal so jaaye. Pet par vajan aaye aisa position na apnaaye. Baar baar apna position badalte rahe. 

To yeh hai pregnancy mein kaise aur kya kare aur na kare. Pregnancy mein aap ko apna aur apna hone wale bachche ka bahut hi khayal rakhna hoga.

गर्भावस्था मे छोटी-छोटी बातों का रखें ख्याल

Pregnancy mein kaise rakhne apna khayal? Yeh baate dhyan mein rakhe: 

  • Pregnant hote hi doctor ke sampark mein rahe. Har mahine check up karvate rahe. 
  • Jaise upar bataya hai pregnancy me kya khaana chahiye in urdu aur pregnancy me kya nahin khana chahiye in Hindi, aap khaan paan par khaas dhyan rakhe. Caffeine vali cheeze jaise ki chai, coffee, cola aur soft drinks na le. 
  • Aaraam karte rahe. Pair mein varicose veins ho sakte hai isiliye jab bhi baithe to pairo ko upar rakh ke baithe. 
  • Pregnancy mein kabz ho to kya kare? Aise to aap hari sabji aur fal khayenge to kabz ki shikayat nahin rahegi. Magar phir bhi aap chahe to isabgol ko paani mein ghol ke raat ko pee le.

प्रसव के बाद माँ की देखभाल

Pregnancy ke baad care ab jaaniye taaki delivery ke baad ka samay aap ke liye taklif wala na ho: 

  • Pregnancy ke baad care mein aap ko poorna aaraam ki jaroorat hai. Ghar ki koi aur jimmedari apne sar par na le. 
  • Jab bachcha so jaaye aap bhi so jaaye kyonki yeh raat ko aur din mein kabhi bhi aap ko disturb kar sakta hai. 
  • Har roj thoda sa samay dhoop mein bhi gujare taaki aap ko UV kirane mile aur sharir mein vitamin D utpann ho. Walking karne se sehat bhi bana rahega. 
  • Balanced diet le. 
  • Thoda sa yoga kare taaki abdominal muscles sankuchit ho jaaye. 

प्रेग्नेंसी में त्वचा की देखभाल

Pregnancy ke baad aap apne chehre ki dekhbhaal karna chahe aur rang gora karne ka tarika jaaniye: 

  • Doodh, haldi, chandan aur besan ka lep karte rahiye. 
  • Shahad aur nimbu apne chehre par lagaye. 
  • Baking soda aur thoda sa apple cider vinegar ka lep bana ke chehre par ghise.

प्रेगनेंट होना है तो ऐसे करें गर्भधारण करने का सही तरीका

Yeh to rahi baat pregnancy ki magar aap agar pregnant nahin hai aur pregnant hona chahti hai to dadima ka nuskhe for pregnancy apnaye. 

  • Pregnant hone ke gharelu nuskhe in hindi mein aap ko to pehle apna sehat banana hoga. Is ke liye mahila ko underweight na ho aur overweight na ho is ka khayal rakhe. Underweight ho to paushtik aahaar din mein 3-4 baar khaaye taaki vajan badhe.
  • Agar aap job karti hai to chutti le aur vacation par jaaye apne pati ke saath aur timing aisa set kare ki aap ke ovulation ke din aap bilkul relaxed ho ek doosre mein vilin hone ke liye. Sex positions mein bhi aap doggy style, peeche se spooning style aur cowgirl style apnaye aur ovulation ke ek din pehle aur do din baad tak lagatar sex karte rahe. 
  • Tanav se bilkul mukt rahe aur parishram kam kar de. 
  • Sharaab, tambaku, cola, chai aur coffee bandh kar de. Dawai bandh kar de.
  • Purush ko bhi loose underwear pehanna chahiye taki sperm production theek se ho. 
  • Bacha conceive karne ke time kya khana chahiye? Til, gud, nuts, fish, dal, hare patte vali sabji, tamatar, kiwi fruit, narangi aur sabut anaj aur saath mein doodh aur dahi ya paneer ka bharpoor sevan kare. Pani khoob piye. Soya beans khaaye. Onion gajar soup bhi achcha rehta hai. Omega 3 yukt alsi ke beej ya akhrot bhi khaaye. Ghee ke bane mithai enjoy kare. Fruits bhi poorte pramaan mein khaaye.

सातवें हफ्ते में होती है आपको विशेष देखभाल की जरूरत

Itna karne par safalta mil gaya pregnant hone mein to aap ko savdhani rakhne ka challu kar dena chahiye. Khaas kar ke 7 month pregnancy how to care in hindi language jaaniye: 

  • Garbhashay ke vikas ke kaaran acidity ho sakta hai isiliye tikhe, tale hue cheez na khaaye aur bhooke pet bhi na rahe. 
  • Haath pair mein soojan ho sakta hai isiliye namak thoda kam karde aur namkin cheez kam khaaye aur paani jyada piye. Chalne ka rakhe. 
  • Kabz ke liye hare patte aur fibre vali sabji aur phal khaaye. 
  • Thakaan ho sakta hai kyonki anemia ho jaata hai isiliye iron yukt hare patte vali sabji, daal, chane aur mosambi ya nimbu ka sevan karte rahe.

प्रसव के बाद दौगुना पोषक होना चाहिये माँ और बच्चे का

Nanha farishta aa hi gaya aap ke ghar. Ab saval yeh hai ki chote baby ka khana kya hona chahiye? Shuru mein to mata ka doodh hi us ke liye uchit aahaar hai aur phir 8-9 mahine baad voh dheere se thos aahar ke liye taiyar hota jayega. Pehle to yeh dhyan rakhe ki nanhe munhe bachche ko kabhi bhi shahad na khilaye. Use machli bhi na khilaye. Aap aisa sochengi ki high fiber vali sabji aur fal de to yeh bhi uchit nahin hai. Kache fal mein se bacterial infection ho sakta hai. Bachche ko jo bhi aahaar de us mein namak na daale kyonki us ke kidney itne saksham nahin hote hai. To paanch saal ke bachche tak ko koi bhi namkeen na de. Chini bhi kam upyog kare kyonki is se aadat pad jaati hai meethe cheezo ki. 

  • Daal aur chaval theek rahega. Sirf daal bhi achchi tarah se pakake liquidize kar ke chamach se aap khila sakti hai. Chaval ko bhi mash kar ke khilaye aur ubale hue chaval ka paani bhi aap pila sakti hai. 
  • Daliya aur moong daal ka khichdi bhi uttam hai. Bilkul naram kar ke paste ho jaane tak pakaye aur khilaye. 
  • Agar biscuit khilana hai to whole grain aate ka biscuit doodh mein bhigo ke paste jaisa ho jaaye tab chote bachche ko khilaye. 
  • Kela aur papita ka mash bhi bachcho ke liye sahi aahaar hai. 
  • Mosambi aur santre ka juice bhi bachche khushi se pee jaate hai. 
  • Kyonki 18 mahine tak daant nahin aate hai to bilkul naram cheez hi khilaye apne bachche ko. 
  • Sabji khilana hai to ubal kar ke paste jaisa bana kar hi khilaye. 

Yeh hai baat bachcho ki. To garbhwati stri ko kya khilaye? Us ka jawab upar diya gaya hai. Purane jamane se yeh ek faimi chali aayi hai ki 9 me mahine mein ghee khoob khaana chahiye. Is ka koi scientific backing nahin hai. Ha, dadi maa ke nuskhe for pregnancy me ghee khane ke upay mein ek yeh hai ki doodh ke saath ghee diya jaata hai. Jaroori nahin hai. Yeh sach hai ki aruchi ho jaati hai is ke liye ghee se bane laddoo jis mein suke meve ho har roj ek khaane se nutrition milta hai. Is ke saath poshak aahar important hai.

ऐसे पता लगाएं कि पेट में लड़का है

Ab aakhir mein garbhwati stri ko to yeh intezaari rehti hai ki use ladka hoga ya ladki?  Ladka hone ke symptoms kuch aise hai

  • Pet neeche ki taraf jyaada foola rahega.
  • Peshab ka rang gehra ho to ladka hona chahiye.
  • Agar chehre par keel nikal aate hai to ladka hai.
  • Agar dahina stan size mein jyada bada hai to ladka hai.
  • Agar pair thande lagte hai to ladka hoga. 
  • Namkeen aur khatte cheez khane ki ichcha 
  • Agar baal jyaada badhne lage to ladka hai.
  • Vajan jyada na badhe aur savere ulti na ho to ladka hona chahiye. 

Yeh hai gharelu nuskhe in Hindi for pregnancy jo jaroor aap ko kaam me aayenge. 

TAGS: #gharelu nuskhe for pregnancy care #pregnancy me konsa fruit khana chahiye #pregnancy me kya khaye #dadi maa ke nuskhe in hindi for pregnancy #pregnancy main kaise sona chahiye #pregnancy tips in hindi #pregnancy me ulti rokne ke upay #pregnancy me gas ki problem #nani ke nuskhe for pregnancy #garbhvati #home remedies for pregnancy

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

43 Comments

Hema Sarin, Mar 07, 2018

Pregnancy mai anardana ki goli kha sakte hain ke nahin lease batayen

केशी, Jan 31, 2018

बेबी बॉय कैसे होता है मेरे को यह वाली बात दादी मा के घरेलू नुस्खे के दुआरा दीजिए जिससे मैं भी बेबी बॉय की मा बन सकूँ

Hina kosar, Aug 04, 2017

Mera husband thoda kala hai lekin main chahti hu ki mera baby thoda gora ho mujhe kye logo ne btaya hai ki kachha naryal khane se baby gora hota hai kya wakaye mein aisa hota hai aur bhi kuch tarekey btaye jisse mera baby thoda gora ho

 

फ़ैज़, Nov 28, 2017

प्रेग्नेन्सी में किस तरह से केयर करें अगर आपके पास दादी माँ के घरेलू नुस्खें हों तो मेरे लिए बेहतर होगा|

सरला राज़दान, Jul 31, 2017

पैरों में सूजन आने पर पैरों को उँचा करके लेटें इस दोरान महिला को मानसिक रूप से इस्त्री को प्रसन रहना चाहिए भारी मेकअप से बच्चें खूब पानी पिएं चाए कोफ़ी और मादक पदार्थों से परहेज करें वस्त्र ढीले ढाले पहने सुविधा रहेगी

manisha , Jul 15, 2017

Mere pragnency ko 2 months ho gya hai main chahti hu ki mera baby jo hai wo thoda gora hoye kyunki mera husband thoda kala hai to mujhe pragnency ke dauran kis ciz ka sevan jayda se jayda karna chahiye jisse mera baby gora hoye ?? Kya iska koi tareeka hai plz meri madad kro .....

Pooja, Jul 02, 2017

Two month hai ulti bahut jayda ho rahing h

sherya, May 22, 2017

mera fifth month chal raha he pregaency ka or mera pet abi bhut kam dikta h mtlb lgta nhi h k muj fifth chal raha koi problem to nahi he plz batay

usha sharma, Apr 07, 2017

Sir M pregnt hu aur muj he ulti lagati h es ka samadan batyee muj 3 month

Odathi, Mar 23, 2017

raat ko munnaka 8-10 aur 2 akhrot bhigo kar khar subah le

Asha, Mar 23, 2017

Kya mai tailor ka kam kar sakti hu mera 2 month ho gaya hai pregnancy ka

anamika, Mar 08, 2017

merit delivery ko 6 week ho gye ha or mera pet bahut latak gya ha or kale nishan se ho gye h kya karu plz bataiye na is wajah se mein bahut pareshan rahti hu plzzzz

 

Yousha, Mar 10, 2017

belly binder post pregnancy ke baad karoor estemaal karna chahie yani delivery ke baad pet bandhne ke upkaran eske lie sabse puranee takneek hai kapra bandhne ki takneek eska upyog after pregnancy aksar kiya jata hai yeh asaan bhi hai aur mas peshiyon ko ton karne mein sahayak hota hai.

nishi arora, Nov 24, 2016

mujhe abhi bacha nahi chaiye garbhpat ke gharelu nuskhe bataye

Ritu, Aug 29, 2016

akhiri mahine ka pregnancy diet chart kya hone chaiye??

Niharika, Aug 27, 2016

गर्भवती महिलाओं के लिए टिप्स बताए क्या करना चाहिए और क्या नही जिसकी वजह से कोई परेशानी ना आए

shiri, Aug 24, 2016

Meri delivery ke baad mere stretch marks agaye hai jinki wajah se mai saree nahi pehan paati meri help kare aur mujhe pregnancy stretch marks removal tips bataye.

Moni sharma, Aug 21, 2016

गर्भावस्था में देखभाल कैसे करे जो कोई भी परेशानी ना हो??

rimpy, Aug 19, 2016

mujhe doctor ne bola hai meri delivery ke liye operation karna padega but mai aur meri family aesa nahi chahti plzz mujhe pregnancy tips for normal delivery in hindi bataye.

 

swati, May 09, 2017

Bataona

Vishakha, Aug 19, 2016

Ab mai aur mera pati apne baby ki planning kar rahe hai aap mujhe jaldi pregnant hone ke tarike bataye.

Nikita, Aug 13, 2016

kuch aur bhi gharelu nuskhe for pregnancy care bataye please...!!

Rajini sharma, Aug 13, 2016

meri shadi ko 2 mahine hi hue hai mai abhi pregnant nahi hona chahti hu please mujhe pregnancy rokne ke upay bataye.

jyoti pandey, Aug 11, 2016

aapke pregnancy care tips in hindi bahut ache hai mai inka zarur upyog karunge.

Fatima, Aug 07, 2016

sabse pehle yeh bataye mujhe pregnancy mai kya khana chaiye aur kya nahi khana chaiye..pllzzz bataye

Priyanka, Aug 06, 2016

Mera 7 month pura hone wala h Mere right side ka private part sunn ho jata h letne par, kya aap batayenge aesa kyu aur kis kami se ho rh h ??

Renuka, Aug 06, 2016

Hii I m pregnant ye meri 1st pregnancy hai. or 3rd month chl rha h bt I m ok bcz mujhe vomit ka mn ni hota bt ek problem y hai ...ki mujhe puri raat nind nhi ati bcoz mujhe pta ni kyu legs or stomach me or back me bhut kharish hoti hai...kya aissa hota hai ya mujhe hi ho rha hai...koi problem to nhi hogi naa..plZz tell mee

Misha, Aug 06, 2016

sabse achi aur zaruri baate bataye jisse pregnacy mai koi dikkat na aaye

Tusti, Aug 04, 2016

Pregnancy mei smoking aur alcohol avoid kare yeh bacche ki sehat pe bahut asar karta hai

Rupashi, Aug 02, 2016

Pregnancy mei khulle, cotton ke aaramdayak kapde pehne

Sajili, Jul 30, 2016

mutton soup pregnancy me kaisa rehta hai, kitna regular le sakte hai isko

Prema, Jul 27, 2016

Gudh aap kha sakte hai chini aur baki meetha thoda control mei khaye

Yuvika, Jul 26, 2016

Pregnancy mei diet chart follow kare, koi bhi medicine khud na le Doctor ki salah ke bina

Swasti, Jul 25, 2016

8 month pregnancy mey gudh kha sakte hai kya in hindi

Mudrika, Jul 22, 2016

Sari hari sabajia khani chaiye jaise palak, patta ghobi, turai, tinda, lauki etc

Wamika, Jul 21, 2016

pregnannsi ma hari sbji khaye konsi konsi

Chhaya, Jul 18, 2016

pregnancy mei tension na le aur puri neend le

Nitya, Jul 15, 2016

pregnancy mein sawdhani in hindi bataye

Koyal, Jul 12, 2016

dadi maa ke nuskhe in hindi for pregnancy use kare labh ke liye

Ipsa, Jul 12, 2016

pragnancy me kesa khana behtar he

Eshani, Jul 11, 2016

kaise pata chalega gheralu tips pregnency may ladka hai kinahi

Piyali, Jul 10, 2016

pregnancy me kaise dhyan de hair dye, coloring bilkul bhi use na kare

Urshita, Jul 09, 2016

Jitna ho sake herbal aur desi nushke hi use kare

Gomati, Jul 06, 2016

Mobile saath lekar na soye yeh bacche ki sehat ke liye theek nahi

Juhi, Jul 04, 2016

pregnency me pet kaise theek rakhne ke gharelu upay

Mili, Jul 02, 2016

apna bacha tandurus ho pregnancy me kya khana chahiye kya karna chahiye