जाने देसी गाय के घी के फायदे - Benefits of Cow Ghee in Hindi

जाने

Desi cow ghee benefits in hindi : Jaise jaise log jyaada health conscious hote gaye to ghee ka upyog kam karne lage is manyata me ki is mein cholesterol jyaada hai aur yeh heart healthy nahin hai. Ab research mein yeh bataya gaya hai ki ghee, khaas kar ke gaay ka ghee, heart-healthy hai aur gaay ke ghee ke anginat fayde hai. Ayurved me bhi gaay ke ghee ko uttam maana gaya hai. Yeh pitta aur vata ka shaman karti hai aur yeh dosh hata deti hai. Is ke alava aur bhi fayde hai: 

  • Gaay ka ghee pitta aur vata ka shaman kar ke agni aur pachan tej kar deti hai aur aam yaane acidity hata deti hai. 
  • Chakrasamhita mein aisa kaha gaya hai ki gaay ke ghee se ojas badhta hai, tej aata hai chehre par aur aankho me aur buddhi ka vikas ho ke vyakti tej dimag vala ho jaata hai. 
  • Gaay ke ghee se kanth madhur ho jaata hai aur chehre par nikhar aata hai. 
  • Ashtanga Hrudayam sutra ke anusar gaay ka ghee kabhi bhi aur koi bhi khaa sakta hai, even rogi log. 
  • Sabhi mas peshiyo ko majboot banata hai aur punar-nirman me is ka rasayan karya hai. 
  • Gaay ke ghee ka regular sevan kare to aayush badhta hai.

Gaay ka ghee madhur hai aur pachne par is ka vipak bhi madhur aur sheetal hai. 
Ek saal purana gaay ka ghee ka upyog hai ki jo sharab ke nashe me ho us ka nasha utar jaayega; epilepsy, moorcha, durbalta, dimagiya asuntalan, vish nikalne keliye aur bukhar me. 
Jinhe apna vajan badhana hai to gaay ka ghee fayda deta hai. 
Jo kaamshakti badhana chahta hai to gaay ka ghee khaaye to is se shukranu bhi badhenge. 
Ek chamach gaay ka ghee roj khaane se kabz nahin hoga. 

  • Fate honth aur tvacha shardiyo me aam baat hai. Vaseline ke badle ghee lagaye. 
  • Pet me gas ho to ghee aur ajwain mila ke hing daal ke khaaye bhojan ke saath. 
  • Party me jaa ke sharab peena hai aur nashile nahin hona hai to jaane se pehle aadha cup ghee pee le to nasha dheere se chadhega. Baad me bhi ghee piye to nasha utar jaayega. 
  • Hichki bandh nahin hote hai to gaay ke ghee khaa le. 
  • Badhti umar me haddi, pachan, ankho ki roshni aur yad dasht barkarar rakhne ke liye ghee khaaye. 

Ghee bina khaana to khaana nahin hota hai. Is se swad aur lijjat badh jaata hai!...और पढ़े>>

TAGS: #cow desi ghee benefits #pure desi cow ghee #cow ghee benefits in hindi #cow ghee nutrition in hindi #benefits of pure cow ghee in hindi #ghee cholesterol in hindi #cow ghee for skin in hindi

 
Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments