Nariyal Tel Coonut Oil Fayde In Hindi (नारियल तेल के फायदे): Nariyal tel vishesh hai. Ek baaju log us ke gun gaate hai aur hamesha nariyal tel ka hi upyog karte hai. Doosri baaju hai western doctors jo batate hai ki nariyal tel me saturated fats hote hai jo dil ke liye hanikarak hai. Magar dekhne ki baat yeh hai ki South east Asian desho me aur Kerala me nariyal tel khaane me upyog hota hai aur vahanl par logo ko koi aise shikayat nahin hai. Nariyal tel saturated, monounsaturated aur polyunsaturated fats ka aisa mishran hai jo sahi upyog se fayda deta hai. Jaaniye nariyal telke fayde in Hindi ,Coconut Oil uses in Hindi aur is ka upyog kare khaane me, tvacha ke liye aur kesh ke liye.
नारियल तेल के फायदे - Nariyal Tel Ke Fayde In Hindi
- Madhumeh mein fayda kare.
- Alzheimer se bachane mein madd kare nariyal ka tel
- Wajan ghatane mein magggaar hai nariyal tel.
- Nariyal tel ek natural hair oil hai.
- Balo ke rookhepan ko door ker unka vikas kare.
- Yeast infection mein faydemand hai nariyal tel.
- Nariyal tel mein antiageing gun hota hai.
- Nariyal tel best mosturiser hai.
- Nariyal tel dhoop se hone wale sun burn se bachata hai.
नारियल तेल के गुण - Health Benefits of Coconut Oil in Hindi
Nariyal tel me rahe poshak tatva or coconut oil ke fayde in Hindi jaaniye. Is ke fayde ke peeche hai coconut oil ke unique fatty acids ka mishran.
Lauric acid 45%, Myristic acid 20%, caprylic acid 5 se 10%,Capricacid 4 se 8%, Caproic acid 1%, Oleic acid 5%, Palmitoleic acid, linoleic acid, linolenic acid aur stearic acid. Khaas kar ke lauric acid, myristic acid aur caprylic acid medium chain fatty acids hai jo metabolism badha dete hai aur vajan kam karne ke kaam me aane ke saath bad cholesterol (LDL) kam kar ke HDL ko badhane me sahayak hai. Saath me energy bhi dete hai. Is ke saath Vitamin E bhi bharpur maatra mein hai. Padhte rahiye benefits of coconut oil in hindi aage aur dekhe kaise ye aap ko fayda deta hai.
नारियल तेल के फायदे - Benefits of Coconut Oil in Hindi
- Agar aap niyamit roop se coconut oil khaate hai to coconut oil ke fayde in Hindi yeh hai ki aap ko thakaan kam lagega aur din bhar energy rahega.
- Capric acid, caprylic acid aur myristic acid antioxidant hai aur budhape ke chinha ko door rakhte hai.
- Coconut oil ke fayde in Hindi aap ke aankho ke liye bhi hai. Vitamin E aur fatty acids se aap ke aankho ko roshni barkarar rahegi.
- Benefits of coconut oil in Hindi aap ke pet ke liye bhi hai. Yeh antibacterial hai kyonki is me hai monocaprin aur monolaurin jo antifungal, antibacterial aur anti-viral gun dhaaran karte hai. Pet hamesha saaf rehta hai. Yeh tel tvacha ke rog mein bhi upyog kiya jaa sakta hai jaise ki ringworm, eczema aur psoriasis.
- Coconut oil benefits aur bhi hai jaise ki pet me candida yeast ka infection ho to coconut oil is ka nash kar deti hai.
- नारियल तेल के फायदे in hindi pet me roundworm aur tapeworm ho jo bachcho ko khaas ho jaata hai to coconut oil aur aerandi ka tel ka mishran ke upyog se yeh worms bahar nikal jaate hai.
- Pachan tantra kamjor ho jaaye to nariyal tel ke fayde yeh hai ki pachan sudhar deta hai. Sabji aur vyanjan banaye to nariyal tel ka upyog kare.
- Tale hue cheez banana ho to coconut oil ka benefit yeh hai ki is ka high smoking point hai aur jaldi se oxidize nahin hota hai. Is me tale hue cheez swadisht hone ke saath paushtik bhi hote hai aur kam nuksan karte hai.
नारियल का तेल चेहरे पर - Benefits of Coconut Oil on Face Skin in Hindi
Benefits of coconut oil for skin in hindi : Sirf khaane me hee nahin, coconut oil tvacha ke liye bhi fayda karak hai. Agar khaane me le to aap ki tvacha smooth aur lachkili ho jaayegi. Is ke saath tvacha par lagaye to aur bhi fayde hai.
- Sardiyo me coconut oil lips par aur chehre par lagane se skin ka crack hona door ho jayega.
- Coconut oil uttam moisturizer hai aur dry skin ho to bahar jaane se pehle coconut oil lagane se skin moisturize rahega aur lambe samay tak upyog karne se jhurriya bhi nahin padegi aur aap jawan dikhte rahenge.
- Pairo ke talve agar crack ho jaate hai to nariyal tel lagaye raat ko.
- Pimples ho to nariyal tel lagaye. Sirf nariyal tel lagaye ya to use nimbu ke ras, haldi, lehsun, besan jaise padarth ke mishrit kar ke upyog kare.
- Scrub karna hai chehre ko aur badan ko to nariyal tel se scrub kare jis me milaye namak ya chini. Aur scrub me aap besan, chaval ka aata , dahi aur nimbu ka ras ka upyog kar sakte hai. Sare badan ko yeh scrub se saaf kare to tvacha komal aur namiyukt rehti hai.
- Skin infections ho to nariyal tel me rahe lauric aur myristic acid se jaroor fayda hoga. Dermatitis, eczema, ringworm jaise tvacha ke infection me neem ke tel ke saath mishran kar ke nariyal ka tel lagaye. Pairo me angutho me fungal infection ho to bhi nariyal tel lagane se yeh door ho jaate hai.
- Nakhuno par nariyal tel lagane se nakhun majboot aur chamkile ho jaate hai.
- Glyceryl mono stearate (GMS) ko garam paani mi ghol de aur fir is me coconut oil milaye to emulsion ho jaata hai jo cream jaisa hota hai. Is me tea tree oil aur thode boond glycerin milaye. Yeh cream ko moisturizer ki tarah upyog kare saare sharir par, khas kar ke sardiyo me to tvacha bilkul komal rahega.
- Mascara aur makeup hatane ke liye organic solvent use karne ke badle coconut oil ka istemal kare to nuksan kam hota hai aur tvacha ko rakshan milta hai.
- Apne haatho aur ungliyo par yeh mishran lagaye to haatho ki tvacha komal rehti hai aur ungliya flexible rehti hai.
- Benefits of applying coconut oil on face at night in hindi mein aap janage ki ager raat ko sone se pehle coconut oil laga ker soe apkee skin ki dryness door ho jaegee skin soft aur chamakdaar ho jaegee. Nariyal tel ek mosturiser ka bhi kaam kerta hai.
Yeh hai kai benefits of coconut oil on face skin in Hindi. Hamesha is ka upyog kare.
नारियल तेल बालों के लाभ - Coconut Oil Benefits for Hair in Hindi
Ab jane Coconut oil benefits in Hindi for hair care:
- Sadiyo se India me mahilae nariyal tel ko kesh tel ke roop mein istemal karte hai aur aisa karne se lambe samay tak baal ghane, mulayam aur kaale rehte hai. Yeh hai coconut oil benefits for hair in Hindi,.Coconut oil baalo ke liye uttam hai kyonki is ke regular upyog se dandruff nahin hota hai. Agar ho gaya hai to nimbu ka ras aur neem ke patte ka ras ke saath mila ke lagaye to dandruff kam ho jaata hai.
- Balo ko mulayam banane ke liye coconut oil, shahad aur aloe vera juice lagaye. Jis ke baal rough hai voh soft aur glossy ho jayenge is prayog se.
- Nariyal tel baalo me lagaye to baal jaldi safed nahin honge. Amla ke ras ke saath mila ke lagaye to lambe samay tak baal kaale rahenge.
- Baal jhadne lage to nariyal tel thodasa garam kar ke baalo ke jado me laga de har roj raat ko aur savere dho de. Yeh prayog se baal ghane ho jaate hai.
- Coconut oil for hair growth In hindi mein aap nariyal tel me amla, jatamansi, bhringraj aur brahmi ka paste mila ke ubale aur paani ud jaane par chaan ke yeh tel hamesha upyog kare hair oil ki tarah to sabhi fayde milenge.
नारियल तेल खाने के फायदे - Benefits of Coconut oil in Hindi for Health
- Lauric acid aur myristic acid jo coconut oil me paaye jaate hai voh aap ko cancer se surakshit rakhte hai. In me vohi gun hote hai jo maa ke doodh me hota hai.
- Yeh fatty acids ka mishran aap ko HIVse bhi surakshit rakhega kyonki is se immunity badh jaata hai.
- Cholesterol badhne se arteries me blockage hota hai. Coconut oil me hai medium chain triglyeride jo bad cholesterol kam kar ke heart attack ka khatra kam kar dete hai.
- Coconut oil se metabolism tej ho jaata hai aur vajan kam karne me sahayak hota hai.
- Gaajar aur kaddu me jo beta carotene hai voh oil soluble hai. Agar coconut oil ke saath in ko pakaya jaaye to yeh fat soluble vitamin achchi tarah se body me absorb ho jaate hai.
- Jinhe diabetes hai voh coconut oil ka upyog kare to insulin ka nirman achhi tarah se hota hai.
- Pet me ulcer ho, acidity ho aur colitis ho aant me to coconut oil ke sevan se yeh theek ho jaate hai.
- Jinhe kidneys problem hai voh coconut oil khaye to labh hota hai.
- Ghaav hone par nariyal tel lagane se disinfect ho jaata hai.
Benefits of coconut oil kai hai, sehat ke liye aur tvacha-kesh ke liye to hamesha is ko upyog kare aur saath me vyayaam bhi kare taaki yeh achchi tarah se pach jaaye.
TAGS:#nariyal tel ke gharelu upchar, ilaj, upay, nuskhe, घरेलू, इलाज, नुस्ख़े, उपाय, उपचार in hindi, benefits of coconut oil in hindi coconut oil for skin #Nariyal tel ke labh #beauty tips using coconut oil #nariyal tel ke fayde hindi me #coconut oil for face benefits in hindi
यश, Nov 20, 2017
नारियल तेल के फाएेदे किया किया हैं मुझे आप बताइए जिससे कि मैं भी उन सभी चीज़ों का लाभ ले सकूँ|