ऐसे बनाए चुकंदर का पैक और रोकें बालों का झड़ना

ऐसे

Baalo ka jhadna chintajanak hona chahiye agar yeh genetics based nahin hai aur prakrutik umar badhne se nahin hai. Agar pollution ke kaaran, asantulit aahar ke kaaran, koi infection ke kaaran ya adhik shampoo aur dryer ke upyog se baal jhadte rahe to jagrut ho jaaye aur is ka aage badhne par rukavat laaye. 

Baalo ko jhadne se rokne ke liye aur baal ugane ke liye kai alag tarike aur samagri hai jaise hi bhringraj, brahmi, jatamansi aur amla yukt kesh tel, lauki ka ras, pyaj ka ras, kadhi patte ka ras aur beetroot yaane ki chukandar. 

Chukandar kyoon?

  • Chukandar mein bejod nutrients hote hai jaise ki phosphorus, potassium, calcium, vitamin B, Vitamin C aur antioxidants jo baalo ke liye atyant gunkari hai. Yeh jyada asarkarak hai jhadte baalo ke samasyo ka hal laane ke liye. 
  • Chukandar mein khaas gun hai jo baalo ke chidro ko sankuchit kar deta hai aur baalo ko majboot bhi bana deta hai.

Chukandar ka kaunsa bhaag upyog kare?

  • Chukandar yaane ki beetroot aur aap aisa sochenge ki voh gol, lal kand ka upyog kare. 
  • Beshak is ka bhi upyog kare magar jyaada fayda hai chukandar ke patte ka upyog karna. 

Chukandar ka upyog kaise kare baal jhadne se rokne ke liye

  • Chukandar ke patte ko paani mein ubale aur paani ka bhaag aadha hone par gas bandh kar de. 
  • Pani ko bacha ke rakhe. 
  • Patte ko pees de aur is mein paani mila de. 
  • Baalo mein lagake 30 minute tak rehne de. 
  • Is ka prabhav badhane ke liye is mein aap thodasa nariyal tel, haldi powder, pyaj ka ras, kadhi patte ka ras aur sirka ke do-teen boond mila sakte hai. 
  • Ho sake to har roj, teen mahino tak, yeh lep ka upyog kare. 
  • Saath mein chukandar ka ras bhi peete rahiye ya to chukandar ka salad bana ke khaate rahiye.

TAGS : #balo ko lamba karne ka tarika hindi me #balo ke liye ayurvedic upay #balo ko lamba karne ka gharelu upay/gharelu nuskhe #home remedies for hair growth in hindi #बालों की देखभाल के नुस्खे #gharelu nuskhe for hair growth #balo ko badhane ke gharelu nuskhe #lambe balo ke liye gharelu upay/gharelu nuskhe #balo ko lamba karne ke tips #balo ke liye gharelu upchar #balo ke liye yoga #balo ko badhane ke upay/tips #balo ko ghana karne ka tarika/gharelu upay #बालों को लम्बा करने का तरीका #बालों को लम्बा करने के उपाय #बालों को लम्बा कैसे करे #लंबे बालों के घरेलू नुस्खे #लंबे बालों के टिप्स

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

3 Comments

Payal Kushawh, Apr 06, 2018

Mere Baal Bahut Jhadte Hain Dr. Ne Dobara Ugne Ke Liye Mana Kar Diya Hai Akhir Mai Kiya Karun.

Rajvir, Mar 28, 2017

Mere bal bahut sare jhar rahe hai

 

mosara bano, Jun 04, 2017

Bal bahut jhad rhe hi

sasha, Feb 13, 2017

chukander ke benefits bahut achche tarike se batae hain.