बच्चों को प्राइवेट पार्टस की जानकारी देना है जरूरी!

बच्चों

Bachcho ko private parts ki jankari aur sex education dena jaroori hai, aur voh kaise de yeh yaha par jaaniye.

Yeh ek samanya soch hai ki bachcho ko sex se agyat rakha jaaye. Maa baap ko bhi sharmindgi mehsoos hoti hai sex ke baare me bachcho ke saath discuss karte hue jo aaj ke jamane mein ayogya hai. Bahar se jaane aur voh bhi galat us se to achcha hai ki bachcho ko khud maa ya to baap apne beti ya bete ko private parts ki jaankaari de.

  • Saral paddhati hai ki biology aur body ke baare me padhaye aur prakrutik roop se sex parts par bhi jaake in ka upyog, function aur varnan samjhaa de.Agar bachche apne aap hee pooche ki yeh kya hai aur voh kya hai to us ko kabhi dantna nahin chahiye ki tum bache ho aur abhi chote ho aur nahin samjhoge. 
  • Anya log baithe ho aur bachche aise saval kare to baat ko saralta se badal de. 
  • Bachchpan mein hee bachcho ko private parts ke baare mein sikhana bahut jaroori hai aur unko is ka gyan dila de ki school me ya pados mei koi agar private parts ko choota hai to us ka matlab kya hai aur kaise chaukanne rahe. Baat aage badhne se bach sakti hai agar unhe gyaan ho. 
  • Private parts to aakhir sharir ka hee ang hai magar is ke baare mein jab bhi baat karna ho to kaunse shabd upyog kare aur bathroom jaana hai to kaise kahe vagairah bachche ko samjhaaye to unke aur aap ke fayde ki baat hai. 

Share kare, spread kare yeh important baat.

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

1 Comments

सबिया, Nov 07, 2017

बच्चों को प्राइवेट पार्ट्स के बारे में जानकारी देना किया ज़रूरी है पर इस जानकारी को कैसे शेयर करें आप प्लीज़ शेयर करके बताएँ|