जाने चिकनगुनिया से कैसे करे बचाव

जाने

Chikungunya ka sankraman hota hai aedis aegypti aur aedis albopictus jaati ke machchar ke dwara. Aedis aegypti prakar ka machchar jyadatar tropics aur sub-tropical khsetro mein paaya jata hai. Aedis albopictus thode thande kshetro mein bhi paaya jaata hai. Aegypti prakar ka machchar prajajan ke liye manushya ke ghar ke andar ke jagah aur paani jama hua ho aise jagah ko pasand karta hai. Yeh ghar mein paani ke jathhe ko pasand karta hai. Ghar ke paani ke tanki, flower pots aur bartan mein sthir paani mein yeh ande rakhta hai aur teen dino mein larva ka progress ho jaata hai. Aedis albopictus jaati ka machchar bahari vatavaran aur kachre vali jagah ko jyaada pasand karta hai. 

In ki aadat janne ke baad aise kadam utha sakte hai ki unka prajanan na ho. Na rahe machchar na hogi chikungunya. Isiliye chikungunya se bachav karne ke liye yeh avashya kare: 

Prajanan ko roke is tarah

  • Ghar mein koi bhi paani ka bartaon ho to bilkul dhak ke rakhe. Paani ko do din se jyaada jama kar ke na rakhe. Fenk de aur taaja bhar de.
  • Ghar ke bahar ke jagah ko svach rakhe aur kahin bhi paani jama ho aise jagah ho to unhe bhar de ya to dhyan rakhe ki inmein paani na jama ho paaye. 
  • Sabhi kono mein insecticide spray kare aur kapde vagairah samaan ekatrit kar ke na rakhe. 
  • Baahar bhi kitanunashak ka upyog kare. 
  • Ghar ke bahar tanki ho to un mein guppy machli daale jo machchar ke ande ko khaa jayenge. 

Apne aap ko bachaye

  • Aegypti din mein kaatta rehta hai. Apne sharir ko poori tarah se dhak ke rakhe. 
  • Ghar ke darwaje mein aur windows par wire net lagvaye taaki bahar ke machchar ghar mein na aa sake. 
  • Mosquito repellent cream lagaye. Cream ka alternative hai neem ka tel jo bachcho ke liye bhi safe hai. Sharir ke khulle bhag par yeh tel laga le ya to gende ke phool ka paste lagaye.
  • Gende ke phool ko angare par dhoop karne se machchar bhaag jaate hai. 
  • Aise hi neem ke patto ka dhoop se machchar bhag jayega. 

TAGS: #chikungunya ka ilaj hindi me #chikungunya ke lakshan in hindi #chikungunya treatment in hindi #chikungunya ke gharelu nuskhe #चिकनगुनिया का आयुर्वेदिक इलाज #चिकनगुनिया के घरेलू उपचार #चिकनगुनिया के लक्षण #chikungunya symptoms in hindi #चिकुनगुनिया से राहत पाने के घरेलू उपाय #home remedies for chikungunya in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments