Jaankar doctor mariz ko dekhte hi pata laga leta hai ki ise kya taklif hai. Kyonki har rog ke thos chinha hote hai. Bahut sare rogo ke lakshan milte julte hai isiliye har ek bimari mein diagnostic tests kiye jaate hai aur fir baad mein ilaj hota hai. Chikungunya mein bhi yehi baat hai. Mariz ki shikayat sunne par aur us ke jaanch karne par doctor ko shak to ho jaata hai ki inhe chikungunya ho gaya hai. Phir bhi doctor kai prakar ke test karvane ke liye aadesh deta hai. Yeh mariz ke hit mein hai kyonki aise diagnostic test se confirmation milta hai aur galat treatment se voh bach jaata hai. Chikungunya mein diagnostic test aur bhi jaroori hai kyonki is ke lakshan zika aur dengue se milte julte hai.
Voh kaunse test hai jis se chikungunya nischit ho jaata hai us ke baare mein jaaniye. Yeh hai chikungunya diagnostic tests:
Mariz ka khoon liya jaata hai aur is ka serum ka hissa alag kar ke us ka jaanch kiya jaata hai IGM aur IGB antibodies ke maujoodgi ke level jaane jaate hai. IGM ki maatra 3 hafte se leke 2 mahine tak khoon mein adhik hote hai. Is test ke liye 2 din se 3 din ka samay lag jaata hai. ELISA yaane ki enzyme linked immunosorbent assays. ELISA test dwara IGM aur IGB anti chikgunya antibodies ka detection hota hai.
Chikungunya ko 100% confirm karne ke liye yeh test bejod hai magar natija aane ke liye 1 week jitna samay lag jaata hai kam se kam. Mariz ka blood test kiya jaata hai. Infection hone ke thode hi dino mein yeh virus isolation test kiya jaaya hai. Is mein reverse transcriptase polymerase chain reaction (RT PCR) paddhiti apnaya jaata hai.
Dengue mein bhi isi prakar ke test kiye jaate hai.
Kyonki in test ke liye samay lag jaata hai to doctors generally maan lete hai ki chikungunya hai jab jodo mein dardh bahut hota hai aur raahat dilane waali dawai dete hai.
TAGS: #chikungunya ka ilaj hindi me #chikungunya ke lakshan in hindi #chikungunya treatment in hindi #chikungunya ke gharelu nuskhe #चिकनगुनिया का आयुर्वेदिक इलाज #चिकनगुनिया के घरेलू उपचार #चिकनगुनिया के लक्षण #chikungunya symptoms in hindi #चिकुनगुनिया से राहत पाने के घरेलू उपाय #home remedies for chikungunya in hindi