Sharir mein koi bhi infection ho jaaye to sharir ka immune system sakriya ho jaata hai aur ladai karta hai. Aise to hamara immune system har roj, har waqt kitne hi aise sadharan kitanu aur vish ko sharir se bahar nikal dete hai. Voh aise “dushman” ko gher lete hai aur us ko nishkriya kar dete hai. Magar aise bhi humlakhor hote hai jo adhik shakti shaali hote hai jis ke kaaran immune system ko full ladai deni padti hai. Is ka natija yeh hota hai ki voh nishkriya bhi ho jaaye aur aadmi bimar ho jaata hai aur yeh infection ke viruddh yudd ka ek chinha hai bukhar. Bukhar ke sath anya lakshan bhi hote hai jo kisi khas rog ko soochit karte hai. Chikungunya mein bhi anya viral infection ki tarah bukhar aata hai to is par se kaise kaha jaaye ki yeh chikunguya hai aur koi nahin?
TAGS: #chikungunya ka ilaj hindi me #chikungunya ke lakshan in hindi #chikungunya treatment in hindi #chikungunya ke gharelu nuskhe #चिकनगुनिया का आयुर्वेदिक इलाज #चिकनगुनिया के घरेलू उपचार #चिकनगुनिया के लक्षण #chikungunya symptoms in hindi #चिकुनगुनिया से राहत पाने के घरेलू उपाय #home remedies for chikungunya in hindi