चिकनगुनिया के मरीज होंगे 'गठिया' के शिकार, ये है एकमात्र बचाव

चिकनगुनिया

Chikungunya Virus: Chikunguniya aata hai aur jaata hai magar chod jaata hai gathiya jis se rahega ghutno mein taklif hamesha aur is se bachne ke yeh ek maatra upay hai. 

Chikungunya ka mukhya lakshan hai ki sharir ke sabhi jodo mein dard aur yeh mude ke mude rehta hai. Bimari mitne ke kai mahino tak yeh taklif rehti hai. Jyaada khatarnak baat yeh hai ki jinhe chikungunya ho gaya unhe bhavishya mein ghutno mein rheumatoid arthritis hone ki poori sambhavna hai. To yeh chikunguniya aur us se hone vali ghutno ki taklif se kaise bache? 

  • Chikungunya aur anya viral bimariyo se bachne ke liye kadve padarth ko hamesha sevan kare. Week mein do-teen baar neem ke patte ka kadha ek cup piye aur papite ke patte ka ras bhi sevan kare. Kirayta ka kaadha bhi protection dega. Protection hamesha better hai kyonki cure nahin hai chikungunya ke liye. 
  • Immunity badhane ke liye kachi haldi, adrak, lehsun, pyaj aur hari mirch hamesha khaate rahe. 
  • Paushtik aahaar hamesha lete rahe.
  • Vitamin D haddi ki majbooti ke liye jaroor hai. Uttam hoga ki savere aur saanjh ke suyra kirano me kam se kam 30 minute pasaar kare. 
  • Chini aur namak kam khaaye. 
  • Motapa se bach ke rahe. 
  • Hamesha exercise kare aur voh bhi khulli hawa me, surya kirano me. 
  • Dhumrapan aur sharab ko bahut seemit rakhe aur daant bhi saaf rakhe. 
  • Pradushit vatavaran mein na rahe. 

Kya aap nahi chahte hai ki aap ke friends bhi rahe surakshit chikungunya se? Share kare.

TAGS:#चिकनगुनिया उपचार #चिकनगुनिया के लछण #चिकनगुनिया का इलाज #चिकनगुनिया बुखार #चिकनगुनिया के घरेलू उपचार #चिकनगुनिया परीक्षण #चिकनगुनिया वायरस #चिकनगुनिया आहार

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments