चिरौंजी खाने के फायदे - Chironji Benefits

चिरौंजी

Chironji Seeds ke Fayde: Ghar me agar doodh ka kheer bane ya to koi mithai bane aur us me charoli nuts na ho aisa sambhav nahin hai. Badam aur pista ke aage aane se chironji jara background me chala gaya hai magar yeh jitna swadisht hai itna gunkari bhi hai. Chironji Buchananaia lanzan ped ke fal ka beej hai jo sadiyo se vyanjan me istemal kiya jaata hai. Kyonki yeh India mein prakritik ugta hai to is ko kehte hai chironji seeds in English

Chironji Nutritional Benefits

Chironji ki khasiyat yeh hai ki is mein karib 59% fat hai, protein karib 20% hai aur baaki calcium, iron, phosphorus, vitamin C, vitamin B1, vitamin B2, Niacin aur fibre hai. 100 gram chironji se milenge 656 calories yaane ki ek muthi bhar charoli khaa le to energy milta hai aur bhuk jaldi se nahin lagega. Sirf chironji nuts ke beej hee nahin, is ped ka gond, tel, patte, chaal aur mool bhi ayurvedic dawai me upyog kiya jaata hai. Charoli madhur hai, pachne me bhari hai aur meetha ras paida karta hai, thandak pradan karta hai aur kabj bhi paida kar sakta hai. Is me raha tel vajikaran hai, soojhan kam karta hai, bhook badhata hai, kaf ko bahar nikal deta hai, shanti deta hai aur shakti dene wala hai. Vata aur pitta ka shaman hota hai chironji ke sevan se. Chironji ke tel me se milta hai 8-cineole, b-pinene, myrcene, triglycerides, y-terpine, sabinene, camphene aur alpha pinene. 

Aise to India ke bahut sare vistaro me chiraunji ka utpadan hota hai magar Bastar ke Char jungle me hone vala charoli shresht mana jaata hai. Char ke jungle ki katai ke karan Char chiroji lupt hota jaa raha hai. Char chironji in Hindi kahe to yeh alag jaati ka hai, Buchanania latifolia Roxb jis ke beej jyaada bade aur swadisht hai. Jo pehle Rs. 150 mein bikta tha aaj vo Rs 10000 dene par bhi mushkil se milta hai. 

Chironji ke bahut sare upyog hai aur fayde hai jo aage padhiye. 

Chironji Ke Faydeचिरौंजी के फायदे

  • Chironji ke fayde nervous system ke liye kai hai. Kamjori ho naso ki to chironji me rahe flavonoids aur phosphorus aur vitamins B se yeh door ho jaata hai. 
  • Chironji benefits shwasan tantra  ko bhi milta hai. Kaf door ho jaata hai aur asthma ka prakop kam hota hai chironji ko seemit matra me sevan karne se. 
  • Chironji ke fayde in Hindi kahe to yeh dil ko majboot bana deta hai, heart failure ka chance kam kar deta hai, loh tatva badha ke anemia kam kar deta hai aur circulation ko sahi kar deta hai. 
  • Charoli ka niyamit sevan kare to liver sambandhit taklif kam hongi. Saath me pet me ulcer ho aur acidity ho to is ka shaman hotahai. Charoli plant ka gond dast me bahut upyogi hai. 
  • Use of chiraunji kidney problem me kiya jaata hai. Peshab ke samay jalan hota hai to chironji se yeh mit jaata hai. 
  • Benefit of chiraunji bukhar me bhi hai. Bukhar ke baad kamjor ho jaaye, sar me dard ho ya to bukhar jaldi mitne ka naam nahin leta hai to chironji doodh ka sevan kare. 
  • Charoli seeds ke benefit garmiyo mein bhi hai. Garmiyo me ghoom ke aaye ho to doodh me chironji ya lassi me chiraunji daal ke peene se jalan kam hota hai.

Benefit of Chiraunji for Males

Ab jaaniye benefits of chiraunji for male. Niyamit roop se chironji ke beej akele ya to doodh me mila ke ya to ghee aur chini ke saath khaye to napunskta door rehti hai. Chironji seeds benefits shukranu badhane ke lie hote hai.Shukranu kam ho to chironji khane se shukranu badhte hai aur virya ki maatra badhti hai. Sex power badhana hai to purusho ko niyamit chironji ka sevan karna hoga. Chironji vajikaran bhi hai aur is ka sevan purush aur mahila dono kare to sex life improve hoga. 

Anya benefits of chironji

  • Benefits of chrungi dry fruits gale ke gaanth me bhi hai. Chironji ka tel ka maalish kare. Tel na milne par chiraunji ko bhigo ke paste bana ke lep karte rehne se yeh gaanth pighal jaate hai. 
  • Charoli dry fruit benefits aur bhi hai jaise ki regular khaane se immunity badhta hai. 
  • Advantages of chironji dry fruit food double patle insano ko bhi hai kyonki is me 59% fat hai aur protein hai jo sharir ke vruddhi mein madadgaar hai. 
  • Benefits of chirongi diabetes ke rogi ke liye bhi hai. Is se blood sugar level control me rehta hai aur yeh antioxidant ka kaam bhi karta hai. 
  • Benefit of chirongi khaan paan me mithai me jyaada hai magar is ka upyog curries mein gravy banane me bhi istemal kiya jaa sakta hai. Chironji ka paste ka istemal kare to shahi taste aata hai gravies mein.
  • Chironji oil kapha aur vata ko kam kerta hai yeh ama ke toxins bhi shareer se baher nikal deta hai. 3 boond Chironji oil pani mein daal ker nahane se stomach aur intestines ki lining ko aram milta hai.

Jitna upyogi chirongi hai khaane mein utna hee charoli benefits or upyogi hai tvacha ke liye. Ab jaaniye benefits of chironji on skin n face

Benefits of Chironji for Skin

Chironji me fat aur protein ke saath essential oils hai jo tvacha ke liye bahut hi faydakarak hai. Jaaniye kaise chironji fruit tvacha ke liye upyog kare aur us ke fayde. 

  • Benefits of Chironji on skin n face yeh hai ki yeh tvacha ke andar nami bhar deta hai, poshan deta hai aur jhurriya mita deta hai. Chironji ka face pack bana ke istemal kare. Chironji for skin whitening face pack me chironji ko bhigo ke paste banaye aur saath me doodh aur haldi milake lep kare. 
  • Mili-juli (teli-rukha) tvacha ke liye chirongi face pack banana chahe to chironji ko bhigoye aur paste banaye aur is mein milaye chandan paste aur gulab pankhudi paste.  Yeh ubtan for glowing skin tvacha ko nikharega, komal bana dega aur jhurriya hata dega yeh face pack. 
  • Teli tvacha me chironji face pack estemaal kare esmien chironji ke saath besan ya multani mitti aur haldi mila ke upyog kare. 
  • Sharir par pitte nikal aaye ho to chironji, neem ke patte aur haldi ko pees ke lagaye. Ek chamach din me char baar chironji ko halka sa sek ke khaaye. 
  • Chironji for skin whitening use karna hai to chironji paste, badam paste aur nimbu ka ras ka lep lagaye. Yeh homemade face pack for fairness bahut effective hai.
  • Benefits of chironji facepack yeh hai ki yeh tvacha ko bilkul komal bana deti hai aur hara bhara banake aap fir se jawan dikhne lagenge.
  • Chironji se nomarks face pack bhi banaya ja sakta hai esmein chandan, neem, majistha, multani mitti ko bhi milaya jata hai.
  • Koi aise pooche ki can I use Chironji facepack on fair skin to jawab hai kyon nahin. Yeh ubtan for face sirf tvacha ke gorepan ke liye hee nahin hai. Yeh moisturize karta hai, poshan deta hai, jhurriya nahin padne dega aur tvacha ko smooth, glowing aur soft bana ke saundarya aur badha dega.
  • Chironji ubtan hair removal ke lie bhi estemaal kiya jata hai. Es ubtan ko banane ke lie masoor ki daal, sandalwood powder, orange peel powder, chironji ko apas mein mix ker lein yeh ubtan ek magical scrub ka kaam bhi kerta hai.

Aajkal badam, pista aur akhrot ka chalan badh gaya hai. West se aayi manyata ke anusar log chalte hai aur mehnge chilgoza aur hazel nuts ke taraf akarshit hote hai jab ki chironji tree ek anmol khajana hai eslie chironji price bhi thode zada hote hai jo khas India mein bani hai Indians ke liye. Is ka istemal karke dekhe. Kai fayde honge swasth ke liye aur tvacha ke liye.

TAGS:#charoli tree in hindi #chironji for fair skin #best face pack for glowing skin in hindi #marathi prem/love charoli #dry fruits name #charoli in marathi on love #name of dry fruits #chironji in english name #charoli nuts in hindi #marathi charoli for love

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

2 Comments

हनी, Jan 19, 2018

चरोली या चीरोंजी के बेनिफिट्स किया हैं इसके फाएेदे और नुकसान दोनो हि बताएँ और साथ में मुझे यह भी जानना है कि किया इससे मेरे कमर का दर्द ठीक हो जाएगा?

जिया, Aug 16, 2017

मैने आपके ये घरेलू नुस्खे पड़े हैं और आपके ये घरेलू नुस्खे में लिखा था की इसका यूज खीर में करने में इसका टेस्ट चेंज हो जाता है और ये बहुत ही टेस्टी भी हो जाती है तो मैने खीर बनाई और चीरोंजी को डाला सच में सबने मेरी बहुत तारीफ़ की और इसका टेस्ट बहुत बहुत अच्छा आया थैंक्स सो मच ऐसे ही घरेलू नुस्खे आप लाते रहिए कियुंकी ये हमारे लिए बहुत ही फ़ाएदेमंद हैं|