Biceps ka Size Kaise Badhaye???, biceps badhane ke tips in hindi: Biceps aur triceps mard hamesha garv se dikhata hai. Dekhe to T shirts pehene ho aur biceps ubhar aaye ho to mardangi badhti hai. Bodybuilder jaise hiceps paana chahte hai to yahan par bataye big biceps tips in hindi, biceps ka size badhane ke prayog kare.
Whole Body Workout
Pehle to yeh suchan hai ki sirf biceps aur triceps par kendrit na ho. Poore badan ka workout kare tab jaake biceps aur triceps santulit dikhenge. Biceps ka size kaise badhaye saval ka jawab hai kadi weight training aur voh bhi lambe samay tak. Sirf haath hee nahin doosre angko ko bhi vyayam karna hai. Muscle mass badhane ke liye curls aur extensions karna jaroori hai.
Niyamit Vyayam
Exercise for biceps in hindi: Har roj ek ghante aap body building ke liye weight training me lagaye, kam se kam 5 din hafte me to parinam dikhenge. 2 din aaram bhi jaroori hai kyonki rest se muscles ka growth hoga. Koi bhi biceps banane ka tarika apnae roz subah niyamit vyayam zaroor kare.
Squat
Weight training me shuru kare halke vajan se aur har hafte vajan badhate jaaye. Squat ek important bicep badhane ka exercise hai. Apne sharir ke vajan jitna vajan uthaye squat karte samay. Aage jaake apne sharir ke dedh guna vajan uthaye to bicep aur tricep muscles bilkul ubhar ayenge. Bas ek bar kare din me to bhi chalega.
Deadlift
Squats se poore badan ko exercise nahin milta hai. Deadlift karne se har ek hisse ko vyayam milta hai aur khas kar ke biceps aur triceps ko. Barbell jamin par rakhe aur uthaye sar ke upar. Deadlift se chaati ke muscles ka bhi development hota hai aur full look milta hai.
Pullups
Pullups har roj kare to biceps me ubhar aata hai. Saath mein triceps ko bhi ubharna hai jis ke liye bench press aur pushups kare. 10 kare, rest kare aur repeat kare. Aisa 10 bar har roj kare.
Barbell Curl
Bicep ka size badhane ke liye barbell curl karna jaroori hai. Yeh exercise dheeme se kare. Barbell ko majbooti se pakad ke uthaye, kandho tak laye, neeche kare aur repeat kare. Saath me inclined dumbell curl kare jis me angled bench par let jaye, hath me dumbells le aur upar neeche uthaye. Is ke baad concentration curl kare jis me bench par baithe, hath me dumbell pakde aur kohni ko jang par rakhe hue dumbell ko chati tak uthaye, neeche utare aur repeat kare. Is exercise se forearms ke muscles ka bhi development hota hai. Hamesha thick rod vale barbell aur dumbell pasand kare. Variation me hammer curl bhi kare aur overhead cable curl bhi kare. Dhyan me rahe ki barbell curl akre tab wide grip, normal grip aur close grip ka istemal karte hue repeats kare. Rod 6 foot ka ho is ka dhyan rakhe.
Kitna Exercise Kare
Bicep badhane ke utsah mein kai log aisa sochte hai ki din me 2-4 ghante karenge to itne teji se biceps ka vikas hoga. Yeh galat hai. Din me 20 minute exercise kaafi hai. Har roj alag variation kare jaise ki ek din squat, ek din dead weight, ek din barbell curl, ek din dumbell, ek din pushups aur pull ups. Hafte me 2 din aaram kare. Ek exercise 5 ya 10 bar kare, thoda aram kare aur fir shuru ho aur total 10 repeat kare. Yeh dhyan me rakhe ki jaise aap ke biceps aur triceps majboot hote jaate hai to aage jaake vajan badhate jaaye tabhi vikas hoga. Muscles building ka basic formula hai ki muscle fiber tear hona chahiye aur yeh tab hota hai jab jyada se jyada vajan ka upyog hota hai.
Diet
Aahar jaroori hai biceps badhane ke plan mein. Aahar me high protein diet hona chahiye aur vegetarian ho to ek hi padarth me sabhi amino acids nahin hote hai isiliye doodh, anaj aur dalo ka upyog kare. Non-veg ke liye problem nahin hai. Ande, chicken, mutton aur fish har roj kam se kam 200 gram khaye. Har teen ghante ko kuch na kuch khaye, khas kar ke hi fibre protein yukt aahar.
Important baat yeh hai ki vyayam shuru karne ke pehle energizing drink le jis me aap milk shake ya fruit juice aur thode nutts ya ubla hua anda khaye. Exercise ke bad sharir muscle fiber banane lagta hai to exercise ke baad bhi high protein aahar jaroor le jaise ki doodh aur ande.
Lifestyle
Agar biceps badhane ke liye vyayam jaroori hai to aaraam aur neend bhi itna jaroori hai to har roj 8 ghante soye. Paani bhi khoob peete rahe.
Dheeraj se kaam le. Apna progress track kare aur har 15 din naape apne biceps ko. 6 mahine me parinam dikhai denge.
TAGS: #big biceps tips in hindi #body banane ke tips in hindi language #bicep kaise banaye #gym tips for biceps and triceps #bodybuilding tips for men in hindi #biceps badhane ke tips in hindi #best exercise to build biceps #bodybuilding tips in hindi pdf #how to increase bicep size in hindi #bicepts banane ke tarike/upay/exercise/vidhi #triceps workout in hindi #biceps banane ka tarika
Nitesh, Mar 27, 2018
Nice article Bhai...Maine bhi kuch similar likha Hai kindly padhe aur apna response share karen ...
Muhammad Abdullah, Mar 08, 2018
Thank You for a great article a really great information you had give us through this article.
ऋषभ जैन, Feb 21, 2018
बाइसेप्स का साइज को कैसे बढ़ाएँ मुझे आप बाइसेप्स वर्काउट टिप्स के बारे में जानकारी दें|
Bhagwan Dass, Mar 27, 2018
Bhai is article ko padhkar bahut hi bahut hi achcha laga yeh bahut hi helpfull hai please aage bhi aaap aise hi article likhte rahen.
Mangal Singh , Jan 30, 2018
Muje aapne baaiseps banane hain Kaise batao
Charan Singh, Jan 09, 2018
biceps banane ke upay bataiye
विपिन, Sep 15, 2017
बाइसेप्स के साइज को कैसे बढ़ाएँ इसके बारे में मैं तो बिल्कुल ही अज्ञानी हूँ आप मुझे यह सब कुच्छ बताएँ जैसे कि मैं क्या खाउँ और कब खाउँ तथा कितनी मात्रा में खाना है और कौनसा वर्कआउट करना है इसे कब,कैसे और कितने समय तक करना है इन सबकी जानकारी प्लीज़ शेयर मि इच एंड एवरीथिंग विध यूअर आर्टिकल|
अमर सिंग, Oct 06, 2017
मैं अपने बाइसेप्स का साइज बढ़ाना चाहता हूँ इसके बारे में मैं बिल्कुल अन्भिग्य हूँ मुझे इसकी जानकारी संक्षित रूप से ज़रूरत है मेरी मदद करें| प्लीज़
अर्जुन चढ़ा, Aug 19, 2017
हमे अपनी डाइट पर धैआन देना चाहिए का तभी एक्सरसाइज से हम बाइसेप्स का साइज बढ़ा सकते हैं
उत्तम कुमार शर्मा, Aug 13, 2017
बाइसेप्स का साइज कैसे बढ़ाएँ यह जानना ज़रूरी है कियोंकि जब हमे पता ही नहीं होगा की बाइसेप्स कैसे बढ़ जाएँ इसीलिए आपसे विस्तार से पूरी जानकारी की ज़रूरत है किया आप शेयर करेंगे आपके जवाब के इंतजार में?
kanhaiya, Jul 05, 2017
home workout krne ka trika. btaeye
रोशन चावला , Jul 02, 2017
बाइसेप्स को बड़ाने के लिए खूब सारी वेट उठाने वाली कसरत करेंगे तो ही वेट बड़ेगा और प्रोटीन की मात्रा को अपनी दिनचर्या में बड़ा देंगे तो बाइसेप्स के साइज़ ज़ल्दी और ज़रूर इनक्रीज होगा
Raunak, Mar 28, 2017
diet plan banaye basic excercise se start kare
Saurabh Jain, Nov 08, 2017
kiya aap bata sakte hain ki diet plan mai kiya lun jo main ek mahine mai mota ho sakun kiyunki meri agle month marraige hai lekin main under develop hun please help me
Deepankar, Mar 25, 2017
kitna workout kare, kitne repetition mei kare
md sarfaraz alam, Mar 18, 2017
chest aur biceps ke liye aap koi bhee aadmi is website ke tarike ko follow kare ga to uska sareer achha prograse pe rahein ga maine bhee is ka follow kya bas aap 6 mahine me parinaam dekhe ge
Aasif malik, Mar 31, 2018
Bicep ka size Kaise Badhayen please batayen?