बरसात में बालों की देखभाल के नुस्खे

बरसात

Monsoon yaane ki baarish ke mausam mein vatavaran mein nami jyaada hai aur garmi bhi jis se baal chip chipe ho jaate hai, tootne lagte hai aur bejaan, gande dikhte hai. Pareshaan naho. In nuskhe dwara aap monsoon mai baalo ki dekhbhaal is tarah kare. 

  • Har roj baalo ko dhoye. Bilkul mild shampoo use kare. Behtar hai ki aritha aur shikakai ka paani ka upyog kare. Agar aap AC vale vatavaran mein rehte hai to har doosre din baal dhoye to bhi chalega.
  • Baalo ko dhone ke baad conditioner avashya lagaye. Prakrutik conditioner mein chai ka paani aur nimbu ka ras paani meil mila ke lagaye. Mehndi ka paani bhi uttam hai conditioner ke taur par. 
  • Baalo ko free-flowing, soft aur shiny rakhne ke liye baal dhone se pehle baalo mein aloe vera gel aur ande ka safed bhaag mila ke lagaye aur 30 minute tak rakhe. 
  • Nariyal tel raat ko lagaye aur savere sirf shikakai aritha se dhoye. 
  • Raat ko sone se pehle soft brush se 10 minute tak brush kare.

TAGS: #skin care tips hindi #hair care tips for dry hair in hindi #beauty tips for hair fall in hindi #tips hair growth hindi #long hair care tips in hindi #tips for long hair in one month in hindi #hair care tips in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

1 Comments

Sahil , Oct 19, 2017

Mere baal udte ja rahe hain main kiya karun meri umar 19 saal hai please koi uday bataiye?