वजन घटाने के लिए दालचीनी का प्रयोग करें

वजन

Dalchini ek spice hai jis mein se aap ko milega coumarin aur cinnamaldehyde. Yeh tatva directly fat ko burn nahin karte hai magar in ke sharir mein hone se antioxidant ka kam hota hai aur indirectly wazan kam karne mai faydemand hote hai. Kis tarah? Yeh aage jaaniye: 

  • Cinnamon insulin par seedha asar karta hai aur sharir mein insulin level ko niyantran mein rakhta hai. Is se blood sugar niyantran mein rehta hai aur sugar ko fat mein parivartit hone se rokta hai. 
  • Dalchini ke khaane se aap ka metabolism tej ho jaata hai. Isiliye ise shahad ke saath savere sevan kare to poore din bhar metabolism high rehke fat burning hota rahega. 
  • Dalchini ke khas tatva bad cholesterol ki matra ko kam kar dete hai aur dil ko majboot banate hai.
  • Dalchini mein aise tatva hai jo pet par jama hue charbi ko pighlane mein sahayak hai. 
  • Dalchini khaane se bhook kam lagta hai aur aise aap kam calories lete hai. 
  • Dalchini mein rahit coumarin pet ke keede ka nash karti hai aant ko swach rakh ke poshak tatva ko grahan karne mein sahayak hai. 
  • Dalchini powder ko shahad aur nimbu ke ras ke saath garam paani mein aap le sakte hai ya to shahd ke saath mila ke chaatne ke tarike se upyog kare. Savere lene se jyada fayda hota hai. 1/4th chamach sabji mein bhi aap daal sakte hai. 
  • Jyaada na khaaye kyonki is ke aad asar hote hai.

TAGS: #motapa kam karne ke upay baba ramdev #jaldi pet kam karne ke upay #dalchini ke nuksan in hindi #dalchini ke fayde hindi me #dalchini benefits weight reduction in hindi #dalchini ke side effect in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

1 Comments

Rukhsar, Apr 12, 2018

mujhe aapka yeh lekh daalchini se weight loss karne wala formula bahut pasand aaya ab main har roj yahi krungi thanks